Tuesday, 27 March 2012

MUFTI AASHIQ ILAAHI DEOBANDI AUR UNKE SAWAAL (PART 2)

Bismillahirrahmanirraheem




MUFTI AASHIQ ILAAHI DEOBANDI AUR UNKE SAWAAL (PART 2)



SAWAAL:



Ghair muqallideen ye bhi bataayen ke qur'aan majeed par aaraab kab lagaaye gaye ??

Kya aap(sws) ne uska huqm diya tha??

Agar aap(sws) ne huqm nahi diya (aur yaqinan huqm nahi diya) toh phir aaplog is par kaise raazi hue, aur quraan isi aaraab ke saath padhte hain jo baad me lagaaye gaye..

Ye bhi bataayen ke jo quraan majeed aapne apne kisi chhaapa khaana(printing press) se chhap waayen hain, unme " zer, zabar" hain ya nahi, agar zer aur zabar hain to usme kis ki taqleed ki gayi hai ?? Waazeh taur par jawaab den...


Aur ye bhi bataayen ke miyan nazeer hussain sahab ne kaun se ghair muqallideen qaari se quraan padha aur tamaam ghair muqallideen ki sanad qiraat kiya hai ??

Aur tamaam ghair muqallideen ek qurrat ki taqleed wajib kyun samjhte hain ye taqleed haraam kyon nahi hai ???



JAWAAB:



Main janab Aashiq sahab ki aalimat ki ek jhalak dikhaane ke liye unka sawaal naqal karne par majboor hun likhte hain:

"phir ye bhi bataayen ke qur'aan majeed par aaraab kab lagaaye gaye ??

Kya aap(sws) ne uska huqm diya tha??

Agar aap(sws) ne huqm nahi diya (aur yaqinan huqm nahi diya) toh phir aaplog is par kaise raazi hue, aur quraan isi aaraab ke saath padhte hain jo baad me lagaaye gaye..

Ye bhi bataayen ke jo quraan majeed aapne apne kisi chhaapa khaana(printing press) se chhap waayen hain, unme " zer, zabar" hain ya nahi, agar zer aur zabar hain to usme kis ki taqleed ki gayi hai ??"

isi tarah ke la yani sawaal dar sawaal ka silsila jaari hai...


Bhaiyyon ! Aashiq sahab ki jahaalat aur ghabawat qaabil mulaheza hai , wah to yah samjh rahe honge ke ye sawaal ahle hadithon ke liye mushkil honge...

Jabke inki haisiyat khajoor ki ghuthli ke bhi baraabar bhi nahi,


chunanche aashiq sahab "aaraab" ka Maayna samjhte hain, zer, zabar mazeed hamaqat ye ke ye sawaal to kar rahe hain ke quraan isi aaraab ke saath padh rahe hain jo baad me lagaaye gaye,

aur ye nahih sochte ke jab tak ye zer, zabar nahi lagaaye gaye they, tab tak deegar musalmaan kaise padhte they !!

Aashiq ilaahi ki jihaalat ke joban par bahaar aayi hai, unki aqal ko ye samjh me nahi aata ke zer, zabar hajjaj bin yousuf ne lagaaye ya kisi aur ne ,usse koi bahes nahi,

sawaal to yah hai ke, alhamdulillah rabbul aalameen, zer, zabar lagaaye jaane se pahle kya alhamdulillah rabbul alameen na tha, zer , zabar lagaane se kya tabdeeli hui.

Rasool akram(sws) ne jab quraish ki qurraat par quraan ko padhne ka huqm diya to kya zer, zabr ke baad wah qurraat badal gayi,

ajeeb log hain ahle hadith se dushmani me kuch hosh hi nahi ke kiya bak rahe hai,

jisme taqleed ka koyi zikr nahi usme taqleed nazar aa rahi hai, aur ye bhool gaye ke quraan Saat huruf par naazil huwa aur wah sab tareeqe ummat ki taraf ba'waastah qurra kiraam muntaqal hogaye, aaj ham usi tarah quraan padhte hain, jis tarah rasool e akram ne sahaba ko sikhaaya.....


Miyan sayyid nazeer hussain ne kaun se ghair muqallid qaari se quraan padha aur ghair muqallidon ki sanad qurraat kiya hai to jawaaban arz hai ke unhone kis se padha iska ilm nahi,

albatta imam abu hanifa ne ek ghair muqallid hi se quraan padha tha aur ghair muqallid hi ki nahi saare muqallidon ko sanad bhi ghair muqallidon hi se haasil hui......

Ham ek qurraat ki taqleed waajib nahi maante ye aapki ghalat fahmi hai.....

APNE AAPKO JAHANNUM KI AAG SE BACHAAO

Bismillahirrahmanirraheem



APNE AAPKO JAHANNUM SE BACHAAO:



jab nabi(sws) ne acchi tarah itminaan kar liya ki allah ke deen ke parchaar ke waqt abu talib unka saath denge, to ek din aap safa pahaad par tashreef le gaye aur sabse unche patthar par chadhkar yah aawaaz lagaaye,

ya sabaha (haay subah)! (arbon ka chalan tha ki dushman ke hamle ya kisi khatre se khabardaar karne ke liye kisi unchi jagah par chadhkar inhi alfaaz se pukaarte they)

iske baad aapne quraish ki ek ek shaakh aur ek ek khaandaan ko aawaaz lagaayi:- aiy bani fah ! Aiy bani adi ! Aiy bani falan ! Aur aiy bani falan ! Aiy bani abde munaaf ! Aiy bani abdul muttalib !

Jab logon ne aawaz suni to kaha, kaun pukaar raha hai ? Jawab mila, muhammad hain, is par log tezi se aaye, agar koi khud na aa saka, to apna aadmi bhej diya ki dekhen kya baat hai ? Yun quraish ke log aa gaye usme abu lahab bhi tha,

jab sab jama ho gaye, to aapne Farmaya, yah bataao, agar main khabar dun ki udhar is pahaad ke daaman me ghaati ke andar ghud sawaaron ki ek jamaat hai jo tum par chaapa maarna chahti hai, to kya tum log mujhe saccha maanoge ??

Logon ne kaha, haan ! Haan ! Hamne aap par kabhi jhoot ka tajurba nahi kiya hai, hamne aap par sach hi ka tajurba kiya hai.

Aapne farmaya:-" accha, to main ek shakht azaab(torment) se pahle tumhe khabardaar karne ke liye bheja gaya hun, meri aur tumhari misaal aisi hi hai jaise kisi aadmi ne dushman ko dekha, phir usne kisi unchi jagah par chadhkar apne khaandaan waalon par nazar daali to use darr huwa ki dushman usse pahle pahunch jaayega, isliye usne wahin se pukaar lagaani shuru kardi, ya sabaha !

Iske baad aapne logon ko haq ki dawat di aur allah ke azaab se daraaya aur har khaas wa aam ko khitaab kiya.

Chunanche farmaya

quraish ke logon ! Apne aapko allah se khareed lo, jahannum se bacha lo, main Tumhare nafa-nuksaan ka haq nahi rakhta, tumhe allah ki pakad se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun,

banu kaab bin lui ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki tumhare nafa-nuksaan me kaam na aaunga,

banu murra bin kaab ! Apne aapko jahannum se bacha lo,

banu kusaiy ! Apne aapko jahannum se bacha lo, main tumhare koi kaam na aaunga,

banu abde munaaf ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki mujhe tumhare nafa-nuksaan ka kuch adhikaar nahi, main tumhe allah se bachaane me kuch kaam aa sakta hun,

banu abde shams ! Apne aapko jahannum se bacha lo,

banu haashim ! Apne aapko jahannum se bachaa lo,

banu abdul muttalib ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki main tumhare nafa-nuksaan ka maalik nahi, aur na tumhe allah se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun, mere maal mese jo chaaho, maang lo, magar main tumhe allah se bachaane ka kuch haq nahi rakhta,

abbas bin abdul muttalib ! Main tumhe Bhi allah se bachaane ke liye kuch kaam nahi aa sakta,

allah ke rasool(sws) ki fufi, safiya bint abdul muttalib ! Main tumhe bhi allah se bachaane ke liye kuch kaam nahi aa sakta ,

fatima bint muhammad ! Mere maal mese jo chaaho, maang lo, magar apne aapko jahannum se bachaao, kyonki main tumhare bhi nafa-nuksaan ka maalik nahi, aur na tumhe allah se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun,

jab yah daraawa khatm huwa to log bikhar gaye, uske kisi raaye ka koi bayaan nahi mila... Albatta abu lahab ne bad'tameezi ki, kahne laga, tu saare din ghaarat ho, tune hame isliye jama kiya tha,

ispar "surah lahab" utri ki abu lahab ke dono haath ghaarat ho aur wah khud ghaarat ho"

(sahih bukhari 1/285,2/702,743, sahih muslim 1/114, fath ul bari 5/449, 6/937, 8/361)


allah ke rasool(sws) ne apne sabse qareebi logon par saaf kar diya tha ki ab is risaalat ki razamandi hi par taalluqaat tode aur jode ja sakte Hain, wah allah ke daraawe ki garmi me pighal kar khatm ho chuki thi

is aawaaj ki goonj abhi makka ke aas paas hi sunaayi de rahi thi ki allah ka ek aur huqm aaya:

" aapko jo huqm diya ja raha hai, use kholkar bayaan kar dijiye aur mushrikon se rukh fer lijiye"

(quran surah 15 ayat 94)

chunanche iske baad allah ke rasool (sws) ne mushrikon ke majmon aur unki mahfilon me khule aam dawat deni shuru kar di, aap logon ko allah ki kitab padhkar sunaate aur unse wahi farmate jo pichhle paigambaron ne apni qaum se farmaya tha

" aiy meri qaum ke logon ! Allah ki ibadat karo, tumhare liye uski siwa koi ibadat ke layek nahi "

iske saath aapne logon ki aankhon ke saamne din dahaade aap majme ke rubaru allah ki ibaadat shuru kar di

aapki dawat kaamyaab hone lagi aur log allah ke deen me daakhil hone lage, jo islam apnaata , usme aur uske ghar waalon me doori aur mukhalifat shuru ho jaati,

quraish is haalat Se tang hone lage aur jo kuch unki nigaahon ke saamne aa raha tha, unhe naagwar mahsoos hone laga.......

12 RABI'ULAWWAL 'YAUM-E- MAATAM 'YA 'YAUM-E-EID' ???

Bismillahirrahmanirraheem



12 RABI'ULAWWAL 'YAUM-E- MAATAM 'YA 'YAUM-E-EID' ???




Logon me mashoor yahi hai ke aap(sws) 12 rabiul'awwal ko paida hue they, isiliye aashiqaan e rasool (sws) is tareekh ko eid wa jashn meelaadun nabi (sws) manaate hain,

haalanke yah bhi mashoor hai ke 12 rabiul awwal ko 12 wafaat ke naam se yaad kiya jaata hai, lekin is 12 wafaat ko chhod kar log jashn me mashgool ho gaye...

Aap(sws) ki paidaish ki taareekh me kaafi ikhtelaaf hai, maheena to wahi hai lekin tareekh me ikhtelaaf hai

namoor ulema e tareekh wa hadith ne aapki tardekh wilaadat ko 9 rabiul awwal, din peer(monday), 20 april 571 ko sahih qaraar diya hai,

inme allama ibn kathir,

ibne taimiyya,

ibn qayyim,

hafiz ibn hajar ,

mahmood basha falki,

muhammad taa'at,

maulana akbar shah najeeba baadi,

qaazi muhammad suleman mansoor puri

aur allama naseeruddin albani qaabil zikr hain,

albatta aapki(sws) Wafaat(death) ki tareekh bila shak wa subah wa ikhtelaaf ke 12 rabiul awwal hai,

toh kya ye tareekh yaum-e-eid ho sakti hai??

Yaum-e-wafaat par khusiyaan kyon ??

12 rabiul awwal ko aap(sws) ki wafaat par aapke sahaba kiram ra aur ahle baiyt ra ki kiya haalat thi hadith wah tareek ki roshni me mukhtasar zikr hai :

"marz ul maut me ek roz nabi(sws) ne mimber par khutba diya aur farmaya, ek bande par duniya aur uski zeenat pesh ki gayi lekin usne aakhirat ko pasand farmaya, hz abu bakr ra usse samjh gaye ke ab aapki wafaat ka waqt qareeb hai, lihaaza wah zaar o kataar rone lage"

(mishkaat page 546)

isi tarah ek aur hadith me marwi hai ke nabi(sws) ki bimaari ki haalat me sahaba kiram ra baithe hue ro rahe they, unse unka sabab poocha gaya to kahne lage ke ham aapko yaad karke ro rahe hain


jigar goshah rasool(sws), khatoon jannat hz fatima ra ko apne pyaare abba ki wafaat ka is qadr gham tha ke Marzul maut me jab rasoollullah(sws) ne unko bataya ke main ab is bimari me inteqaal kar jaaunga to sayyidah hz fatima ashqbaar( rone) lagin"

(mishqaat 549)


phir jab nabi(sws) wafaat paa gaye to hz fatima ra kahne lagin :- pyaare baap ne dawat e haq ko qubool farma liya, waalid giraami ne jannatul firdaus me nazool farma liya, waalid giraami ke inteqaal ki khabar jibreel ko kaun pahuncha sakta hai


phir jab nabi(sws) ko dafnaya gaya to sayyida fatima hz anas se mukhaalib hokar kahne lagin:-" aiy anas ! Tum ne rasoollullah(sws) par mitti daalna kaise gawaara kar liya"

(mishkaat page 548)


jab rasoollullah (sws) is duniya se rukhsat hogaye to hz abu bakr ra ko ittela mili to wah tashreef laaye, logon se baat kiye begair hz aisha ra ke paas gaye aur wah nabi(sws) ke chehre aqdas se chaadar hata kar use chooma aur phir kaha:-" mere maa baap aap par qurbaan jo maut allah ne aapke liye muqarrar ki thi Wah to aagayi, uske baad aap maut ki taqleef ko kabhi na uthaayenge"

(seeratun nabi ibn hisham jild 2 page 804)


hz umar ra ko maut ki khabar sun kar bada jhatka laga ke wah maanne ko taiyyar nahi they, balke khabar dene waalon ko jaan se maarne ki dhamki dene lage,

hz hassan ra ne apne maatmi ashaar me ye sheir kahe

" ye log us hasti par ro rahe they jis par uski wafaat ke din aasmaan ro raha tha, aur zameen ro rahi thi aur log usse bhi zyada gham zada they"

aur kya kisi bhi marne waale ki museebat ka din us din ki museebat ke baraabar ho sakta hai, jisme aap(sws) ki wafaat hui

(seerah ibn hisham , urdu, jild 2 page 821)


wafaat e mustafa(sws) ke din ka naqsha bayan karte hue khaadim rasool hz anas ra farmate hain:-" ke jis din rasoollullah(sws) hamare yahan tashreef laaye usse bahtar din kabhi nahi dekha, aur jis din aapne wafaat paayi usse ziyaadah taareek(black) din maine kabhi nahi dekha"



(mishqaat page 547)

in waqeyaat se bakhoobi andaaza kiya ja sakta hai ke jis roz nabi(sws) ki wafaat hui, madeenatul nabi me kohraam macha tha, aur aapke jaan nisaaron ke liye qayamat barpa ho gayi thi......


Magar afsos aaj ke daur me aashiqaane rasool eid meelaad aur khushiyan isi tareekh ko manaate hain, jis din aapki wafaat hui, wah eid jiske karne ka koi saboot na rasoollullah(sws) se hai aur na sahaba kiram ra se aur na tabeein se aur na aimma mujtahideen se....

Bhaiyyon! Huzoor(sws) ki wilaadat ki sahih qadar wa keemat usi waqt ho sakti hai jab har musalmaan apni tamaam tar koshish aur himmat ko inhi ahkaam wa maqsad ki ishaata wa tableegh me sharf kare jinke liye huzoor(sws) duniya me tashreef laaye they ,

sirf eid milaad se rasoollullah(sws) ka shahdaayi nahi ban sakta..

Meelaad ke saath lafz "eid" bhi lagaana durust nahi hai kyonki islaam me sirf do eiden hain ek eid ul fitr aur dusri Eid ul adha, jisko rasoollullah(sws) ne khud farmaya aur ye bhi farmaya ke eidain me roza rakhna haraam hai,

lekin aap(sws) ne apni paidaish ke din apni roza rakha jaisa ki hadith se saabit hai........





Bismillahirrahmanirraheem




IZZAT WA AABRU KI HURMAT AUR MAGHRIBI CHALAN (WESTERN CULTURE)



Islam ne mard wa aurat ki zahni wa jismaani shakht aur banaawat ko madd'e nazar rakhte hue dono ke liye alag alag huqooq(rights) aur faraiz muqarrar kiye hain,

kuch umoor me dono ko baraabar ka darja diya gaya hai, kuch me kam aur kuch me zyada, jin umoor me baraabari ka darja diya gaya hai, uska tazkirah yahan munaasib hai


islam me izzat wa aabru ki hifaazat ke liye jo ahkaam mardon ke liye hain wahi ahkaam aurton ke liye hain,

quraan kareem ki surah hujraat aayat 11 me jahan rabbul alameen ne mardon ko ye huqm diya hai ke wah ek dusre ka mazaak na udaaye, wahin par aurton ko bhi ye huqm diya hai ke wah ek durse ka mazaak na udaaye aur farmaya:

" aur na hi aurten ek dusri auraton ka mazaak udaaye ho sakta hai wah inse bahtar hon"

aur isi ayat me aage farmaya

" aur ek dusre par taana zani na karo"

yani Aisa mat kaho ke

tu falan ka beta hai,

teri maa aisi waisi hai,

tu falan khaandaan ka hai.. Etc etc

aage allah ne farmaya

" aur na hi ek dusre ke bure naam rakho"

yani apne taur par logon ke bure naam rakh lena jo unhe napasand hon, ya acche bhale naamon ko bigaad kar bolna ,

aur ayat no 12 me farmaya

" aur na hi tum mese koi kisi ki gheebat(buraayi) kare"


hz abu hurairah ra riwayat karte hain ke aap(sws) ne farmaya:-" kya tum jaante ho ke gheebat kya hoti hai, jab tu apne bhai ka aisa zikr kare jo use napasand ho, agar usme wah khaslat ho jiska tune zikr kiya hai to tune uski gheebat ki aur agar usme na ho to tune us par bohtaan(ilzam) taraashi ki"

(sahih muslim 2/432)

allah ne aage usi aayat me farmaya

" kya tum mese koi bhi apne murdah bhai(dead brother) ka ghost(meat) khaana pasand karta hai?"

balke aapko isse ghin aayegi, ghaur kijiye ke allah taala ne gheebat ke liye kaisi tafseel Bayaan farmayi hai,

awwal ye ghost insaan ka hai, haiwaan ka nahi,

dusra ye ke wah uska bhai hai,

teesra ye ke wah ghost murda ka hai,

murda bhai ka ghost koi khaana pasand nahi karta,

lekin gheebat logon ki nihaayat marghoob giza hai

kya gheebat karne waale nasihat pakdenge??

Rasool akram(sws) ne farmaya:-" har musalman(mard ho ya aurat) ka khoon, maal aur izzat ek dusre par haraam hai"

(muslim)


izzat wa aabru ke taalluq se aurat ka maamla mard ki nisbat zyaada naazuk hai,

chunanche islam ne aurat ki izzat wa aabru ki hifaazat ke liye alag wa shakht ahkaam naazil farmaaye hain

allah taala farmata hai:

" jo log paak daaman , bholi bhaali, ba' imaan aurton par tohmat lagaata hai wah duniya wa aakhirat me maloon hai aur unke liye bada bhaari azaab hai"

(surah noor 23)

" ghafalaat" se muraad aisi bholi bhaali nek dil khwateen hain jinke zehan fahaashi ke kaamon aur cheezon se khaali hai, Aur is surah ki ayat no 4 me farmaya

" aur jo log paak daaman aurton par zina ki tohmat lagaayen phir 4 gawaah pesh na kar saken to unhe 80 kode lagaao, aur kabhi bhi unki gawaahi qubool na karo, yahi faasiq log hain"


yani is me qazaf (bohtaan taraashi) ki saza bayan ki gayi hai ke jo shakhs kisi paak daaman aurat ya mard par zina ki tohmat lagaaye ( isi tarah jo aurat kisi paak daman aurat ya mard par zina ki tohmat lagaaye) aur wah ba'taur saboot 4 gawaah pesh na kar sake to unke liye 3 ahkaam bayan kiye gaye hain

1- unhe 80 kode lagaao

2- unki gawaahi kabhi qubool na ki jaaye

3- wah faasiq hai

aur isi surah ayat no 20 me aurat ke liye saza ke taur par 100 kode bayaan kiye gaye hain aur agar koi unme se shadi shuda(married) hai to uski saza sang saari hai( yani pattar maar maar kar maut dena)


nabwi daur me ek aurat andhere me namaz ke liye nikli raaste me ek shakhs ne us aurat ko gira diya Aur zabardasti uski asmat dari ki, aurat ke shor machaane par log aagaye, aur zaani pakda gaya, rasool akram(sws) ne use sang saar karwa diya aur aurat ko chhod diya

(tirmizi, abu dawood)

aurat ki izzat wa aabru ke maamle me qaabil zikr aur aham baat ye hai ke shariat e islamiya ne uska koi maadi ya maali mu'aawza qubool karne ki izaazat nahi di


hz abu hurairah ra aur hz zaid bin khalid zuhni ra se riwayat hai ke ek arabi rasoollullah(sws) ki khidmat me haazir huwa aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Main aapko allah ki qasam deta hun ke mera faisla kitaabullah ke mutaabik kijiye,

muqaddame ka dusra fareeq ziyadah samjhdar tha usne kaha:- haan hamare darmiyaan kitabullah ke mutabik hi faisla farmayen, lekin mujhe baat karne ki ijaazat dijiye, aap(sws) ne farmaya, accha baat karo,

usne kaha ke mera beta uske ghar naukar tha toh usne uski biwi se zina kar liya ab log mujhse kahne lage ke tere bete ke Bete ke liye rajam(maut) ki saza hai, maine uske badle me, 100 bakriyan sadka kiya aur ek laundi ada ki hai

phir maine ahle ilm se poocha to unhone kaha ke tere bete ke liye 100 kodon ki saza aur ek saal ki jila watni( desh nikaala) hai, aur fareeq saani ki biwi ke liye sang saari ki saza hai,

rasoollullah(sws) ne farmaya:-" us zaat ki qasam jiske haath me meri jaan hai, main tumhare darmiyaan kitabullah ke mutabik hi faisla karunga, fareeq awwal ko huqm diya ke apni bakriyan aur laundi wapas le lo, tumhare bete ke liye 100 kode aur ek saal tak jila watni ki saza hai, phir ek sahabi hz anas ra ko huqm diya ke tum kal us aurat se jaakar poocho agar wah zina ka iqraar kare to use sang saar kar dena, hz anas ra agle roz gaye aur poocha aurat ne iqraar kar liya, nabi(sws) ke huqm se wah sang saar kar di gayi"

(bukhari, muslim)


aurat ki izzat wa aabru ka ye tasawwur islam se pahle kabhi na raha hai aur Na islam aane ke baad kisi dusre mazhab me hai,

ab ek nigaah maghribi(western) mulkon me se bil'khusoos america par daal li jaaye.

Taake sabse alambardaar mulk ki soorat maalum ho jaaye ke wahan aurton ki kya haalat hai


america ke ek school me do ladkon ne, ek 15 saal ki ladki se zina kiya, muqaddama adaalat me gaya to judge ne faislah me likha ke:-" ladkon ne lakadpan me sharaarat ki hai, use zina qaraar nahi diya ja sakta"

(nawa e waqt 30 december 1991)


ek america ke survey ke mutaabik, 1980 to 1985 ke darmiyaan shaadi karne waali ladkiyon me se sirf 14% ladkiyan haqiqatan kunwari thi, baaqi 86% shaadi se pahle hi apni asmat kho chuki thin,

80% se zyada ladke aur ladkiyan 19 saal ki umar(age) se pahle hi jinsi taalluqaat( sexual relation) qayem kar chuke hote hain


(1-2 october 1997 al-jumua monthly madison- U.S.A)


JAAN KI HURMAT:


Ba'haisiyat insaani jaan ke mard aur aurat donon ki jaan Ki hurmat baraabar hai,

allah ka farman hai

" aur jo shakhs kisi momin ko qatal kare to uski saza jahannum hai, jisme woh hamesha rahega, us par allah ka ghazab aur uski laanat hai, aur allah ne uske liye bahut bada azaab taiyyar kar rakha hai"

(surah nisa 93)


yani ek momin ka qatal shadeed jurm hai, jiski saza jahannum me hameshgi hai, ghazab ilaahi, uski laanat aur azaab azeem bataayi gayi hai,

itni shadeed sazaayen kisi aur gunaah ke liye zikr nahi ki gayi,

is gunaah ka andaaza is baat se bhi laga sakte hain ke allah taaka ne kai aayaat me shirk ke fauran baad ek momin ko qatl ka zikr kiya hai

irshaad farmaya

" aur allah ke saath kisi aur ilaah ko nahi pukaarte, na hi allah ki haraam ki hui kisi jaan ko na'haq qatl karte hain, aur na zina karte hain, alaawa yah ke

1- agar ko qubool islam ke baad murtad ho jaaye

2- agar koi shadi shuda zina kar baithe

3- agar koi qatl ahad kare,

(surah Furqaan 68)


hz abdullah ibn masud ra ka bayan hai ke maine nabi akram(sws) se poocha:-allah ke nazdeek kaunsa gunaah sabse bada hai ? Farmaya:- yah ke tum allah ke saath kisi ko baraabar thahraao, halaanke allah hi ne tumko paida kiya hai, maine arz kiya: kya ye toh waqai sabse bada gunaah hai, phir uske baad kaunsa ? Farmaya: ye ke apni awlaad ko is khauf se maar daalo ke wah tumhare saath khaaye, maine poocha phir uske baad ? Farmaya- ye ke tum apne padosi(neibour) ki aurat ke saath zina karo "

(bukhari 1094)


khutbah hajjatul wida me rasool akram(sws) ne irshaad farmaya:-" allah taala ne tum sab mardon aur aurton ke khoon,aur maal ko ek dusre par haraam kar diya hai"

(musnad ahmad)

aur farmaya

" tum mere baad kafir na ban jaana ke tum mese baaz log baaz logon ki gardan maarne lag jaana"


(bukhari 1709)


chunanche ek dusri hadith me aap(sws) ne saaf taur se farma diya ke:-" ba'roz qayamat Sabse awwal logon ke darmiyaan khoon kharaabe ke faisle kiye jaayenge, aur sab se pahle khatoon e jannat hz fatima ra, hz hussain ra ke khoon ka daawa karengi, ye uske khilaaf nahi hai ke sabse pahle namaz ke faisle honge, kyonke namaz huqooq ul allah mese hai aur khoon huqooq ul ibaad mese hai, huqooq ul allah me awwal namaz ke faisle honge, aur huqooq ul ibaad me awwal khoon ki parshash hogi,"

(bukhari)


khoon na'haq kisi muslim mard zan ka ho, ya ghair muslim mard zan ka, dono ka huqm ek hi hai, us se islam ki insaaniyat par jo roshni padhti hai wah bilkul saaf aur waazeh hai..

Aap (sws) ne farmaya:

" jo koi shakhs aisi jaan ko maar daale jis se muwaheda kar chuka ho wah jannat ki khusbu bhi na soonghega"

(bukhari 1806)


hz anas ra bayan karte hain ke madeena me ek laundi chandi(silver) ke zewar pahne bahar nikli, raawi ne bayan kiya ke phir use ek yahudi ne patthar se maar diya, jab use Nabi kareem(sws) ke paas laaya gaya to abhi usme jaan baqi thi, aap(sws) ne poocha tumhe falan ne mara hai, us ladki ne apna sar inkaar ke liye uthaaya, phir aapne poocha ke tumhe falan ne maara hai, us par bhi ladki ne nafi me sar uthaaya, teesri martaba aap(sws) ne poocha ke tumhe falan ne maara hai? Us ladki ne iqraar me apna sar jhuka liya, chunanche aap(sws) ne us shakhs ko bulaaya aur do pattharon ke darmiyaan rakh kar qatal kar diya"

(sahih bukhari)


aur ye baat bhi apni jagah musallam hai ke zamaana jahiliyat me aurton ki jaan ki koi keemat na thi, balke uski paidaish ko bahoosat ki alaamat tasawwur kiya jaata tha, isliye allah taala ne aurat ki jaan ki khaatir quraan kareem me bade ghazab naak lahze me aayat naazil farmayi

" aur jab zinda gaadi hui ladki se sawaal kiya jaayega ke kis gunaah ki wajah se wah qatl ki gayi"

(surah takweer ayat 9)


ye intehaai ghazab naak andaaz hai allah taala Zinda dafan karne waalon ko dekhna bhi pasand na karega aur us masoom se sawaal karega ke tum apna jurm bataao ke kis liye qatal ki gayi ho.

Ladki kahegi allah me jurm to bas itna tha ke tune mujhe ladki bana kar duniya ko raunak bakhsne ke liye bheja tha, magar insaaniyat se aari me walidain ne mere wajood ko tasleem nahi kiya

zamane jahiliyat ka yeh faal aaj bhi hamare culture me maujood hai jahan ladki ka pata chalte hi, uska maa ki god me hi qatl kar diya jaata hai,

jo family planning aur abortion ke naam se poori duniya me bade zor shor se jaari hai, kya kitab muqaddas par imaan rakhne waalon ki nigaahen quraan kareem ki tilaawat karte hue , is ayat kareema se nahi guzarti hain, jisme allah taala ne irshad farmaya

" aur (muflisi) ke khauf se apni awlaad ko qatl na karo, unhe aur tumhe bhi rizq ham hi dete hain,"

(surah bani israel 31)

yani gareebi ke khauf se aulaad ko qatal karna ye allah Taala ki razaqiyat par baraah raast hamla karna hai,


allah ham sabko is gunaah kabeera se bachne ki taufeeq bakhse...... Ameen

HINDUSTAN ME FIQH KI AAMAD(ENTRY) AUR USKI ISHAA'AT:











Bismillahirrahmanirraheem




HINDUSTAN ME FIQH KI AAMAD(ENTRY) AUR USKI ISHAA'AT:



Shuru islam me soorat e haal ye thi ke sahaba kiram sab ke sab fuqaha na they, aur na un sabse deen ki maalumaat haasil ki ja sakti thi, balke deen ke khusoosi haamileen quraan they,

in haamileen ko " qurra" kaha jaata hai, yani wah log jo kitabullah ki qiraat ba'khoobi karte they, aur ye isliye ke arab aam taur par ummi(uneducated) they, aur unme se jo kitabullah ka qaari hota wah ubhar kar saamne aa jaata aur aise afraad ki kaamyabi ki bina par uski ye imtiyaazi khususiyat deen se ba'khoobi waaqif hone ko sajhaane ke taur par istemaal hoti thi...


Phir islami mulk ki wasat( increment) hoti gayi, aur arab se jihaalat ka khaatma hota gaya, log kitab ilaahi me mahaarat haasil karte gaye, aur islam ki taleem har jagah aam hone lagi yah tak ke fuqaha ne takmeel paakar ek mustaqal ilm wa fan ki shaqal wa soorat Akhtiyaai karli, toh phir " qurra" ka lafz " fuqaha" se badal gaya,

aur fiqah ki do shaakhen(branches) footi,

ek ko " ahle qiyas wa raaye" kahte they aur ye ahle iraaq they,

aur dusre ko " tareeqe e ahle hadith" se yaad karte they aur ye ahle hejaz they"

(tareekh afkaar wa uloom islami 20/40)


sabse pahle ahlul raaye ke peshwa imam abu hanifa rh they, hanafi mazhab ko aalam e islam me riwaaj dene waalon ki tadaad bahut zyada hai, jin me abu bakr ahmad bin umar al khsaaf, (matoofi 261 hijri), aur abu zafar ahmad bin tahawi (321 hijri), ziyaadah aham hain,

tahawi misr(egypt) me hanafiyyah ke peshwa they, inki kitaab " ma'aani aasaar" aur "masqal ul aasaar" hindustan me shaaya(publish) ho chuki hai....


Uske baad ke sar baraah imam malik rh they, imam malik ke mazhab ko egypt, maghrib, aur andulus(spain) me bahut se ulema ne phailaaya,

us daur me abul salaam bin saeed maroof (240 hijri) zyada Mashoor hue... Unki kitab aaj bhi un mumalik me maaliki mazhab ka buniyadi maakhaz bani hui hai..

Imam malik rh ke baad imam shafai rh ki shakhsiyat saamne aati hai, imam shafai rh ke mazhab ko nashr karne waale ulama hain, abu ibraaheem ismael bin yahya mazni (264 hijri) zyada aham hain, inki kitab " al mukhtasar" ko shafai ke yahan ziyadah qubuliyat haasil hai,

unke baad imam ahmad bin hambal rh aate hain, inke aham shargird me abu qasim kharqi(334) they, jinki kitab " mukhtasar fi fiqh) kaahira(cairo) me taba ho chuki hai

(tafseel ke liye mulaheza ho, mukhtasar tareek adab arbi jild 4)


FIQHI MAZHAB


yun to is duniya me bahut saare fuqaha paida hue aur inke fiqhi mazahab bhi wajood me aaye..

Magar ummat e muslima ne jin mazhab e fiqah ko qubool kiya aur jab ab tak aalam e islam me islam me maujood hai wah 4 hain,

har ek ki nisbat alag alag imam ki taraf hai, fiqah hanafi imam abu hanifa rh, Fiqah maliki ki nisbat imam malik bin anas rh ki taraf, fiqah shafai ki nisbat imam shafai rh ki tarah aur fiqah hambali ki nisbat imam ahmad bin hambal ki taraf hai..

Inke elaawa ulema ka ek aisa giroh aisa paida howa jis ne sire se qiyaas ka inkaar kiya aur par amal ko baatil thahraaya, ye log "firqa zahiriyah" ke naam se yaad kiye jaate hain, is mazhab ke imam dawood bin ali (270 hijri) aur unke ladke abu bakr (297 hijri) aur unke ladke ashaab they, lekin zaahirah ka fiqhi mazhab bahut jald duniya se mit gaya, na uske aimma baqi rahe aur na wah jamhoor ki nigah me pasandeedah thahra,

aasaar qadmiyah ki haisiyat se mahaz kitabon ki jildon me mahdood hokar rah gaya


uske elawa ahle sunnat ke tamaam fiqhi mazhab khatm ho gaye, maslan sufiyan soori rh ki jo fiqah ko koofa ki sarzameen me raij thi, aur imam hasan basri rh ki jo fiqah basrah me me thi,

isi tarah imam ozzai rh ki jo fiqah mulk shaam (syria) wa andalus(spain) wagerah me aur imam ibn zarir tabri rh aur abu soor ki jo baghdad me thi,

arz ke ye aur inke siwa jin fuqaha ke fiqhi mazhab jin shahron me raij they wah sab khatm ho gaye aur mazkoor 4 fiqhi mazhab hi baaqi rahe

aalam e islam ki mukhtalif jagahon me in 4 fiqhi mazhab mese kisi ek ki qubooliyat haasil hui hai, maslan iraaq, azar baijaan, afghanistan, persia aur hindustan ke aksar musalman log fiqah hanafi par amal karte hain,

fiqah maliki, andalus, sudaan, africa etc me raij hai,

raha imam shafai ka fiqhi mazhab to sabse pahle uski nashr egypt me hui, phir iraq me uska asar pahuncha, aur baghdaad, khurasan, turaan, shaam aur yemen ke elaaqon me use ghalba haasil huwa, phir persia, hejaz aur hindustan ke baaz elaaqon me bhi uske qadam pahunche,

fiqah hambali ne baghdad me nashr o ishaat paayi, phir dusre ilaaqon me pahuncha, lekin baaqi teeno fiqhi mazhab se kam shaaye (popular) huwa, sarre zameen najd me fiqah hambali par amal hota hai..



HINDUSTAN ME FIQAH KI AAMAD AUR USKI ISHAAT:



Tareekh ke mutaale se ye baat saaf hoti hai ke hindustan ki zameen par islam do raaston se aaya, sindh ke raaste they, aur iraan ke raaste se,

pahla lashkar muhammad bin qasim rh ki qiyadat me pahli sadi hijri ke aakhir me pahuncha, us waqt aimma arba me se imam abu hanifa rh ke siwa baqi aimma paida bhi nahi hue they,

imam abu hanifa rh ka ye daur taalib e ilmi ka tha, imamat ka to sawaal hi paida nahi hota !


Ye lashkar "al hadith" tha,


dusra hamla 4th sadi hijri me sultan mahmood ghaznawi ki qiyadat me iraan ke raaste se huwa, ye fateh amuman hanafi they, unhi ki wajah se hindustan me hanfiyat poore zor shor ke saath pahunchi

( tahreek ahle hadith page 43)


ghaznawion ke baad 595 hijri mutabik san 1198 me delhi ki zameen par sahabuddeen ghauri ka qabza huwa,

uski takht Nasheeni se hindustan me " daur e sultanate" ki shuruaat hoti hai,

zaahir si baat hai ke begair kisi qanoon ke koi bhi sultanate bahut dinon tak nahi chal sakti, san 1198 se lekar 1857 tak, jab angrezo ne aakhiri musalman baadshah bahadur shah zafar ko takht se be'dakhal kiya, hindustani hukumat , khwaah wa sultan ki rahi ho ya mughals ki rahi ho, islami shariat ko sarkaari qanoon ke taur par nafez kiye rahi,

iska nateeja ye nikla ke fiqah islami ka daur daurah agar ek taraf qaaziyon aur sheikh ul islam ki adaalaton me raha to dusri taraf usi ki goonj madaaris wa makatib aur jaami'aat me bhi sunaayi deti rahi hai...


Shumail magrib (north-west) ke raaste se aane waale musalman (west asia) ki taraf se aaye they jahan hanafi fiqah ki ziyaadati haasil thi,

is tarah hindustan ki taqriban har muslim riyaasat hanafi mazhab ki pairokaar thi,

qaziyon ke faisle amooman hanafi fiqah ke mutabik kiye jaate They, aur fiqah hanafi ki mustanad awwal kitabein qaaziyon ke saamne rahti thi, aur madarse me student bhi unhi ko padhte they...


Samundari ilaaqe ke qareeb maslan madras(chennai) maalebaar, aur konkan me chunke ahle yemen aur ahle hejaz ki aamad zyada thi, isliye in ilaaqon ke log aam taur par fiqah shafai par aamil they, aur aaj bhi wah isi par qayem hain

fiqah maliki aur fiqah hambali ka koi asar hindustan me nahi hain... Haan kuch log tijaarat ke maqsad se hindustan aaye.


Hindustan me jitne fuqaha guzre hain aur fiqah wa usool fiqah par unhone jo kuch kaam kiya hai , sirf uski sar sari fehrist(list) bhi taiyyar ki jaaye to hazaaron page bhi naakaafi honge,

baher haal is mauzu(topic) par jo tahqeeqaat saamne aayi hai unse maaloom hota hai ke shuru ki do, teen sadiyon me jab ke musalmanon ke qadam yahan poori tarah se raij bhi na they,

hindustan me taqriban 300 fuqaha us haisiyat se paida ho Chuke they, jinke naam tazkiron me mahfooz rah gaya hain, uske baad ki to koi ginti hi nahi hai,

jahan tak tasneefaat ka talluq hai to ye kaha ja sakta hai ke is maidaan me " fatawa taataar khataniyah" ko awwaliyat ka darja haasil hai.

Ye kitab bahut dino tak hukumat ke kiye ek rahnuma kitab ka kaam deti rahi,

infraadi tafneefaat se qata nazariyaat ke ahtamaam me fiqah ke jo majmue murattab hue un me aham tareen kitab jise " fatawa alamgiri" hai jise " fatawa hindiya" bhi kaha jaata hai,

hindustan ke fiqhi adab ke zakheere me " fatawa alamgiri" ko hamesha numaaya haisiyat haasil rahi hai, lekin jahan tak infraadi tasneefaat ka talluq hai to unke baare me yaqeen ke saath kaha ja sakta hai ke islami hind ki tareekh me koi sadi aisi nahi guzri hai jab fiqah ki kisi na kisi kitab par kaam na kiya gaya ho...

Muslim daur e hukumat me bahut saare aise musalman baadshah guzre hain jo khud to shahab qalam they , lekin wa ulema wa fuqaha ki is darja khidmat aur izzat karte they ke baaz log aqeedatan wa muhabbatan apni kitaabon ko unke naam se mansoob karne me khushi mahsoos karte they, is silsile me feroz shah tughlak ke naam se mansoob kitab " fawaid e feroz shahi" ka naam pesh kiya ja sakta hai,

jo dar'haqiqat uske darbaar ke ek aalim ki kitab hai, jisme unhone zabaan farsi me fiqah hanafi ke fatawe ko jama kiya hai

jab adaalaton ke elawa madaaris me bhi fiqah ka bol bala huwa to madarson me bhi fiqah par kitabein likhi gayi, wah aam taur se students ki zaruraton ko poora karti thi,

yah kitabein amuman pahli kitabon ki sharah hoti thi,

misaal ke taur par ham sirf do mashoor hanafi fiqah ki kitabon ka zikr karte hain, ek hidaya hai jis par taqriban 15 hindustani ulema ne apne haashiye chadhaaye hain, aur dusri kitab "sharah wiqaya" hai jis ko 18 ulema ne apne keemti haashiya chadhaaye hain.

Fiqah ke elawa Usool fiqah par mukhtalif kitaben likhi gayi, jin me se qaazi shahabuddeen jaunpuri ki kitab "sharah bazdawi" aur allama muhibullah bihaari ki "musallam al saboot" khususiyat ke saath qaabil e zikr hain


(tafseel ke liye padhen ; hindustan me uloom islamiyah page 60,61,62)

is sar sari jayeza se kam se kam itna zaroor malum hota hai ke hindustan me fiqah ki aamad aur phir uski ishaa'at kaise hui ......

BIDAT PHAILNE KE ASBAAB AUR BIDAT KI TAREEF

Biddat Phelnay k Asbaab or Biddat ki Aqsaam






Bismillahir Rahmanir Raheem




Hazrat Abdullah Bin Masood R.A. sy riwayat hy k Rasool Ullah S.A.W. ny farmaya: 2 cheezen hain, ek kalaam, or doosra treeqa. pas sab sy behter kalaam ALLAH ka kalaam hy, or sab sy behter treeqa Muhammad S.A.W. ka treeqa hy. khabardaar!! (deen mein) nai nai baaton sy buchna, kiunky badtreen kaam deen mein nai cheezen peda krna hy, jabkay her nai baat biddat hy or her biddat gumrahi hy. Ibne Maja. Hadees No.46

Hazrat e Ayesha R.A. sy riwayat hy: Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: jis ny hamary deen mein aisi baat ka izafa kiya, jo is mein nhi, to is ki baat mardood hy. Ibne Maja. Hadees No.14, Musnad Ahmad, Tirmizi or Abu Dawood mein bhi ye hadees mojod hy.

Rasool Ullah S.A.W. ny Biddaat ko gumrahi frmaya. Biddat deen mein nai aijaad ka naam hy. lehaza duniya ki wo aijaadaat jin ka talluq deen sy nhi hy wo biddat nhi hain. maslan: khaany, malboosaat, auzaar, aalaat or gaarian waghaira. ye cheezen biddat nhi hain. Biddat ka itlaaq un kaamon per hota hy jin ka talluq deen sy ho. Biddat ki 4 qismen hain.
1. Aitqaadi Biddat: jaisy shirk ki tmam qismen.
2. Qauli Biddat: jaisy shirkiya kalmaat, naye naye Wazaif or Oraad waghaira.
3. Faili Biddat: Milaad, Qul, Teeja, Satwan, Daswan, Chaleeswan, Barsi, Urs, Melay waghaira.
4. Biddat Fish Shirk: wo tmam qauli or faili sunnaten jin k chhorny ko deen smjh liya gya ho, or agr in sunnaton ko kisi wqat susti ki waja sy chhor diya jaye to isy gunah kehty hain, Biddat nhi kehty.

Aaj kal kuch log biddat ki aqsaam ko aisy byan krty hain. kehty hain: Biddat ki 2 qismen hain.
1. Biddat e Hasanah: aijaad kiya acha kaam, to us k aijaad krny wala b sawab paye ga, or amal krny wala b sawab paye ga.
2. Biddat e Sayyiah: Aijaad kiya bura kaam to us k aijaad krny wala b gunah paye ga, or us pr amal krny wala b gunah paye ga.

Halanky aisy log sareeh ghalti pr hain. jab kaam hi bura aijaad kiya to biddat kesi???? wo to seedha seedha gunah hy... Biddat to tab hi ho gi jab us kaam ko acha smjha jaye ga, or deen mein shamil kiya jaye ga. aisy log khud b gumrah hoty hain, or ummat ko bhi gumrah krty hain. Zara ghaur kijiye, Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: her biddat gumrahi hy, or her gumrahi jahannum mein ly jany wali hy. Jb her biddat k bary mein Aaqa A.S. ki hadees mojod hy to phir aaj chahy 1000 qismen bana li jayen, biddat gumrahi hi rhy gi. Biddat achi nhi ho skti.

Quran e Kareem mein ALLAH Pak ka Irshad hy: aaj k din mainy tumhary liye tumhary deen ko mukammal kr diya, or tum pr apni naimat ko poora kr diya, or tumhary liye deen e Islam ko pasand kiya. Sorat ul Maidah. Ayat No.3

Imam Malik R.A. frmaty hain: Jis ny Islam mein koi nai baat nikali, or usy Biddat e Hasanah smjha, to us ny ye gumaan kiya k Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny Risalat puhanchany mein khyanat ki. (Nauzubillah.) kiunky ALLAH Pak ny farma diya hy k aaj k din mainy tumhary liye tumhary deen ko mukammal kr diya hy. lehaza jo cheez us din deen nhi thi, aaj bhi hergiz deen nhi ho skti.
(Kitab ul Aitisaam 47/1, Jild 50/2, Lishatabi Bahawala Minhaj ul Wazeh, Page No.16)

Is baat ko aap aisy b smjh skty hain k her acha kaam jisy aap acha smjh kr kren, deen nhi hoa krta. Kiunky deen to wohi hy jo Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny kiya, ya krny ka hukam diya ya Sahaba ko krty dekha or mana na kiya. Pehly tmam Ambiyaa ki shareeat mein logon ny isi trha biddaat ko daakhil kr k tehreef ki thi, wo log b isi trha apni marzi ki baaten biddat e hasanah keh ker apny deen mein shamil ker dety thy, jis baat ko dil chahta maan lety, jis baat ka dil na chahta inkar ker dety… isiliye ALLAH Pak ny Quran e Kareem mein tmam Eimaan walon ko hukam dy dia k ALLAH ki ittibaa kro or Rasool S.A.W. ki ittibaa kro, ab agr hum in dono qawaneen ko chhor ker nafs ki ittibaa kren gy to wo deen kesy ho skta hy?

Is ki misaal aisy smjhen k ek kamra kaaghazon ka bhara hoa hy or ek side per 1000 ka note para hoa hy, btaen chor kiya cheez churaye ga us kamry sy? Zahir hy aap ka jawab ho ga k 1000 ka note churaye ga. kiun? Isliye k hakoomat e waqt nay us note ki value btai hy, halanky hy to wo b kaghaz hi. Or baaqi kamra b kaaghazon sy bhara hoa hy, per us note per Hakoomat ki Muhur (stamp) hy jis ki waja sy us ki value hy. Isi trha jis kaam per Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Muhur (stamp) ho gi, wo kaam deen ho ga, or jis kaam pr Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Muhur (stamp) nhi, aisy kaam jitney marzi kr liye jayen un ki koi oqaat nhi, bilkul un kaghazon ki trha.

Lehaza amal py amal hy, kiun na un aamaal ko Sunnat k mutabiq adaa kiya jaye? Fazool kamon sy bucha jaye or Deen e Muhammad S.A.W. per hi chala jaye…

Naik aamaal wohi hain jo shareeat ny humain btaye hain, insan ki khawahish ka koi amal dakhal nhi k sirf us ki niyyat pr faislay hony lg jayen. Rasool Ullah S.A.W. ki Hadees e Mubarikah hy k aamaal ka daromadar niyyaton pr hy, baaz log is ka matlab ye nikalty hain k hamari niyyat achi hy isliye hum jo b kren gy humain sawab hi mily ga. Ye soch sarasar ghalat hy, kiunky sawab k tmam kam Rasool Ullah S.A.W. ummat ko bta gye. ab agr koi shakhs apny aijaad krda kaam ko sawab ka kaam kehta hy, ya jannat mein ly jaany wala kaam kehta hy to ye deen e Muhammad S.A.W. mein izafa hy.

Is ki misaal aisy smjhen k aik shakhs nimaaz parh rha ho, or wo sochy k ek rakat mein 2 sajday hain, per rukoo ek hy, kiun na main rukoo bhi 2 hi ker loon, ALLAH k aagy rukoo krna acha kaam hi hy bura thora hi hy? Ya koi sochy k maghrib ki 3 rakaten hain to main 4 hi parh lon level acha rhy ga, nimaz parhna acha kaam hi hy bura thora hi hy? Ab aap mujhy btaen k kia us shakhs ki nimaz ho gi?Yaqeenan aap kahen gy nhi. Isliye k us ka treeqa Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. k treeqy k mutabiq nhi hy. Aisi nimaz Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny nhi parhi. Lehaza aap kehty hain k us shakhs ki nimaz nhi hoi. Bilkul isi trha jo kaam Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki shareeat mein nhi hy, beshak wo jitna marzi kr liya jaye, beshak us pr jo marzi niyyat rkh li jaye wo sawab ka kaam nhi ho skta, wo deen e Muhammad S.A.W. nhi ho skta.

Lehaza humain tmam biddaat sy buchna chahiye, Hazrat Huzaifa R.A. sy riwayat hy k Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: Biddati ka ALLAH Pak, Roza, Nimaz, Sadqa, Hajj, Umrah, Jihad, Farz, Nafal (gharz koi bhi naik amal) qabool nhi frmata. wo (Biddati) Islam sy is trha nikal jaata hy, jis trha baal aaty sy nikal jaata hy. Ibne Maja. Hadees No. 49

ALLAH sy dua hy k ALLAH hum sab ko biddaton sy buchny ki taufeeq ataa frmaye, or humain Siraat e Mustaqeem pr chalaye, aameen summa aameen.

Wa Maa Alainaa Illal Balaagh ul Mubeen.

VALENTINE DAY (EK BADKAAR AMAL)



VALENTINE's DAY=



Ye festival BADKAAR aur AYYAASH logo ka Din hai.


Quran mein Allah ne farmaaya hai,


"Aur KHULI aur POSHEED AASHNAAYI mat karo".

Aur farmaaya,

"Zina ke QAREEB bhi MAT jaao".


Girlfriend banaane ka Maqsad kya hota hai?

Kya koi Ghairat-mand aur Ba-Haya ladka pasand karega ki uski BEHAN (sister) bhi kisi ladke ko apna Valentine banaye?


Rasoolullah (s.a.w.) ne farmaaya: Jab tum mein SHARM, HAYA NA RAHE, toh jo chaahe karo.

Aur farmaaya: Jisme SHARM, HAYA NAHI usmein Eemaan NAHI.

Imam Shafi'ee (Rh) ne farmaaya:-"Zina ek QARZ hai jo Teri BEHAN ya BETI se wasool kiya jaayega!"


"Bachchiya (daughters) Jab Se Meri Jawaan Hone Lagi, Mujhe Is Daur Ke Taraane Achchhe Nahi Lagte!".


"Qabr Ke Pat'thar Ke Neechey Thi Meri Ayyaashiyan, Aur Mere Aamaal Ka Saaya Mere Bachchon Pe Tha!".


Sudhar jao musalmano

WAHABI AUR WAHABIYYAT KA JAYEZA





Bismillahirrahmanirraheem



LOG HAMEN WAHABI KAHTE HAIN !!!



Sultan abdul aziz aal e saud, saudi arab ke na sirf baani hain, balke zazeerah arab me sahih islami aqeede aur quwwat imaani ki alaamat jaane jaate hain,

allah taala ne unhe quwwat wa shajaa'at ke elawah be'baaq aur be'laagh tabiyat bhi ata farmayi thi, haq gayi ki waazeh misaal sultan marhoom ki taqreer par jo unhone 1348 hijri me makka mukarrama me hejaz ki zameen me ki thi.... Wo is tarah hai



log hamen wahabi kahte hain, hamare tareeqe ko wahabiat se mansoob karte hain, jaise ye koi khaas mazhab wa maslak hai, jab ke ye ek khuli ghalti hai, jo mahaz jhoot aur mukhatif saazish ke hasool ke liye chand logon ki jaanib se udaayi ja rahi hai,

ham kisi jadeed maslak ya aqeede ka daawa nahi karte, na hi muhammad bin abdul wahab rh ne koi nayi cheez pesh ki, balke hamara aqeeda hai jo kitab wa sunnat me mazkoor hai, jis par salaf wa Saaliheen ka amal rah chuka hai,

ham 4ron aimma kiram ka ahteraam karte hain, hamare nazdeek imam malik, imam shafai, imam ahmad bin hambal , imam abu hanifa ke darmiyaan koi farq nahi, balke tamam aimma hamare nazdeek mohtaram hain,

yahi wah aqeeda hai jiski jaanib sheikhul islam muhammad bin abdul wahhab rh ne daawat di, yahi hamara aqeeda hai jo allah aala ki us khaalis tauheed par mabni hai jo tamaam shirk wa bidat ki gandagion se paak wa saaf hai,

chunancha is aqeeda e tawheed ke jaanib ham bulaate hain aur yahi aqeeda hamari tamaam mushkilaat ka hal(solution) hai, is aqeede ke elawa mushkilaat ko hal karne ki gharaj se jin umoor ki jaanib bulaate hain unme na hamari nijaat hai aur na hi ham manzil ko paa sakte hain,

musalman us waqt tak khair par qayem rahe jab tak unhone kitab wa sunnat ko apna dastoor banaye rakha, dar'haqiqat kaamyabi qalma tawheed ko apnaane se haasil ho sakti hai...



Ham us baad ke qaayel nahi jiske apnaane se ham apne deen wa aqeede se haath dho baithen, hamen to allah rabbul izzat ki raza ki talab ki buniyaad par amal karna hai, hamare liye allah kaafi hoga, wahi hamara naasir hoga,

kitab wa sunnat ki jaanib lautna hi hamare liye nijaad ka ba'as ban sakta hai,

musalmano ne kitab wa sunnat par amal ko tark kar diya aur wah mukhtalif buraaiyon aur gunaahon me ghir gaye,

chunanche allah taala ne bhi unhe zaleel kar diya, agar wah kitab wa sunnat par mazbooti se qayem rahte to aaj jin haalaat se do chaar hain to ye haalaat nahi hoti,

meri koi haisiyat nahi thi, magar aaj ek wasi wa areez mulk par mujhe ghalbah haasil hai, maine is sar zameen par ghalbah haasil kiya jab ke mere paas siwaaye imaan aur tawheed ki quwwat ke aur koi cheez nahi thi, chunananche allah taala ne meri madad farmaya..

Main nikla tha jabke mere paas koi zaahiri zariya maujood nahi tha, Shuruaat me dushmano ne mujh par ghalbah haasil kar liya, magar phir allah taala ne mujhe fatah se nawaaza aur mere haathon is zameen ko fatah hui..


Kitab wa sunnat ko chhodne ki wajah se musalman aaj mukhtalif girohon aur jamaaton me taqseem ho chuke hain, aur sabse badi ghalti ye hai ke ham apne is ikhtelaaf aur tafarraqa ka sabab ghairon ko qaraar dete hain, hamari musibaton ka sabab ham khud hi hain, gair nahi,

kusoorwaar tamam ke tamam musalman hai koi ghair nahi, ek mazboot imaarat ko koi cheez kamzor nahi kar sakti... Elawa uske jo ghaddari se usme koi suraakh na kar de

isi tarah musalman hain, agarchah ye muttahid wa muttafiq hon to kisi ki ye himmat nahi ke in safon me bigaad paida karen,

musalman us waqt tak khair par hain jab tak wah ek hain aur kitab wa sunnat par amal hai, wah tauheed ki dawat dete rahege to aise musalmano ke qadam ba qadam aap mujh ko paayenge, mujhe na huqumat se Dilchaspi hai aur naa hi baadshahiyat se muhabbat, mera maqsad sirf aur sirf allah taala ki raza aur tauheed ki dawat hai..



SHEIKH MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB (RH)



WAHABI AUR WAHABIYYAT:


Arf aam me aqeedah tauheed ko qubool karne aur shirk aur bidat ka inkaar karne wale ko WAHABI aur us dawat ko WAHABIYYAT ke naam se yaad kiya jaata hai,

haalanke sheikh muhammad bin abdul wahhab rh 1703 me paida hue aur 1792 me inteqaal kar gaye, is arsah me unhone is naam ki na koi tanjeem banaayi aur na koi jamaat, balki unki dawat aur taalimaat kitab wa sunnat ke siwa kuch nahi thi, lekin siyaasi logon aur firqa paraston ke ba'as sheikh ki dawat ko wahabiyat ka naam dekar is tarah pesh kiya gaya goya ye islam se khaarij kisi dusre mazhab par amal paira huwe hon ya jisse ghair islami taaqaton ne koi khatrah mahsoos kiya fauri uska rishta wahabiyyat se mila diya

kyonki logon me ye daawat apni maanawi khoobsoorti Ke bawajood ek gaali ban kar rah gayi... Aaj bhi log lafz wahabi ko gaali samjhte hain

aur agar ghaur kiya jaaye to kisi ko wahabi ka laqab dena is baat ka elaan karna hai ke ye shakhs quraan wa sunnat ka paband aur shirk wa bidat se be'zaar hai...


SHEIKH MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB RH KE KHILAAF PROPAGANDA KI WAJAH:


Sheikh ke islaah aqaid wa amaal ki daawat jon jon phailti gayi aur jihaad ke maidan me bhi kaamyaabiyan hone lagi, sheikh aur un ki dawat aur afkaar wa khayalaat ke khilaaf propaganda aam hota gaya aur inke khilaaf propaganda karne walon me turkey hukumat, haramain ke sajjaada nasheen aur ghair muslim aqtadaar pasand shaamil they,

turkey hukumat chunke khilaafat e rasheeda ke waaris ke taur par pahchaani jaati thi, unhone mahsoos kiya ke najd aur qarab wa jawaar ke ilaaqe unke control se nikal rahe hain, lihaaza siyaasi inteqaam me wah pesh pesh hue,

haramain sharifain me mukhtalif Qabron par qubbe taameer kiye gaye they, aur har qubbe ka ek sajjada nasheen tha aur ye qabren unki aamdani ka bahut bada zariya thin,

sheikh ki dawat e tawheed ki maar unki aamdani par lagi aur log qabarparasti se tauba karne lage,

lihaaza ye tabkah unke khilaaf ho gaya aur chunke haramain hi me duniya bhar ke hajjaj kiram jama howa karte they aur wahan ki suni sunaayi baton par yaqeen karke apne apne mulkon me naqal karte they, jisse mukhatalif mulkon me sheikh ki dawat ke khilaaf shak wa subuhaat paida hone lage aur isko ghair muslim wa nafs paraston ne khoob hawa di, jisse awaam wa padhe likhe log bhi ghalat fahmi ka shikaar hogaye


SHEIKH MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB (RH) KA FIQHI MASLAK



Sheikh deen ko uski asal shakl me dekhna chaahte they, aqaid wa aamaal me salaf wa saliheen ke tareeqe ke mutabik quraan wa sunnat ki pairwi karte, fiqhi masail me khaandaani riwaayaat ke mutabik imam ahmad bin Hambal rh ke fatawon par amal kiya karte they, ba'sharte ke uske khilaaf koi sahih hadith na mile aur agar koi sahih hadith mil jaaye jo imam ahmad bin hambal rh ke fatawa ke khilaaf ho to sheikh ko us hadith par amal karne se duniya ki koi taqat rok nahi sakti thi,

nez imam ibn taimiyya, imam ibn qayyim ki bahut qadar karte they, aur in buzurgon ki kitabon ko khusoosi ahmiyat diya karte they lekin wah unki taqleed ko durust nahi samjhte they, taalib ilmi hi ke zamaane me wah apne waalid mohtaram aur chacha jaan se hambali maslak ke kai fatawon ke khilaaf hadith ki roshni me bahes kiya karte...


SHEIKH MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB RH KI DAWAT KE BUNIYADI USOOL:


Sheikh ki dawat quran wa sunnat ko qubool karne aur us par amal karne ki dawat hai unki dawat ka khulasa yah hai..

1- jis deen ko allah taala ne apne nabi hazrat muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) par naazil farmaya usko begair kisi chun Chara ke qubool kiya jaaye

2- deen me daakhil hone ke liye tauheed ka iqraar aur shirk se doori zaroori hai, har wah cheez jo shirk ki taraf le jaati ho usse door rahna laazmi hai

3- nabi kareem hazrat muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki itteba har musalman par farz hai, lihaaza musalman ko chahiye ke wahi nabi hazrat muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) se gahri muhabbat karte hue aap hazrat muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke tareeqe ke mutaabik zindagi guzaar de aur har wah cheez jo bidat ki taraf le jaati ho us se doori akhtiyaar kare

4- fiqhi masail me ulema kiram khususan aimma arba ka ahteraam zaroori hai lekin kisi ki andhi taqleed durust nahi aur na hi hadith sahih ke muqaablah me kisi ki raaye ko tarjeeh di ja sakti hai

5- har musalman ke liye laazmi hai ke wah daawat deen me apni taaqat ke mutabik hissa le

6- zulm wa sitam ki rok thaam aur hudood allah ko nafez Karne ke liye quran wa sunnat ki sharait ke mutabik jihaad ki taiyyari bhi zaroori hai.......


ALLAH HAMEN LOGON KI GHEEBAT KARNE SE MAHFOOZ RAKHE........AMEEN SUMMA AAMEEN



TAKHNO (ANKLES) SE NEECHE LIBAAS !



Bismillahirrahmanirraheem




TAKHNO (ANKLES) SE NEECHE LIBAAS !



Wah shakhs kaamyaab wa kaamraan ho gaya jisne apni dunyawi zindagi ko islam ke saanche me mukammal dhaal liya aur allah wa rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki itaat ka huqm baja laaya..


Lekin aaj ham nafarmanio par nafarmaniyan karte chale jaate hai aur dil hai ke ahsaas karta hi nahi aur ahsaas bhi ho to kyon!

Jabke siyaah kaariyon ke ahsaah par dhool jam chuki hai,


unhi siyaah kaarnaamon mese ek ye hai ke aaj ham libaas jaisi allah ki azeem nemat aur saamaan e zeenat me be'parwaahi ka shikaar ho chuke hain,

maujoodah waqt ke libaas ki tamaam kharaabion ko nazar'andaaz karte hue, agar aap sirf asbaal (pajama, lungi, pant wagerah se neeche pahanne) par ghaur karen toh ummat ki ek badi tadaad usme mulawwis milegi,

pajaame, lungi, pant wagerah ka takhno se neeche pahanna ek aam baat ho gayi hai, ya yun samjh lijiye ki fashion ho gaya Hai,


be'namazion ka toh kahna hi kya ! Namazion par agar aap nazar daalen to aksariyat is jurm azeem me lath path nazar aayegi, aur iske chand asbaab hai,

unme se kuch ye hain

1- yahudi wa isaayi ke chalan ko baa'as fakhr samjhna

2- faishion me dewaana hona

3- mu'ashre ki malaamat ka khyaal karna, ya ye sochna ki ' duniya kya kahegi '

4- hadithon ki baatil taweel , yani bila'taqabbar aisa karne me koi harj nahi,


unhne asbaab ke bina par zaroori hai ke ham is mauzu par kuch tafseel se roshni daalenge taake gunah azeem ki haqiqat saamne aaye aur ham aapko iski artakaab se mahfooz kar saken



LIBAAS KI MUSTAHAB AUR AAKHIRI HADD :



zeil me sabse pahle wah hadisen pesh ki jaati hain, jinme libaas, lungi, wagerah ki pasandeedah (mustahab) aur uski aakhiri haddh bayaan ki gayi hai..


Hz abdullah bin umar (ra) ka bayaan hai ke :-"main rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas se guzra, Meri tah'band (zarurat se zyada) neechi thi, toh aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya :-" aiy abdullah apni lungi unchi karo", maine kuch aur uper kar li, phir aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya :-" aur zyadah unchi karo ", chunanche main iska hamesha khyaal karta raha yahan tak ke baaz logon ne kaha ke kahan tak ?? Farmaya:- " nisf pindaliyon tak "..

( sahih muslim kitabul libas 5462)


is hadith se malum huwa ke paayjaame aur lungi wagerah ka aadhi pindaliyon tak pahanna rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko zyada mahboob tha,

aur

hz huzaifa (ra) se riwayat hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" lungi (wagerah) ki pasandeedah hadh nisf pindaliyon tak hai, agar tumhe ye gawaara na ho toh thodi aur unchi kar lo, aur us par bhi bas na ho toh pindaliyon ki aakhiri hadd tak rakho, lekin lungi (wagerah) ka koi hissa Takhno par ya zer e takhnah par rahna durust nahi hai"

(nisaai 5331, imam nisaai aur imam hakim ne sahih kaha hai)



is hadith par ghaur karne se pata chalta hai ke paajama lungi wagerah ka pasandeeda maqaam aadhi pindali hai, dusra darja uski kuch neeche ka hai, aur phir teesra darjah takhne se uper ka hai, lekin isse neeche latkaana durust nahi hai balke HARAAM hai,


hafiz ibne hajar asqalani (rh) farmate hain:-" ek hadh mustahab hai aur wah ye hai ke momin izar (lungi) aadhi pindaliyon tak pahanne par amal kare aur dusri hadh jawaaz ki hai, aur wah ye hai ke izar (lungi) ki aakhiri hadh takhno tak hai, yani takhne ke uper tak "


( fath ul bari 10/220)



TAKHNO SE NEECHE LIBAAS PAHANNE KI MANAAHI WA MUZAMMAT:



is qism me mukhtalif qism ki hadithen warid hui hain,


1- ALLAH KI NAZAR E MUHABBAT SE MAHROOMI


Libaas ko takhno se neeche pahanne waale ki taraf allah taala apni nazar e rahmat se nahi Dekhega.


Nabi akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya :-" allah taala uski taraf nazar nahi farmaayega jo izaar (lungi, pajama, pant wagerah) ko takhno se neeche tak latkaata hai"


(sunan nisaai bab asbaal izaar)


2- ALLAH TAALA KI NAZAR E RAHMAT, HAM KALAAMI AUR GUNAAHON KI SAFAAI SE MAHROOMI, AUR DARDNAAK AZAAB



Nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad giraami hai :-" teen qism ke logon se allah qayamat ke din na ham'qalaam hoga, na unki taraf nazar (rahmat) farmayega aur na hi unko gunaahon se paak wa saaf karega, aur unke liye dardnaak azaab hoga, ek wah shakhs jo libaas ko takhno se neeche latkaata hai, dusra ahsaan jataane waala, teesra jhooti qasam kha kar apna samaan bechne waala"

( muslim kitabul imaan, bab, bayan ghalat tahreem al asbaal hadith 493)


toh phir ek momin bande ko ye kaise gawaara hona chahiye ke wah koi aisa amal kare Jisse uska pyaar karne waala rabb usse ruth jaaye, usse ham kalaami band kar de, aur gunaaho se bojhal uske kandho ko azaad na kare,

balke rahmat ki jagah ghazab aur pyar ki jagah nafrat ki nigaah se dekha jaaye


3-GHUROOR WA GHAMAND SE LIBAAS TAKHNE SE NEECHE PAHANNA


Ye jurm is waqt zyada ba'as nafrat aur sabab e ghazab ho jaata hai jab aisa karne waala shakhs taqabbur aur fakhr ke taur par kare, kyonke allah taala ko taqabbar aur fakhr karne waala na'pasandeedah hai, aur jo shakhs apne libaas ko takhne se neeche pahanta hai uske dil ke kisi na kisi goshe me ghamand wa chalan zaroor chhupa hota hai..... Aise logon ko ghaur o fikr karna chahiye


hz abdullah bin umar (ra) se riwayat hai ke allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne bhi shekhi aur takabbar ke taur par apne kapde ko zameen me ghaseeta, allah qayaamat me uski taraf nahi dekhega", hz abu bakr (ra) ne arz Kiya :-" agar main baar baar khyaal na karun to mere kapde ka ek kona ghaseet'ta rahta hai", toh aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" aiy abu bakr tum aisa ghuroor ke taur par nahi karte "


( sahih bukhari kitab fazail e ashabul nabi sallalaho alaihi wasallam (pbuh), baad bab qaulun nabi sallalaho alaihi wasallam (pbuh) lu qunnat hadith 3220)



EK BAATIL SOCH(THINKING) KA JAWAAB AUR EK SHUBAH KA ILAAJ:



Yahi wah hadith hai jiski ghalat taweel karke ummat ka ek taqbah barelwiyyah ye kahta hai ke:

" bila taqabbar wa ghuroor ke takhne se neeche libaas latka lene me koi harj nahi, kyonki hadith me toh taqabbar wa ghuroor ki qaid lagi hai aur hamaare andar taqabbar nahi hai balke ek aam chalan ke taur par ham aisa karte hain, isliye hadith me mazkoor aid ham par aa'ed nahi hoti "


JAWAB:


iske mukhtalif jawab hain


pahla jawab ye hai ke is hadith me aur us maana ki dusri Hadith me mazkoor wa aa'eedon ko alag alag haalaton par mahmool karna chahiye... Jaise ke baaz halaat ka bayaan peeche guzar chuka hai,


dusra jawab ye hai ke, hz abu bakr (ra) ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne taqbbar aur ghamand se bari qaraar diya tha ,

toh kya aap ke liye bhi koyi aisi zamaanat hai jiski bina par aap apne ko taqabbar aur ghamand se paak qaraar de rahe hain ??

Balke hadith e rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saamne sar tasleem kham na karna waazeh hai ke dil me kuch marz hai jiski wajah se hadith ki taweel ki ja rahi hai...

Is silsile me musalmano ki ek jamaat badi deleri (bravery) se hadith me aayi hui tamaam tar aa'eedon ko ye kah kar nazar andaaz karti aur mazaaq udaati hai ke:- " ham in chhoti chhoti sunnaton ke chakkar me nahi padhte"........ NAOZUBILLAH...


Hamen toh hukumat e ilaahiya ke qayaam ki jaan tod koshish karni hai aur amli taur par Bhi is jamaat ke bade bade zimme daaraan iska namoona pesh karte hue nazar aate hain, yaani daardhiyan (beard) kaafi hadh tak kati aur chatti hui aur libaas takhno se neeche latakte hue....... (aisi soch se allah bachaaye)


teesra jawab ye hai ke mazkoorah taaweel baatil ki tardeed aur is shubah ka ilaaj khud hadith e rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne kar di hai...


" libas ko takhne se neeche pahanne se bacho kyonke wah taqabbar ki alaamat hai "


(sunan abu dawood, al libaas, aur haakim ne ise sahih kaha hai, fath ul bari 10/312)


is hadith ne bilkul waazeh kar diya,

chunanche ab har qism ka shubah khatm ho jaana chahiye. Aur maan lena chahiye ke ye taqabbar ki alaamat hai


allah taala ka irshaad hai:


" bila'shubah momino ka ye tareeqa hona chahiye ke jab unhen allah aur rasool ki taraf faisle ke liye bulaaye jaaye toh unhe sam'ana aur at'ana kahna chahiye"

(Qur'aan)..


Chautha Jawab ye hai ke kya salaf (rh) ne bhi wahi maana samjha tha jo aaj ke aqali ghode daudaane waale samajh rahe hain ?? Aapko "nahi" me jawab milega


chunanche hz abdullah bin abbas (ra) har haal me zameen par izaar (libas) ghaseetne ko na'pasandeedah farmate they "

( fath ul bari 10/314)


hafiz ibn hajar asqalani (rh) ne fath ul bari me hz abu bakr bin al arabi (rh) ka qaul naqal kiya hai, wah farmate hain ke

" kisi shakhs ke liye jayez nahi ke apne kapde ko takhne se neeche pahne, aur iski taweel kare ke "mere andar ghamand nahi hai "


(fath ul bari 10/325)



GHUROOR WA GHAMAND SE LIBAAS TAKHNE SE NEECHE PAHANNE WAALA AADMI ZAMEEN ME DHANSA DIYA GAYA:



Uper jo aa'eed toh qayamat ke talluq se mutaallik hain,


albatta hadith me aise namoone bhi milte hain ke taqabbar ke saath libaas ko ghaseet kar chalne waale ko zameen me dhansa diya gaya..


Chunanche imam bukhari (rh) ne apni sahih me ye hadith Naqal ki hai

" hz saalim bin abdullah (ra) apne waalid se riwaayat karte hain ke rasoollulah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ek shakhs izaar ghaseet'te hue taqabbar ke saath chal raha tha ke zameen me dhansa diya gaya, aur wah yaum e qayamat tak zameen me dhansta hi jaayega"

( rawaah bukhaari, kitabul libaas bab min jarshu'bah khaila 5790)



zara ghaur farmayen ke duniya hi me is gunaah ka ye anjaam huwa, ye waqeya qayamat tak ke logon ke liye ibrat aur sabaq liye hue hai,

jabke allah ki rahmat ye hai ke wah apne bandon ko gunaahon ki saza fauran nahi deta, lekin kabhi kabhi ibrat ke liye kisi ko fauran saza bhi di jaati hai taake log usse nasihat haasil karen,


allah taala ghamand wa taqabbar karne waale ko pasand nahi farmata


hz mugheera bin shoiba (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sufyan bin sahal (ra) ki chaadar pakad kar farmaya:-" aiy Sufiyaan asbaal (taqabbar ghamand) na karo kyonke allah asbaal karne waalon ko pasand nahi karta"


zara ghaur farmaayen ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahabi ko allah taala ki muhabbat ka waasta diya ke tumhaar ye amal tumhare mabood e haqeeqi aur pyaar karne waale rab ko pasand nahi,


kya hamen allah ki muhabbat wa chahat ki zaroorat nahi ?

Hamen chahiye ke un tamaam aamaal se kinaara kash ho jaayen jo allah ko na'pasandeedh ho,

bil'khusoos taqabbar wa ghamand se..


Allah ham sabko taufeeq ada farmaaye... Ameen



TAKHNO SE NEECHE LIBAAS SE DHAKA RAHNE WAALA HISSA AAG ME JALEGA!!!



Hz abu hurairah (ra) riwayat karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya :-" takhno ka jo hissa izaar se dhaka hoga wah aag me daakhil hoga"


(bukhari kitabul libaas 5787)


aiy momin bande ! Ek taraf ahle duniya ki malaamat hai, logon ki taana zani hai, doston se aar Hai, muashre ka lihaaz hai, faishion aur nayi tahzeeb ki chamak damak hai aur yahud wa nasaara ki itaat guzaari hai aur dusri taraf allah ki naraazgi hai, dardnaak azaab hai, nazar e rahmat se mahroomi, naar jahannum ki dhamki aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki naafarmaani !!!

Dekh aakhir tujhe kya pasand hai ?? Aajizi duniya ki bahaaren aur ahle duniya aur doston wa ahbaab ki khus'noodi ya rabb ka ghazab aur aakhirat ki holnaaki wa azaab ???


NAMAZ AUR TAKHNO SE NEECHE LIBAAS :



Yun toh libaas ko takhno se neeche pahanna ek azeem jurm hai, lekin ye jurm us waqt aur bhayanak ho jaata hai jab haalat e namaz me bhi is par asar rahe..

Jabke allah taala ne qur'aan kareem me salaat ki sifat ye batlaayi hai ke:-" salaat fahas aur buri baaton se rok deti hai"

(ankaboot 45)


aise logon ko allah se darna chahiye aur apni nigaahon ke saamne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Ki wa'ed par nazar rakhna chahiye

" haalat e namaz me libas ko takhne se neeche latkaane wala allah taala k haraam wa halaal par imaan nahi rakhta aur allah k deen me uska kuch hissa nahi hota"

(abu dawood kitabul libas ba'sanad hasan, fath ul bari 10/317)


ham namazion ko is shakht waeed(huqm) par karte hue is gunaah ke artekaab se baaz aa jaana chahiye..

Haasil e kalaam ye hai ke takhne se neeche libaas pahanna gunaah e kabeera hai, aur duniya wa aakhirat dono me allah ke ghazab wa aitaab ka baa'as bhi hai,

lihaaza hamen duniya ki malaamat ka khauff nahi karna chahiye, na mu'ashre ke aar ki fikr karni chahiye, na hi ghairon ki TAQLEED ke ham diwaane bane, na faishion ki leharon me bahein aur na hi dost wa ahbaab ki taana zani ki parwaah karen..

Balke pahli fursat me hamen is gunaah ki tauba kar leni chahiye...

Allah taala hamen aur bhaiyon ko is azeem jurm ko tark karne ki taufeeq ata farmaye... AMEEN