Saturday, 24 March 2012

11wi kI HAQEEQAT



Bismillahirrahmanirraheem





GYAARVI (1)U=>

Gyaarvi
- Urdu, NON-ARABIC lafz hai.
- Dus(10)vi ke baad, (11th).

- Nabi(SAW) ARABI,
- Quran ARABIC Me naazil hua,
- Shari'at ARABIC Me,
- Deen MukaMMal ARABIC Me hua.

GYAARVI ka Ta'alluq;

- URDU zubaan,
- Hind-Pak Bar-Sagheer ke logo se hai.

- NA Nabi(SAW)se,
- NA Arabic zubaan se hai.

GYAARVI naaM ki, IslaM Me;
na koi Eid,
na koi RasM,
na koi aMal,
na koi Neki aur
na hi koi Wajood hai.

- IslaM ka GYAARVI se KOI Taa'lluq NAHI.
Ye ek NAYI cheez(BIDDAT) hai.
Iske karne se KOI Sawab NAHI, balke GUNAH hai.

# Deen Me 'HAR Nayi Cheez', BIDDAT hai.
Aur 'HAR Biddat', GUMRAHI hai.

> Abu Dawood 4609.

# Aur 'HAR GuMraahi',
AAG (JahannuM) ki taraf le jaane wali hai.

> Ibn KhuzaiyMa 1785.

Allah ne IBADAT(har NEK AMAL ko) MUQARRAR kar diya hai.



# HuMne(Allah),
tuM Me se har(UMMat) ek ke liye,
ALAG SHARIYAT aur Kushadaah RAAH-e-AMAL banaya hai.

> Maeda(5):48.

# HuMne(Allah),
HAR UMMat ke liye
Ek Raah (AhkaM-e-Shariyat) MUQARRAR kar di hai
aur unhein ISI par chalna hai .

> Hajj(22):67.

Sabse Nek, Behtareen aur Ibaadat-Guzaar Insaan banna hai?

# 'HARAAM cheezon se Bach jaao',
sabse B-E-H-T-A-R-E-E-N 'IBAADAT-GUZAAR' ban jaaoge.

> TirMidhee 2305.

HAR Biddat, Sunnat ke Khilaaf hoti hai aur us par aMal karna 'HaraaM' hai.

# Jo cheez tuM ko Rasool(SAW) de, WOH le lo;
aur jis se MANA'A kare, us se BAAZ raho(Bach jaao).

> Hashr(59):7.

# Aye IMaan walo !

- TuM ALLAH ki Itaa'at kiya karo aur
- RASOOL(SAW) ki Itaa'at kiya karo aur
'apne Aa'Mal BARBAAD NA karo'.

> Surah MuhaMMad(47):33.


Allah ka Deen MukaMMal ho chuka hai.

"Maine(Allah) aaj tuMhare liye,
tuMhara Deen MUKAMMAL kar diya hai."

> Maeda(5):3.

- Allah ke Deen Me haMare Pyare Nabi(SAW) ne,
'GYAARVI jaisi KOI RasaM' ka
NA hi Zikr kiya aur
NA hi Manaane ka hukM diya.

- GYAARVI ke naaM par aise RasooMat Manaana IslaM NAHIN, 'Be-Deeni' hai.
- Inka ehtaMaaM saraasar BIDDAT hai.
isliye ke aisi RasaM,

NA Nabi(SAW) ne,
NA Khulafaa-e-Rashideen(RA) ne,
NA Sahaba(RA) ne,
NA Tabai'een(Rh) ne,
NA Taba'a Tabai'een(Rh) ne,
NA Aa'iMMa(Rh) ne,
NA Mufassireen(Rh) ne aur
NA Muhaddiseen(Rh) ne Manaayi,
NA aisa koi waaqiya saabit hai, jis se iska saboot Milta ho.

Is RasaM ka
-NA Allah ke Deen se aur
-NA hi Nabi(SAW) ki Sunnat se KOI Ta'alluq hai,
balke yeh Ahle-BIDDAT ki den hai.


- Yeh RasaM (Biddat) KAB aur KAISE shuru' hui?

- 'Ahle-Biddat'

GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ke naaM Eesaal-e-Sawaab,
ke taur par Manaate hain.


Is Biddat ki TAARIKH (History)->

AllaMa Ya'fi, 'Qurrat-un-Naazirah' Me,
page 11 par likhte hain;

"Peeran-e-Peer,
'Har saal Rabi-ul-Akhir ki GYAARAH' ko Nabi(SAW) ki NIYAZ [Nabi(SAW)ka URS] dilvaya karte.
Ye NIYAZ itni Mashoor-wa-Maqbool hui ke,
Peeran-e-peer 'HAR Maah ki Gyaarah taarikh ko', Nabi(SAW) ki Niyaz dilvate.
Rafta rafta, yehi NIYAZ ab Khud Shaykh Abdul Qadir Jilani ki Niyaz qaraar payi."

> Taaruf Syedna Ghaus-e-AzaM, pg 16.

(Faiz AhMad Owaisi QADRI).

IslaM Me,

- NA Urs,
- NA YauM-e-Wilaadat,
- NA YauM-e-Visaal aur
- NA koi aise RasooMat
Manaane ki Ijaazat aur koi Jagah hai.

- Ahle-Biddat,

GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ki taraf nisbat karte hain.

- Abdul Qadir Jilani 471 Hijri Me,

[Wafaat-e-Rasool(SAW) ke Chaar Sau Saathh(460) saal baad] paida hue
aur Wafaat 561 Hijri ko paayi.

- KaM-az-kaM 460 saal Hijri tak to GYAARVI ka koi Wajood hi NA tha.

Nabi(SAW)ne farMaya:
Sab se

- BEHTAREEN ZaMaana, Mera ZaMaana hai;
- Iske baad, Baad aanewala ZaMaana hai;
- Uske baad, uske Baadwala ZaMaana hai.

> Bukhari, 3651.

Quroon-e-Salasa (Behtareen Teen ZaMaane)Me,
GYAARVI jaisi koi RasaM/Cheez NAHI thi.

Ahle-Biddat ke GYAARVI ke Manane ke kai Asbab/ Wajuhat/ Maqaasid hain,
InMe se kuch ye hain.

(Abdul Qadir Jilani se)


- MOHABBAT,
- Unka KHAUFF/DARR,
- Unse UMMEED,
- Unki SHAFA'AT,
- Unko ESAAL-E-SAWAAB waghaira.

1. MOHABBAT-

Abdul Qadir Jilani ki Be-Inteha MOHABBAT Me GYAARVI Manaate hain.

Aur logon Me baaz aise bhi hain,
jo "Allah ke Shareek" AURON ko tehraate hue,
"Unse ALLAH SI MOHABBAT"
jaisi Mohabbat karte hain.
Aur jo log IMaan wale hain,
woh(har ek se badh kar) Allah se BAHUT hi Zyada Mohabbat karte hain.
Aur agar ye ZaaliM log us Waqt ko DEKH LE
jab Azaab inki ankhon ke saaMne hoga,
ke SAARI Quwwaton ka Maalik ALLAH hai.
Aur beshak, Allah SAKHT Azaab dene wala hai.

> Baqara(2):165.

2. KHAUFF/ DARR-

Gyaarvi NA Manaane ki soorat Me,
Abdul Qadir Jilani ka Khauff.
Ke woh inka NUQSAN kardenge.
(Gyaarvi par Doodh NA taqseeM karo,
to bhains Marne ka KHAUFF
ka qissa Mashoor hai).

Aye Mere Bando!
Bas MUJH(Allah) se Darte raho.

> az-ZuMar(39):16.

3. UMMEED-

Abdul Qadir Jilani se uMMeedein baandhte hain,
ke woh inki SAARI Zarooratein poori karenge.

MoMin ki sifat yeh hai ke woh log,
'ALLAH ki RehMat' se uMMeed rakhte hain.

> Baqarah(2):218.

4. SHAFA'AT-
Logon ka ye Aqeedah hai ke Abdul Qadir Jilani
QayaMat ke din SIFARISH karenge.

FarMa dijiye!
"TaMaaM Shafa'at"
Allah hi ke Ikhtiyaar Me hai.

> ZuMar(39):44.

Jaabir(RA):
Nabi(SAW) ne farMaya;
"Azaan ka Jawaab de,
aur phir khatM hone par yeh Duaa,

(AllahuMMa Rabba Haazihi........) padhe,

iske liye QayaMat ke din,
Meri [MuhaMMad(SAW) ki] SHAFA'AT Waajib ho jaati hai".

> Bukhari 4719.

Beshak Waseela Bahisht Me ek Darjaa hai,
jo SIRF EK Bandey ke Laaiq hai.
Aur Main[Nabi(SAW)] uMMeed rakhta hun
ke woh "Main hi hun".

> MusliM 875.
 

MASLA-E-IMAAMAT, HADITH KI ROSHNI ME AUR DEOBANDI DALAIL



Bismillahirrahmanirraheem




MASLA-E-IMAAMAT, HADITH KI ROSHNI ME AUR DEOBANDI DALAIL




sabse pahle ham abu bakr ghazipuri deobandi ka taruf aapse karaate hain, ye hazraat deoband ke hero hain, jinhone ahle hadith(ghair muqallidon) par research karke jhooti ibaartein apni kitabon me naqal ki hai....... Ab zara dekhte hain ki abu bakr ghazi puri ne masla e imamat me kya tahreef ki hai uska bhi jaayeza lete chalen....


Ghazipuri ne fiqhi kitabon me likhi hui imamat ki sharton mese sirf do chaar par khaamiyah farsaayi ki hai

1- qura wa ilm mese imamat ka haqdaar kaun hai ?

2- "aur summul akbar wa la saghra azwa" ki tashreeh


pahle masla se mutaalliq main aap se ghuzaarish karunga ke wah sahih muslim ki wah riwayat ek baar zehen me rakh len, jisme imaamat ke haqdaar ki poori tafseel wa tarteeb bayaan ki gayi hai, taake abu bakr ghazipuri jaise jaamid muqallideen ki ghalat bayanion aur be'buniyaad taaweelon ko acchi tarah samjh saken....


Hadith is tarah hai:

rasool akram(sws) ne farmaya ke :-" qaum ki imaamat wah karaaye jo quraan aur uske padhne ka ilm zyadah rakhta ho, agar us sifat me sab baraabar hon to imamat wah kare jo sunnat ka ziyaadah jaanne waala ho, agar usme bhi sab baraabar hon to imam wah bane jisne hijrat me pahal ki ho, agar hijrat me sab baraabar hon to imamat ka haqdaar wah hai jo umar(age) me bada ho, ek riwayat me hai ke jo pahle musalman huwa ho"


(sahih muslim ba'hawala miskaat jild 1 kitabus salat)



sahih muslim ki yah mazkoor hadith jaleel-ul-qadr sahabi e rasool hz abdullah bin masood ra ki riwayat kardah hai, jinhe muqallideen hazrat fiqh hanafi ka baani(founder) qaraar dete hain,

lekin afsas ki baat hai ke yahan baani fiqh ko bhi nazar andaaz kar rahe hain aur is sahih hadith ko isliye mustard kar rahen hai ke ye unke khaana shaaz mazhab ke khilaaf hai..

Aur


Imam karkhi jaise logon ka ye usool unke pesh e nazar hai ke:-" agar quraan ki koi ayat hanafi mazhab ke khilaaf hogi toh wah mansookh samjhi jaayegi"

usi tarah har wah hadith jo hanafi mazhab ke khilaaf hogi uski taweel karli jayegi,


chunanche apne taqleedi mazhab ke buniyadi usool ke pesh e nazar ghazipuri ne hanafi awaam ko andhere(darkness) me rakhne ke liye 3 tarah ke mughaalte de kar apni fareb qaari ka sikka jamaaya hai....

1- 'qura' ka khud saakhta aur ghalat matlab bayaan karke awaam ko dhoka diya hai, taake apne khaana khaaz taqleedi mazhab ki aabru qayem rakh saken

2- hadithon ko ek dusre ke saath mut'ariz wa mutsadam zaahir karke ye saabit kiya hai ke aslaaf dono taraf gaye hain

3- aur hadithon ka ghalat tarjumah wa mafhoom bayaan karke ye unhone apne haq me saabit karne ki mazmoom koshish ki hai....


'QURA' kA MAFHOOM:

Is mauzu par tamaam hadithon ko saamne rakhne se "qura" ke 3 Mafhoom waazeh hote hain

1- sahih muslim ki hadith se malum hota hai ke ' qura' ka mafhoom hai:- quraan ka zyadah wa accha padhne waala, ya quraan ko zyadah yaad rakhne waala..

2- isse milti julti sahih bukhari ki ek riwayat hai jisme aap(sws) ne farmaya:-" jab namaz ka waqt ho jaaye toh tum mese koi ek azaan kahe aur imaamat aisa shakhs karaaye jo quraan kareem ko ziyadah jaanta ho"

is farmaan me dono mafhoom shamil hain,

yani quraan kareem ka ziyadah ilm ho ya use ziyadah yaad rakhne waala ho


3- allama ibn taimiyya rh sahih muslim ki mazkoor hadith ki wazahat farmate hue likhte hai:

" allah ke rasool(sws) ne ye huqm farmaya ke jo kitabullah ka ziyadah aalim ho use imamat me muqaddam kiya jaaye"

(fatawa jild 23 page 357)

malum huwa ke 'qurra' me ye teeno mafhoom shaamil hain,

1- quraan ka zyadah accha padhne waala

2- quraan ko zyadah yaad rakhne wala

3- aur quran ke ahqaam wa maane ka ilm..



Ab jo kisi shakhs me ye teeno khususiyaat hon, ya koi ek hon use imaamat ke liye muqaddam kiya jaayega....



Ab aayen dekhen ke in haqaiq se door le jaakar GHAZIPURI ne kaisa fareb diya hai, usne apne is fan ka mujaahira karte hue likha hai


" qura ka maayena quraan zyaada tilaawat karne waala, lene se kaunsi cheez maana hai, agar koi ahkaam shariat aur masail namaz se na'waqif aur jaahil shakhs rozaana 5 paarah tilaawat karne ka aadi ho, aur dusra shakhs jo ahkaam shariat aur masail namaz ka jaanne waala ho, magar uska rozaana tilaawat karne ka mamooli sarf do paaraah(chapter) hai, toh qura waali hadith ke pesh e nazar pahle shakhs hi ko namaz me imaamat karne ka zyadah haq hona chahiye na ke dusre shakhs ko, isliye ke "qura" pahla shakhs hai dusra nahi, agar ghair muqallideen ka yahi mazhab hai to uska wah barmala izhaar karen"


ye hai imam karkhi ke usool ke mutaabik hadith rasool ki taweel aur Use todne marodne ka muqallidaana fankaari ka shahkaar.....


Dar'asal inhi taaweelaat aur shaitaani ibleesiyaat se muqallidon ka saara kaarobaar chal raha hai aur hanafi awaam ko quran wa sunnat ke sahih raaste se bar'ghustah karne ki duty anjaam de rahe hain....


Is mauzu par tamaam hadithon se jo sahih mazhab saabit hota hai uske khilaaf karkhi zadah log shor machaana to apna paidaishi aur aabaai haq samjhte hain, aur aaj kal aise logon ka rahnuma wa tarjumaan muqallid aami ghazipuri maidaan me aaya hai...


Aage dekhiye hadith e rasool ko apna maslak banaane waale ahle hadithon aur muslim shareef ki sahih tareen hadith ke khilaaf apne dil ka ghubaar kis tarah nikaalta hai aur apne jaahil awaam par kis andaaz se tafal tasalliyaat deta hai, likhta hai

" ghair muqallideen jo apne aapko ahle hadith kahte hain, ye masaakeen hadith ka naam toh lete hain magar na unko quraan ki samjh hoti hai aur na Hadith ke ma'aani mafaheem ka adraak hota hai, wah alfaz ke zaahir ko dekh kar apna man maana faisla kar lete hain, unhone muslim shareef ki hadith me 'qura' ka lafz dekh liya bas lage uchhalne koodne aur bad'zubaani ki dukaan sajaane"


JAWAB:


Ghazipuri aur dusre muqallideen ko chahiye je sahih muslim ki mazkoora hadith ko ghalat saabit karen, uske khilaaf koi aur hadith pesh karen aur un lafz ke baatini maayena ka khulaasa karen... Taa ke ahle hadion ka hadith ke zaahir alfaz ko dekh kar apna faisla kar lena ghalat saabit ho, aur use man maana qaraar diya ja sake,

lekin afsos ki baat to ye hai ke imam karkhi ke manmaane usool ko maankar khud ghazipuri uchhal kood kar raha hai, aur ahle hadithon ke khilaaf bad'zubaani ki dukhaan saja raha hai...

Ghazipuri ne kis qadr makar wa fareb aur kazzab bayaan se kaam liya hai, aage uski tahreer ka mulaheza farmaayen wah chan oot pataang hawalon se shafai Maslak waalon aur maaliki ko bhi apna hamnawa qaraar deta hai, lekin ye kisi hadith ki roshni me nahi balke chand fiqhi kitabon ki adhuri ibaarat hai,

uski shaitaani jurrat yahan tak badh gayi hai ke wah sheikh ul islam allama ibne taiymiyya rh ko bhi apna ham maslak qaraar deta hai, aur ba'taur suboot unke fatawon ki ye ibaarat naqal karta hai:

" yani agar do aadmi hon aur dono deendaar hon, toh unme se kitab wa sunnat ke waaqifkaar ko muqaddam karna mutaiyyan taur par waajib hai"


JAWAB:

Bhaiyyon aap dekh rahe hain ke allama ibn taimiyya rh ki is ibaarat me ' qura' aur 'ilm' ki koi bahes nahi hai aur na usme ye kaha gaya hai ke qura ki maujoodgi me ilm bil sunnah ko imaam banaya jaana chahiye, unhone sirf ye bataaya hai ke jab do deendaar afraad hon toh unme se kitab wa sunnat ke waqif kaar ko imaam banaaya jaaye...


Meri samjh me nahi aata ke sheikh ul islam rh ki is ibaarat ko ghazipuri ne Hanafi mazhab ki daleel ke taur par kis tarah naqal kar diya, kiya ye apne awaam ki aankhon me dhool jhonkna nahi hai ??


Isse bhi zyadah shaitaani harqat mulaheza karen ke usne hz imam bukhari rh ko apna ham maslak qaraar diya hai aur daleel ke taur par sahih bukhari ke is tarjuma ka tazkirah kiya hai

" baab ahlal ilm w fazl ahaq ba la imaamat "

yani iska bayaan ke ilm wa fazl waale imamat ke zyada haqdaar hain....


Ab ghaazipuri ke chelon se koi pooche ke is hadith baab me is baat ki saraahat kahan hai ke qura ki maujoodgi me ilm ba sunnah ko muqaddam kiya jaayega,

aur kya qura ka shumaar ahle ilm wa fazal me nahi ho sakta ??

Aur aage uski dileri dekhiye aur sahih bukhari ka naam lekar ghazipuri likhta hai

" ghair muqallideen jis hadith se is masle me istadlal karte hain wah muslim shareef ki hadith hai' hamen ek hadith bukhari shareef me bhi nazar aayi, hz malik bin huwairish ra farmate hain Ke:- hamari aamad rasoollullah(sws) ki khidmat me hui, hamara qayaam aapke paas 20 roz raha, jab hamari waapsi ka waqt aaya to aap(sws) ne hamen namaz ki taaqeed wa hidayat farmayi, aapne hamse farmaya:- jab namaz ka waqt ho toh tum me ka koi ek azaan kahe aur tum me jo bada ho wah imaamat kare "


ye waqeya bayaan karne ke baad ghazipuri intehaai sheikhi bhare aur faatehaana andaaz me ahle hadithon ko lalkaarte hue likhta hai

" naazireen dekh rahe hain ke allah ke rasool(sws) is hadith me saaf huqm farma rahe hain ke jo bada ho wah imamat kare, ye bukhari ki riwayat hai aur sabko malum hai ke muslim shareef ke muqaable me bukhaari shareef ka darja uncha hai, ghair muqallideen jo bukhaari se muhabbat ka dam bharte hain unhone is masla imamat me jo bukhari ka mazhab hai usse bhi ikhtelaaf kiya hai aur bukhaari shareef me jo riwayat hai usse bhi aankh pher li hai"


JAWAB:


Ghazipuri ne ye safed jhoot Bolkar kai baatein saabit karne ki koshish ki hai,

pahla jhoota nateeja nikaalne ki ye koshish ki hai ke hadithon me ikhtelaaf hai,

ahle hadith sahih muslim ki hadith se istadlal karte hain aur ham hanafi bukhari shareef se

aur bukhari shareef ka darjah muslim shareef se uncha hai isliye hanafion ka mazhab afzal hai.


Ye makar wa fareb aur jhoot hanafi jaahilon ke liye toh theek hai, lekin un mazkoorah hadithon se waaqif afraad ghazipuri ke shaitaani istadlal par la'haula wala quwwat padhne ke liye mazboor hain....


Isiliye maine uske liye bukhari ki wah hadith bhi naqal kardi hai jis me hai ke:-" imamat ka haqdaar wah hai jo tumme se quraan ziyaadah jaanta ho"

(ba'qaul ghazipuri ke 5 paare tilaawat karne waala jaahil nahi)


isliye sahih muslim aur sahih bukhari ki hadithen saaf bata rahi hain ke imamat ke liye ' qura' ko muqaddam kiya jaayega....


Jahan tak hz malik bin huwairis ra ke waqeye ka Talluq hai, jise ghazipuri ne hanafi jaahilon ki tasalli ke liye apne maslak ke haq me naqal kiya hai, usme 'qura' aur ilm bis sunnah se koi bahes nahi hai, baat sirf itni hai ke hz malik bin huwairis ra ke saath chand sahaba kiram ra allah ke rasool (sws) ki sohbat ba'barkat me, 20 roz tak rahe aapne unhen islam ki taaleem di, quraan ke ahkaam wa asraar samjhaaye, wah saare sahaba kiram hafiz e quraan bhi they aur aalim wa faazil bhi, isliye aap(sws) ne unko rukhsat karte hue ye nasihat farmayi ke tumme se jo bada hai wah imamat kare......


Aap phir se ek baar sahih muslim ki wah riwayat padh len jinme imamat ke haqdaar ki poori tafseel wa tarteeb hai, jab saare log qura wa ilm bis sunnah bhi honge toh us hadith me hai ke aisi soorat me wah shakhs imam hoga jo umar me bada hoga..

Is mazkoorah waqeyah me rasool akram(sws) ki hidayat to sahih muslim ki hadith ke ain mutabik hai,


lekin makkaar wa Ayyaar ghazipuri kazzab bayaani karke us waqeye ko apne khud shaakhta mazhab ki daleel bata raha hai, aur saabit kar raha hai ke naozubillah rasool akram(sws) ne mukhalif awqaat me alag alag ahkaam bayaan farmaaye hain


ye muqallideen jo hadith e rasool ke muqable me apne aabaai mazhab ko saabit karne ke liye sirf kazzab wa fareb se kaam le rahe hain, ek jhoot ko saabit karne ke liye sainkdo jhoot bol rahe hain, lekin kiya aisa karne se woh jhoot sach saabit ho sakta hai ??

Matlab ye hai ke ghazipuri usool karkhi ka had darjah paband hai wah sahaba kiram ra ke waaqeyaat aur hadison se ghalat nateeza akhaz karke hanafiyat ki zabardast khidmat kar raha hai, is silsile me uska aakhiri fareb bhi mulaheza karte chalen

likhta hai :-" rasool akram (sws) ki zabaan mubaarak se qura ka lafz hz abi bin kaab ra ke liye waarid huwa hai aur aalim ka lafz hz abu bakr ra ke baare me, aur aap(sws) ne apni zindagi ke Aakhiri lamhaat me apni jagah jisko imam muqarrar farmaya tha wah ' aalim' yani hz abu bakr siddiq ra they ,' qura' yani hz abi bin kaab ra nahi they, goya aapne amalan apni zindagi ke bilkul aakhiri ayyaam me ye faisla farma diya ke imaamat ka ziyaadah mustahiq ' qura' ke muqaable me ' aalim' hai"


JAWAB:

Tamaam musalmano ka ye aqeeda hai ke rasool akram (sws) koi deeni baat apni taraf se nahi bataate they balke wahi e ilaahi ke mutaabik deen ki taaleem dete they.... Wama yantak anil hawa in huwa ala wah yal yooha , ka yahi matlab hai,


lekin ghazipuri jaise jaamid muqallideen aur imam karkhi ke chele ye saabit karne par poora zor sarf kar rahe hain ke allah ke rasool(sws) ne deeni baaten matzaad aur ek dusre ke khilaaf bataayi hain, yani sahih muslim ki hadith ke mutaabik to aapne imamat ke liye tarteeb qayem karte hue pahle darja par qura ko rakha phir ilm bis'sunnah ko, aur uske baad zyadah umar Waale ko ya pahle islam laane waale ko.... Lekin apni zindagi ke bilkul aakhir ayyam me ba'qaul ghazipuri

aap(sws)ne khud apne hi farmaan ki dhajjiyan uda den aur farmaan bhi wah jo allah taala ki wahi ke mutaabik tha...

Ye aqeeda sirf wahi rakh sakta hai aur maan sakta hai jo taqleed jaamid ka shikaar ho aur jiske saamne farmaan e rasool ki koi ahmiyat na ho...


Bhaiyyon aap ek baar phir sahih muslim ke wah riwayat padh len jisme rasool akram(sws) ne imamat ki tarteeb bayaan ki hai, aur muqallidon se poochiye ke

kya hz abu bakr siddiq ra ' qura' nahi they ??

Haqiqat ye hai ke sahih muslim ki hadith me bayaan kardah tamaam shartein hz abu bakr ra me paayi jaati thi...

Aap 'qurra' bhi they aur aalim bis'sunnah bhi, aap zyadah umar(age) waale bhi they aur awwal al'islam bhi.... Lihaaza har soorat se aap imaamat ke haqdaar they, aur isliye allah ke rasool (sws) ne apni zindagi ke aakhir lamhaat me Aapko imam banaaya....

Khulaasa ye hai ke masla imamat ke liye sahih muslim ki hadith buniyadi taur par ek rahnuma hadith hai aur jiski taeed bukhari ki hadith bhi kar rahe hai aur is silsile me muqallideen hanfiya ka mazhab yaqeeni taur par ghalat aur khilaaf e hadith hai..



continued
 

MASLA-E-IMAMAT FIQH HANAFI KI ROSHNI ME (NOT FOR FEMALES)

Bismillahirrahmanirraheem




MASLA-E-IMAMAT FIQH HANAFI KI ROSHNI ME (NOT FOR FEMALES)



Ab aayen dusre masla ki taraf yani

" summul akbar asa wal asghar azwa" ki tashreeh

aapne isse pahle imamat ke masle se hadith ki roshni me padha.. Ab zara abu bakr ghazipuri ki makkari wa ayyari fiqah hanafi me bhi dekhlen


haqeeqat ye hai ke is FIQHI masla ne tamaam muqallidon ko sharm wa haya ke dariya me dubo diya hai,

aksar toh is masle ka naam sunte hi raah se faraar akhtiyaar kar lete hain aur baaz log hairat wa tajjub aur sharm wa ghairat ke saath iska tazkirah karte hain

ghazipuri ne jis andaz se is par radd-e-amal zaahir kiya hai wah uski jihaalat wa la'ilmiyat ki waazeh alaamat hai..


" summul akbar asaa " ki tashrih jo shahab e raddul mukhtaar ne ki hai usko beghair samjhe boojhe naqal kar diya hai..

Shahab-e- raddul mukhtar likhte hai:

" yani sar(head) ka bada hona aql ki ziyadati ki alaamat hai, lekin ye zaroori Hai ke baqiye aa'za se tanaasab barqaraar ho, warna agar baqiyah aa'za bahut chote hon aur sar unke muqaable me bahut bada ho toh ye uske mijaaz ki na'hamwaari aur aqal ki be'aitedaali ki alaamat ban jaayegi"


bhaiyyon pahle ye baat zehen me rakhen ke " summal akbar aa'sa wal asghar azwa " ka maana hai

" sar (head) bahut bada ho aur aazu bahut chota ho "


ye fiqah hanafi me sharait imamat mese ek shart hai..

"aazu" bahut chota ho, se muraad kaun sa aazu hai, uski wazaahat baad me aayegi..


Aayen sabse pahle samjh len ke sar (head) bada hone ka kiya matlab hai..

Akbar aur asghar ke maane, bahut bada aur bahut chota ke hain,

ab fiqhi maslah ke mutaabik ye maalum hota hai ke dusre " aa'za" badan ke muqaable me sar bahut ziyaadah ho wah imaamat ka haqdaar hoga..

Ab aap amli taur par apne aas paas nazar daalen aur aisa aadmi talaash karen jiska sar bada ho aur dusre aaza(parts) uske muqaable me Chote hon, toh aapko koi boina(dawarf) nazar aayega ya ahmak wa bewakoof,

yahi wajah hai ke shahab e raddul mukhtar ne is masle ki tardeed karte hue ye wazaahat ki hai ke sar(head) ka bada hona agarchah aqal ki ziyaadati ki alaamat hai , lekin shart ye hai ke baqiyah aaza badan se tanasab barqaraar hon, warna agar aaza badan chote honge aur sar unke muqaable me bahut bada hoga to ye uske mijaaz ki nahamwaari aur aqal ki be aitedaali ki alaamat ban jaayegi


jo khulaasa shahib e raddul mukhtar ne ki hai uske mutaabik sar ke bade hone ki tardeed hoti hai kyonke wah sar ko dusre aaza badan ke matnaasib bata rahe hai, aur sar jab dusre aaza badan ke matnaasib hoga to phir " summal akbar asa" kis tarah saadiq aayega ,yaani ye kaise kaha ja sakega ke uska sar bahut bada hai, kyonki shahab raddul mukhtar ke mutaabik jis qadr sar bada ho us qadr baqiyah aaza badan ka hona zaroori hai. Warna agar sar bada hoga Aur dusre aaza badan chote honge toh aisa shakhs ahmak aur be'aql hoga.....

Isse malum huwa ke fiqah ke masla " summal akbar " se ahmakon aur pagalon ko imaamat ka haqdaar saabit kiya ja raha hai, lekin shahab raddul mukhtar ne uski tardeed wah tahqeeq kardi..


Lekin hairat hai ke muqallid aami ghazipuri allama shami ki tashreeh ko samjh na saka aur use apne mazmoon me daakhil karke ye saabit karne baith gaya ke aazu se muraad aaza aur asghar ka maana tanaasab badan hai..... Qurbaan jaiye aise aqal waalon par...


Agar allama abdul hafeez balyaawi zindah hote to main unse arz karta ke aap apni kitaab "misbaah al lughaat" par nazar saani karke iski islaah kar len,...

"Ab aazu ke maana aaza hogaye hain aur asghar ke maana mutnaasab"

baherhaal daarul uloom deoband ke arbaabon ko mithaai batni chahiye ke wahan se faarig hone waala ek shakhs aalmi duniya me tahelka macha raha hai aur lafz aazu wa Asghar par nayi research kar raha hai...


Ghazipuri ne raaqim se sawaal kiya hai ke- " fiqh wa hadith me aazu ka lafz bol kar makhsoor sharmgaah (private part) ka maana kahan muraad liya gaya hai, kisi bhi fiqh ki kitab ya kisi bhi hadith ki kitab se uski sirf ek misaal pesh kar den ke aazu bol kar uska maana makhsoos sharmgaah liya gaya hai"


JAWAB:


Main iski misaal baad me pesh karunga pahle main aap bhai log se guzaarish karta hun ke fiqh hanafi me " wal asghar azwa " (yani chote aazu waale ko imam banaaya jaaye) kaha gaya hai,

aayen ham us aazu ko talaash karen

is kaam me aap bhi hamari madad karen, sar (head) ke bade hone ki saraahat saath hi aazu ke chote rahne ki baat kahi gayi hai, aayen dekhen wah aazu kaun sa hai ?

Aap sar (head) ke neeche aayen, peshaani par ghaur kijiye, kya peshani ko chote hone ki taraf ishaara kiya gaya hai ?

Aisa ho nahi sakta kyonki choti peshaani nahi balke Kushaada peshaani khoobsoorti ki alaamat hai, waise bhi peshaani ko arabic me 'jabhat' kahte hain, aisi soorat me ' wal asghar azwa' ki tashreeh sahih nahi hogi,

kaan(ears), haath, aankhen(eyes), pair (legs) do do hote hain, isliye aazu bolkar ye aaza muraad nahi ho sakte...

Choti naak(nose), aur lambi naak ya unchi naak ke baare me aap jaante hi hain, zabaan bhi choti hone ka koyi matlab nahi hai, iske baad gardan(neck), seena (chest), peeth(back) wagerah sab par nazar daal lijiye, aakhir aazu se muraad kya ho sakta hai ??

Jab in aaza me se koi aazu nahi ho sakta to maalum huwa ke usse muraad koi khaas makhsoos aazu muraad hai,

ab kisi se bhi pooch lijiye ke hamare jism me aazu khaas ya aazu makhsoos kiya hai ?

Mera khyaal hai ke iska jawab ek mamooli padha likha aadmi bhi de sakta hai,

agar ghazipuri ki choti se khopdi me ye baat na aaye to hamara kya kasoor hai ?

Uske bawajood khud ghazipuri Ki dhaandli aur jaal'shaazi wa makkari dekhiye wah likhta hai ke

" is ibaarat me aazu ka matlab hargiz wah(sharmgah) nahi hai jo ghair muqallideen ke zehan me unki kaj fikri aur khabaasat nafs ki wajah se jam gaya hai "


JAWAB:


Ab aayen fiqhi baghaat(garden) ki sair kar len,

sahih baat ye hai ke ' wal asghar azwa' par pahunchne ke baad fiqhi kitaabon ke likhne waale bhi sharm ki wajah se kisi nadi(river) naale (gutter) me nahi balke chullu bhar paani me doop marte hain,

lekin baaz log kuch jurrat karte ,kuch sharmaate lajaate hain,

chaliye ham ' wal asghar azwa' ki tashreeh kar gi dete hain,

ghazipuri deobandi ne ' wal asghar azwa' se aazu tanaasal(private part) muraad lene se inkaar kiya hai, aur ahle hadithon ko challenge kiya hai ke kisi fiqah ki kitab se ek hi misaal pesh karden ke aazu se aazu tanaasal(private part) muraad hai,

lijiye main unki 3 misaalen pesh kar raha hun

1- " baaz fuqaha Ne is jagah aisi baat naqal ki hai jo hargiz qaabil e zikr nahi ke wah likhi jaaye, goya unka ishaara us taraf tha ke baaz ke mutaabik aazu se muraad zikar, yani aala tanaasal(private part) hai "

(durre mukhtar, hashiya abu saeed)


2-" baaz masaikh ne asghar azwa ki tashreeh 'asghar zikar' ,yani saaf aur waajeh taur par aala tanaasal se ki hai

(durre mukhtar jild 1 page 170, tahtawi)


3- sharah maraaqi al falaah jild 2 page 175 matbua egypt me ' wal asghar azu' ki philosophy bhi bayaan ki gayi hai

" imamat ka haqdaar hoga jiska aazu tanaasal chota ho, kyonke uska had aitedaal se bada hona aam taur se asli kameengi par dalaalat karta hai,"

baaz kitabon me iski philosophy ye bataayi hai ke chote aazu makhsoos se shahwat(sex) kam hoti hai...



Jab fiqhi hawalon se ye saabit ho gaya ke ' wal asghar azwa' me aazu se muraad aala tanaasal (private part) hai , toh ghaazipuri ne jo ahle hadison ko Khabaasat nafs ka jo title diye hain, main unhen fuqaha e ahnaaf aur khud ghaazipuri ki taraf lauta raha hun...
Kyonki fuqaha e ahnaaf ne is tarah ka masla bayaan kiya hai aur unke sharhul faqeeh ne aazu ki tashreeh aazu taanaasal se ki hai...


Ab ham ghaalibaaz muqallid ghazipuri deobandi se sawaal karte hain ke ek taraf to aapke fuqaha ne imamat ke liye ye sharten rakhi ke jiski biwi ziyaadah khoobsoorat ho aur dusri taraf bechaare imam ke liye ye shart laga rahen hain ke jiska aazu taanaasal (private part) bahut ziyaadah chota ho wah imamat ka haqdaar hoga....

Ab farz kijiye ke ek shakhs ki biwi intehaayi haseen wa khoosurat hai aur us shakhs ka aazu tanaasal bahut chota hai to wah shakhs imamat ke rutbe par faiz toh ho jaayega, lekin uski khoobsoorat biwi uske saath kitne din rahegi ??


Ek dusre nukte par mazeed ghaur farmate chaliye... Fiqhi kitabon me jo fahas masail hain, unko zikr karne par Ghazipuri kalabaazian kha raha hai, yahan ek masla par mazeed ghaur karte chalen...

Fiqh ki kitabon me ' wal asghar azwa' ke baad bhi ye likha hai ke:-" agar iske ba'wajood koi faisla na ho toh imamat ke liye qura andaazi ki jaayegi...

Ab agar ham muqallidon se sawaal karen ke janaab e aali aazu tanaasal ko naapne(measure) ke baad jab sab ke aaza tanaasal baraabar honge, tabhi to qura andaazi ki naubat aayegi??

Toh muqallideen ham par fahash kalaami ka ilzaam lagaate hain, lekin fiqhi kitabon me mazkoor sharton ko islaam ka maakhaz qaraar dete hain,

aakhir jab ye shart laga di gayi ke jiski biwi zyadah haseen hogi, use imam banaaya jaayega toh un tamaam mutaallaqah (participants) logon ki biwion ko dekhe beghair aur kisi ghair jaanibdaar judge ke faisle ke beghair ye kis tarah maan liya jayega ke kis ki biwi khoobsoorat hai !!


Jab is tarah ki shart rakhi gayi ke imam wah banega jiska sar bada ho Aur aazu tanaasal bahut chota ho.. Toh aisi soorat me aazu tanaasal ko begair khole(be'pardah kiye) aur begair naape ye kaise maalum hoga ke kiska aazu tanaasal bahut chota hai aur kiska bada ??

Aur is zehan me ek sawaal aur paida hai ke aazu tanaasal ko kahan naapa jaayega- masjid me ya masjid se baaher ?? , nez inteshaar ke baad naapa jaayega ya begair inteshaar ke ??


Sab log jaante hain ke fiqah me baal ki khaal nikaali jaati hai , agar kutub fiqah ke musannaffeen ne aisi shartein likhi hain to unke poora karne ki tarqeeb bhi yaqeeni taur par waazeh karni chahiye...


Ab agar ham un masail ki tashreeh karte hain toh kaha jaata hai ke :-"bahut foohad andaaz me tashreeh ki gayi hai "


ham yahan aakhir me muqallid jaahil ghazipuri & co. Ko challenge karte hain ke wah in mazkoor masail ki koyi khoobsoorat wazahat karen taake logon me in masail ji zaroorat wa ahmiyat mahsoos ki ja sake aur ham bhi Taqleed ki in qeemti (anmol) masail ki bahtareen tashreeh karke unhen aam kar saken,

filhaal to ham bhi kahne par majboor hain

" na tum inkaar yun karte, na ham tashreeh phir karte,

na khulte raaz sarbastah , na ye ruswaiyyan hoti"


dua hai ke allah taala muqallideen ko aimma kiram ki ghalat taqleed se bachaaye aur kitab wa sunnat par amal paira hone ki taufeeq ata farmaaye........AMEEN
 

Naaf Ke Neeche Hath Bandhne Wali Hadith Zaeef





BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




hazrat Ali rz aur zere naaf haath bandhne wali riwayat

Hazrat ali raz ki ye riwayat ke sunnat ye hai k hatheli ko hatheli par zere naaf rakha jaye
(abu dawud, H. 756)


IS RIWAYAT K ZAEEF HONE KI DALAAIL HAWALO K SAATH:

iski sanad me ZIYAD BIN ZAID RAWI MAJHOOL HAI,jaisa k
- ABU HATIM NE (JARAH WA TADIL J. 3, PAGE 532 aur TEHZEEB J. 3, PAGE 369) AUR
- ALLAMA KHAJARJI NE (KHULASA J. 1 P. 344) ME
- ALLAMA ZEHBI NE (MEEZAN AITEDAL J. 2, PAGE 89) ME
- HAFIZ IBN HAJAR NE (TAQREEB PAGE 110) ME SARAHAT KI HAI.

aur ziyad se riwayat karne wala, abdur rahman bin ishaaq koofi rawi hai, ye bil-ittefaaq ZAEEF HAI,
ALLAMA IBN HUMAM AUR ALLAMA HALBI HANAFI FARMATE HAIN"
"YA
NI IS RWIAYAT K ZAEEF HONE PAR MOHADDISIN KIRAM KA ITTEFAQ HAI KYUNKI ABDUR RAHMAN ISHAQ KI RIWAYAT SE MARWI HAI AUR IS KE ZAEEF HONE PAR AIMA JARAH WA TADEEL MUTTAFIQ HAIN.
(FATHEUL QADIR J. 1, PAGE 249, AUR MUSTAMLI PAGE 301)

ISKE RAWI ABDUR RAHMAN ISHAQ KO
-IMAM AHMED RA. FARMATE HIAN ZAEEF AUR MUNKIRUL HADIS HAI,
-IMAM IBN MUIN AUR IMAM BUKHARI NE feeh nazar aur
-IMAM ABU ZARA'A NE munkirul hadis AUR
-IBN KHUZAIMA NE KAHA KE ISKI MARWIYAT SE AHTEJAJ NA KIYA JAYE
-ALLAMA ZEHBI AUR HAFIZ IBN HAJAR NE ZAEEF QARAR DIYA.
(TAHZIBUL TAHZIB J. 6, PAGE 137, aur MEEZAN AITEDAL J. 2 PAGE 548, aur TAREEK KABIR J. 3, PAGE 259, aur TAQREEBU PAGE 198)

aur ............
-IMAM BEHEQI NE (SANAN KUBRA J. 2 PAGE 31) ME IS RIWAYAT KO ZAEEF QARAR DIYA HAI.
-DEOBANDI MAKTAB FIKR ME SE MAULANA ABDUL HAI LAKHNAWI NE (AS SA'AYA J. 2, PAGE 156) ME aur inke shagird
-ALLAMA NEMWI NE (AT TALEEQUL HASAN PAGE 91) ME
-MAULANA KHALIL AHMED SAHARANPUR NE (BAZL MAJHUD J. 2, PAGE 23) ME
-ALLAMA SHABBIR AHMED USMANI NE (FATEH AL-MAHLUM J. 2, PAGE 40) ME
-MAULANA MOHAMMED YUSUF BANORI NE (MAARIFUS SANAN J. 2, PAGE 444) ME
-MAULANA TAQI USMANI NE (DARS TIRMIZI J. 2, PAGE 24) ME
-AUR MOLWI ABDUL QAYUM HAQQANI NE (TAUZEE SUNAN J. 1 PAGE 556) ME

IN SAARE ULEMANO NE IS RIWAYAT KO ZAEEF QARAR DIYA HAI
 

NAMAZ-E-FAJR KI SUNNATEIN PADH KAR QALAAM KARNA

Bismillahirrahmanirraheen



NAMAZ-E-FAJR KI SUNNATEIN PADH KAR QALAAM KARNA:


Hz aisha ra farmati hain ke:-" nabi akram(sws) jab subah ki sunnatein padh lete, agar main jaag rahi hoti to mujh se baatein karte, warna leit jaate hatta ke aapko namaz ki ittela(khabar) di jaati"

(sahih bukhari jild 1 page 155, muslim jild1 pg 255)


ye riwayat pesh karke hanafiyya ye saabit karna chahte hain ke :-" fazr ki sunnat padh kar daayen pahlu par leitna sunnat nahi hai"

(hadith aur ahle hadith page 610)


magar is hadith se jo ye saabit hota hai ke fazr ke baad aur faraiz padhne se pahle guftugu bila karaahat jayez hai.... Is amal ke hanafiyah munkir hain...

Ahnaaf ke baaz fuqaha ka qaul hai ke:-" sunnat fajr ke baad baat cheet(talking) karne se sunnat fazr baatil ho jaati hai, aur jamhoor fuqaha ahnaaf ka ye mauqaf hai ke sunnat fajr baatil toh nahi hoti ,albatta sawaab me farq aa jaata hai"



(dars tirmizi jild 2 page 182)


shahab e durre mukhtar likhte hain :-" agar sunnat fajr aur farz ke darmiyaan guftughu ki toh sunnatein baatil toh na hongi, albatta unke sawaab me kami waqai ho jaayegi "

(dur mukhtar jild 2 page 19, shami)


yahi mauqaf allama ibn najeem hanafi ne " kanzul daqaiq " ki sharah " bahrurraiq jild 2 page 49" me hanafiyah ka bayaan kiya hai...


Tajjub hai is hadith ke nisf(half) hisse ko toh hanafiya maante hain, magar qalaam karne ke hisse ko tasleem karne se inkaar karte hue kahte hain ke :-" ye jayez nahi", hatta ke kisi ne qalaam kar liya to uske sawaab me kami waqe ho jaayegi......

Inna lillahi wa inna ilaihi raajiun


farz kijiye ke koi shakhs subah ki sunnatein ghar me ada karta hai aur uski biwi jaag rahi thi, aur us shakhs ne " aap(sws) ke tareeqe par amal karte hue apni rafeeq e hayaat se kisi silsile me baat kar li toh hanafi kahte hain ke uske sawaab me kami Waqe ho gayi hai "


sawaal ye hai ke

kya uswah habeeb sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par amal karne se bhi kisi kaar khair ke sawaab me kami waqai hoti hai ??


ALLAH MUQALLIDEEN KO SAMJHNE KI TAUFEEQ DE AAAMEEN
 

KYON ISLAM SABSE TEZ PHAILNE WAALA MAZHAB HAI ??



Bismillahirrahmanirraheem



KYON ISLAM SABSE TEZ PHAILNE WAALA MAZHAB HAI ??



Is sawaal ka jawab talaash karne se pahle hame duniya ke bade mazhabon ka ek mukhtar ka jayeza lene ki zarurat hai, uske baad ham aasaani se is sawaal ke jawab tak pahunch paayenge


duniya ke puraano mazhabon mese IRAN ka majoosi mazhab, INDIA ki hindu math, aur NEPAL ka budh math sabse zyada mashoor hai, in teeno mazhabon ke baare me unki paak kitaabon se jo maalumaat haasil hoti hai wah ham aapko serial se pesh kar rahe hain


MAJOOSI MAZHAB:


Majoosi mazhab ko laane waale ' ZURTUSHT' iraan ke shaher ' RAIY ' me paida hue,

Baap ka naam ' paida shasab ' aur maa ka naam ' deo dha' tha.

Unka zamana paidaish 258 BC (kuch logon ke nazdeek 588 BC aur kuch ke nazdeek 600 BC ) tha..

' ZURTUST' ne 30 saal ke umar (age) me ek pahaadi (mountain) par tanhaayi ki zindagi guzaari jahan unhe ek khuda " AHWAR AMZAD" Ka mukashifa Haasil huwa jiski taraf unhone logon ko daawat deni shuru ki..

10 saal me sirf unka chachera bhai (cousine) unka ham'khyaal ban saka, logon se be'aabru hokar zurtust balkh ke baadshah " gustashab" ke paas gaye, darbaari ulema se munaazara huwa,

baadshah ne uski baaton ko sahi maankar , zurtust ki daawat qubool kar li, jiske baad zurtust ka mazhab iraan me tezi se phailne laga, 77 saal ki umar me ek tooraani sipaahi ne khanjar maarkar zurtusht ka qatl kar diya


yah hai wah tashreef jo hamen zurtust ke halaat ke baare me milta hai, aur is tashrih me bhi ikhtelaaf hai ki kuch researchers ne zurtusht ke wajood(presence) tak se inkaan kar diya hai....


Majoosi dharm ki paak kitaab " OSTA" hai jo 72 gaathon (songs) par based hai, aur yahi 72 gaatha majoosi dharm ki taaleem hain..


"Osta " me di gayi taaleem zurtust ki hain ya unka musannaf (writer) koi aur hai, is baare me bhi research karne waalon me Shakht iktelaaf(dispute) paaya jaata hai, kaha jaata hai ki zurtusht ki maut ke 250 saal baad " SIKANDAR(ALEXANDER)" ne iran par hamla kiya to saari libraries jala daali, jinme majoosi mazhab ki kitaaben bhi shamil thi.. Majoosi ulema apne jaan bachaane ke liye gufaaon (caves) me ja chupe jab unhen aman nazar aaya tab unhone apne zaheni soch se " OSTA" likhi...



HINDU MAT (HINDUISM):



hindu mat is aitbaar se bada anokha mazhab hai ki iske baare me aaj tak kisi ko yah malum nahi ho saka ki iska sabse pahle laane waala kaun tha?

Iska laane waala nabi tha ya ghair nabi ?

Iska zamaana kaun sa tha ?

Is mazhab ki asal aur buniyaadi kitab kaun si hai ?


Hindu mazhab ki kitab ka naam " VED" hai jo 4 hisson par based hai..

1- rigved

2-yajurved

3- samved

4- atharvaved,


"MAHA BHARAT SHANTI PARV SLOK" ki riwayat ke mutaabik 'dawasur'( jinnat ka baadshah) ved ko chura kar le gaya...

Aasmaan se 7 rishi (buzurg) naazil hue aur ved ko waapas laakar dobaara jaari kiya,

is riwayat ki wajah se hindu researcher khud ved ko aasmaani kitab nahi samjhte,

vedon ki tahreer ka zamaana 800 Bc, kuch ke nazdeek 1000 bc, kuch ke nazdeek 4000 bc, kuch ke nazdeek 5000 bc aur 10,000 bc hai,

ab ek nazar vedon ki taaleem par bhi nazar daal lijiye



VEDON ME ZAAT-PAAT(CASTEISM) KI TAALEEM:


vedon ki taaleem ke mutaabik BRAHMAN qaum khuda ke muh(mouth) se paida hui, CHATTRI qaum baazuyon se, VAISHYA qaum raano se aur SHUDRA qaum pair(legs) se paida hui...

BRAHMAN duniya ki sabse unchi jaat hai, duniya me jo maal wa daulat hai wah sab BRAHMAN ka hai,

BRAHMAN jis aurat par haath rakhen wah uski ho jaati hai,

BRAHMAN Gunaahon se bilkul paak hai, chaahe teeno lokon ko tabaah wa barbaad kar de,

SHUDRA ,ved sun len toh uske kaano(ears) me sheesha daal do, agar padhen toh zabaan kaat do, agar yaad karen to uska Dil cheer do, agar BRAHMAN ke baraabar baith jaaye to uski kamar(waist) daagh lagaakar chootad(buttocks) kaat kar baher nikaal do,

SHUDRA jis ang(parts of body) se brahman ki khilaaf warzi(insult) kare uska wah ang kaat do...


AURTON KE BAARE ME VEDON KI TAALEEM:


Aurat dhoke baaz hai,

aurat ka dil bhediye(deer) ki tarah hai,

aurat baap ki zaaydaad ki waaris nahi ban sakti, aurat dusra nikah nahi kar sakti,

aurat ko juwen me haarne aur bechne ki ijaazat hai,

jin ladkiyon ke bhai na hon unki shadi nahi ho sakti, ladkiyon ki maujoodagi me ladke paida karne ke liye pati(shauhar) apni patni (wife) ko kisi ghair mard se pregnent karwaane (niyog) ka huqm de sakta hai...


GHAIR HINDUON KE BAARE ME VEDON KI TAALEEM:


hindu mazhab ka jo inkaar kare unhe zinda aag me jala do,

hindu mazhab ke mukhaalif ko darindon se fadwa daalo

hindu mazhab ke dushmanon ke kheton ko ujaado aur unhe bhookha rakh kar Maar daalo

hindu mazhab ke dushmano ko samundra me dubo do, jis tarah billi (cat) chuhe(rat) ko tadpa tadpa kar maarti hai, isi tarah unko tadpa kar maaro..

Dushmano ka jod jod aur band band kaat do, unko pairon tale kuchal do aur un par raham na karo...

VEDON ME SHIRK KI TALEEM:


Devtaaon ki kul tadaad 3340 hain,

kaaynaat ka devta (brahma) hai,

Ishq aur muhabbat ka devta (kaamdev) hai,

dushmano ko barbaad karne waala devta (shiv) hai


aulaad haasil karne ke liye (mardana ling, also known hai shiv ling) hai,


iske elaawa aag, peepal ka ped(tree), haathi , lion, saanp(snake), chooha, suwar, bandar, bail(cow), bhi hinduon ke devta hain,

hinduon ka aqeeda hai ki gaaye (cow) ne zameen wa aasmaan ko uthaaya huwa hai, uska gobar aur peshaab peena gunaaho ki maafi ka zariya hai...



BUDH MAT (BUDHISM)


Budh mat ke laane waale ' GAUTAM BUDH ' 568 BC me nepal ki raajdhaani kapil wastu me ek raja ke Yahan paida hue,

baap ka naam " shadhu dhan" tha, maa ka naam " maya" tha,

16 saal ki umar me " jasodhara" aurat se shadi ki jisse ek bacha " rahul" paida huwa,

gautam budh ki shuruaati 29 saal ki zindagi ek raaz hai, gautam budh bachpan se hi soc vichaar ka aadi tha...

Umar(age) ke 30we saal kuch musibat zada logon ko dekhkar gautam budh itna pareshaan hue ki aabaadiyon ko chhodkar jungalon aur veraanon me ja base aur duniya ki takleefon se nijaat paane ke tareeqon par soch vichaar karne laga,

lagaataar 6 saal tak nafs kashi ki, khaana peena chhod diya, muraaqbe aur mujaahide kiye,

us waqt me gautam budh ka jism sookh kar kaanta ban gaya, lekin logon ki raahat haasil karne ka raaz haath na aa saka, isliye dobara khaana peena shuru kar diya,

ek din gautam budh peepal ke ped ke neeche muraaqba kar rahe they ki unhe achaanak nirwaan(nijaat) ka raaz bata diya gaya, jiske baad gautam budh ko raahat ko Haasil karne ka tareeqa malum ho gaya aur gautam budh ne dobara shahron ka rukh kiya,

logon ko raahat haasil karne ke sunehre usool bataaye, aur updesh diye,

gautam budh ki dawat aur updeshon ka waqt 40 saalon tak raha,

lekin hairat ki baat yah hai ki un 40 saalon ka koi khulaasa taareekh me mahfooz nahi..

Zindagi ke aakhiri dino me gautam budh ne apne mureedon (bicchuon) ko kafan dafan ke masail bataaye aur nasihat ki, ki mere marne ke baad mere mission aur taaleem ko aam karna,

gautam budh ka 80 saal ki umar me (488 bc) gorakhpur ke ilaaqe me death ho gayi...

Gautam budh ne apne zindagi me koi likhi hui taaleem nahi chhodi, gautam budh ki maut ke 218 saal baad " chaumarya" khandaan ka 3rd baadshah ashok (270 bc) bana to usne budh mat qubool kiya jisse budh mat ka bahut developement huwa,

ashok ne apni hukumat me " bichhuon" ki ek badi bhaari ijtema karwaaya jisme mashoor bicchuon ne budh mat Ki taaleemon ko " tri petika" ke naam se paali language me taiyyar kiya jo budh mat ki muqaddas kitab qaraar paayi..

Chunki gautam budh ki apni zabaan paali na thi, isliye researchers ne is kitab ko kabhi woh darja nahi diya..



Ab aayye maaroof allah ki taraf se bheje gaye mazhab ki taraf jinme yahudiyat, isaaiyyat aur islam shamil hain..


YAHUDIYAT (JEWISH):



yahudiat ki aasmaani kitab " tauraat" aur " zaboor " hai, jise ahad nama qadeem (old testament) ya ahad namam ateeq ya meesaaq bani israel kaha jaata hai..

Ahadnama qadeem ke 5 hisse hain:

1- paidaish
2-khuruj
3-ahbar
4-ginti
5-istasna

in 5 ko "asfaar khamsa" bhi kaha jaata hai


ahad nama qadeem ke 4 sahi sources tasleem kiye jaate hain

1-YAHUDI MATAN:- yah matan 9wi sadi (isa se pahle) likha gaya , yani hz moosa as ki maut ke 600 saal baad


2- ISTASNAAI MATAN:- ye matan 8wi sadi (isa se pahle) likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke 700 saal baad


3- MURSHIDAANA MATAN:- ye matan 6 sadi (isa se pahle) likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke 900 saal baad


4- ULUHOOMI MATAN :- yah matan sabse baad me likha gaya, yani hz moosa as ki maut ke kam se kam 1000 saal ke baad, yaad rahe ki hz moosa (as) aur hz isa (as) ke beech ki muddat 1500 saal hai..



" BIBLE , QUR'AN AUR SCIENCE" ke writer 'moris beckle' ki tahqeeq ke mutabik " 3ri sadi Bc (yani hz moosa as ki maut ke 1200 saal baad) ahad nama qadeem ke ibraani language me 3 alag alag matan maujood they,

pahle sadi Bc (yani hz musa as ki maut ke 1400 saal baad) yah rujhaan paida huwa ki ahadnama qadeem ke liye ek hi matan thahraaye jaaye,

lekin hz isa as ki paidaish se ek sadi baad tak (yani hz musa as ki maut ke 1600 saal baad tak) bhi yah mumkin na ho saka ki kisi ek matan par sab ki razamandi ho sake

(moris beckle page 40)


" bible, qur'an aur science" ke writer, taurat me Heir feir (changes) ke bahut se dalail dene ke baad aakhir me likhte hain:

" ahadnama qadeem ki kitab me insaani haath zyada dikhaayi deta hai, isliye yah samjhna mushkil nahi ki ek edition se dusre edition tak aur ek translation se dusre translation tak jo heir feir hue unki wajah se ahadnama qadeem ka maujood matan pichle hazaara saala puraane matan se poore taur par alag hai"

(page no 30, urdu translation)


hz musa as ke baare me tauraat aur zuboor se hamen jo malumaat haasil hoti hain we zyada se zyada yah hain ki hz musa as ne fir'aun ke ghar parwarish payi, jawan hue to bani israel ke do logon ki madad karne ke baad hukumat ke darr sd madyan bhaag gaye wahi shadi ki aur lambi muddat ke baad wapas palte,

raaste me nubuwwat se nawaze gaye, fir'aun ke darbaar me pahunche, use chamatkar dikhaaye, imaan ki dawat di, bani israel ki aazaadi ka mutaalba kiya, fir'aun ne inkaan kiya toh hz musa as ne Mauqa paakar bani israel ko samundra paas karwa diya aur unke dushman ko dubo diya, uske baad bani israel apni na'farmaniyon ki wajah se lambi muddat tak registan(deserts) me bhatakte rahe, isi dauraan hz moosa as ki maut ho gayi aur unhe " khorab" ki ek waadi " bait nafoor" me dafan kar diya gaya...



ISAIYYAT (CHRISTIANITY):


Isaiyyon ki aasmaani kitab ka naam " injeel " hai jise ahad nama jadeed (new testament) bhi kaha jaata hai,

ahadnama qadeem aur ahadnama jadeed dono ko milaakar BIBLE kaha jaata hai,

yahudi sirf ahadnama qadeem ko maante hain, ahadnama jadeed ko nahi maante,

isaayi ahadnama jadeed ko maante hain aur yah aqeeda rakhte hai ki, ahadnama jadeed, ahadnama qadeem ka radd hai


yah baat to tamaam isaayi padri ke nazdeek bhi taiy hai ki hz isa as ne apne peeche koi likhi hui kitab nahi chhodi aur yah baat bhi isaayi researchers ke nazdeek sahi hai ki hz isa as ki wafaat( isayon ke Mutabik) ke 140 saal baad tak injeel ka koi nuskha duniya me maujood nahi tha,

hz isa as ki wafaat se kam se kam 200 saal baad isaayi jab alag alag firqon me bate to har firqa ne apni apni muqaddas kitaaben likhna shuru kar di,

isliye 325 CE (yani hz isa as ki wafaat ke 325 saal baad) constantinople ke baadshah ne 300 padriyon ki council banaayi aur use asli injeel talaash karne ka huqm diya

council ne maujood injeel ki tamaam kitabon ko ek dheir ki shakl me mez(table) ke neeche rakh diya aur khuda wand se darkhwast ki, ke inme se jo aasmaani nuskha hon wah falaaang kar mez par aa jaayen aur jaali (batil) nuskha wahi padi rahen,

aisa hi huwa 4 nuskha ke elawa baaqi tamam nuskhe jaali qaraar dekar jala daali gayi aur wahi 4 ko sahi qaraar diya gaya... Jo is tarah hain

1-MATTI (METHEW) ki injeel

2-MARKUS (MARK) ki injeel

3-LUKA (LUKE) ki injeel

4- YUHANNA (JOHN) ki injeel


in charon injeelon ke Musannafeeno (authors) mese kisi ek ne bhi is baat ki zarurat mahsoos nahi ki, ke wah apni likhi gayi maalumaat ka hawaala (proof) de ki un tak yah maalumaat hz isa (as) se kin kin waaste se aur kitne zariyon se pahunchi,

yahi wajah hai ki khud yahudi aur isaayi researchers ke nazdeek anaazeel ki tahreeron ki koi tareekhi aur pukhta haisiyat nahi,


isliye " bible, qur'an aur science" ke writer moris beckle kahte hain

" jab ham injeel ko padhte hain toh hamen zara bhi is baat ka yaqeen nahi hota ki ham beshak hi maseeh ke alfaz padh rahe hain"

(page 110, urdu translation, publisher crescent publising co.)


moris bokle ke is daawe ki taeed khud injeel ki kuch aayaton se bhi hoti hai, misaal ke taur par in par dhyan den


1- hz isa as ne farmaya:-" mujhse pahle jitne ambiya aaye we sab chor (theif) aur lutere (robber) they"

(yuhanna surah 10)


2- hz isa as ke paas ek kan'aani aurat (maangne) aayi toh Hz isa as ne usse kaha:-" main bacchon ki roti kutton ke saamne nahi phenkta"

(marks surah 7, ayat 27-28)


3- " yah na samjho ki main zameen par sulah karaane aaya hun, sulah karaane nahi balki talwaar chalaane aaya hun"

(mattew chapter 10, ayat 34)


4-" jiske paas talwaar na ho wah apne kapde bech kar talwaar khareed le "

(luke ch 22, ayat 36)


5- hz isa as ne yahudion ko in alfaaz se mukhaatib farmaya:-" aiy dikhaawa karne walon, faqeeho aur fareesiyon ! Tum nabiyon ke qaatil ki aulaad ho, aiy saanpo, aiy aafai ke baccho ! Tum jahannum ki saza se kyonkar bachoge"

(mathew ch 33 ayat 29-33)


6- " hz noah as sharaab ke nashe me apne ghar nange ho gaye"

(paidaish 9/21-22)


7- " hz yaqoob as ke chauthe bete yahuda ne apni bahu( daughter in law) se badkaari karke aulaad paida ki"

(paidaish ch 38)


8-" hz haroon as ne sone(gold) ka but bachhde(cow) ki shakl me banaakar uski pooja paath karaayiAur shirk jaisa ghinauna jurm kiya"

(khuruj 32/1-6)


9- "apni maa ke kahne par hz yaqoob as ne daghabaazi se kaam liya, dhoka, jhoot aur makkari ke saath apne boodhe baap hz ishaq as ko dhokha dekar apne bade bhai eesu ki barkat chheen li"

(paidaish ch 27)


ab aayye hz isa (as) ki halaat e zindagi ki taraf..

Anazeel arba ke mutaabik hz isa (as) pelestine ke shaher " naasira" me paida hue,

baap ka naam yusuf aur maa ka naam maryam tha

(matthew ch 1 ayat 16)

8we din khatna kiya gaya, jab aap 12 saal ke hue toh maa baap jeruselam le gaye


hz isa (as) ke shuruaati 30 saal andhere me hain, koi nahi jaanta ki hz isa (as) ne apni zindagi ke 30 saal kahan aur kaise guzaare ?

( taareek qaleesa az moshiam, ba'hawala mazaahib e aalam ka taqaabuzi jayeza page 420)


30 saal ke baad hz isa (as) ko hz yahya (as) ne "baptism" diya, jiske baad unki paighambari ki shuruaat hui

hz isa (as) ne shaher shaher, Gaaon gaaon jaakar logon ko daawat di,

yahudi ulema aapke khilaaf ho gaye aur ilzaam lagaya ki isa (as) apne aapko khuda ka beta kahta hai, aur yah ilzam bhi lagaaya ki isa (as), dawood (as) ke takht ka waaris hone ka daawa bhi karta hai aur roomi (roman) huqumat ke andar ek aisi huqumat qayam karna chahta hai jo roomi huqumat ka takhta palat de,

is tarah yahudi ulema ki zidd par roomi governe " palatoos" ne hz isa (as) ko giraftaar (arrest) karne ka huqm diya, giraftaar karne waalon me isa (as) ka ek hawaari " yahuda iskarpoti" bhi shamil tha, albatta baqi tamaam shargird jo hz isa (as) ke saath they we sab bhaag gaye..

Hz isa (as) par muqaddama chalaaya gaya aur phaansi ki saza di gayi, us waqt hz isa (as) ki umar(age) 33 saal thi..

Anaazeel ke mutabik 3 re din hz isa (as) dobara zinda kiye gaye, apne hawaariyon se mulaqaat ki 40 din is duniya me qayaam ke baad aasmaan ki taraf utha liye gaye



(duniya ke bade mazahib page 288-291)


ye hai saari malumaat jo hamen injeel ke hawaale se hz isa (as) ki zindagi ke baare me milta hai aur bas !


Ab aayye ek nazar aakhiri khudaai mazhab par bhi nazar daalte chalen....



ISLAM:



islami paak kitab ka naam " qur'an majeed" hai jo wahi (revelation) ke zariye rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) par naazil hui,

jise rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi me bhi bahut se sahaba kiram (ra)(companians) ne zabaani yaad kar liya..

Seerat (biography) ki kitaabon me un tamaam sahaba kiram ra (mard wa aurat) ke naam tak mahfooz hain,

wahi (revelation) ke utarne ke saath saath rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne uski kitaabat ka bhi bandobast kiya aur yun aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi me hi saara qur'aan majeed likhi hui shakl me mahfooz ho gaya

jin jin sahaba kiram (ra) Ke paas likhi hui shakhl me qur'an majeed maujood tha, seerat ki kitabon me unke naam bhi mahfooz hain


siddeeqi daur me sahaba kiram ra ne soch samjh ke baad tamaam qur'an majeed ko jama karne ke liye ek committee banaayi jisne badi kadi sharton ke saath qur'aan majeed ko jama kar diya,

usmani daur me tamaam saheefon ko jama karke ek tarah ki likhi hui surat me laya gaya jo usse pahle saat alag alag tahreeron me tha,

is tarah rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat mubaarat ke kuch saal baad hi qur'an majeed ko uski maujooda shakhl me mahfooz kar diya gaya, jo aaj tak bina kisi heir pheir ke sahi saalim maujood hai,

pichhli 15 sadion me islam dushmano ne qur'aan majeed me heir pheir karne ki kai baar saajishen ki, lekin allah taala ne use tamaam dushmano ki shaazishon se poori tarah mahfooz rakha


musalmaano ki aasmaani kitab ke baad ab ek nazar paigambare islam rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak seerat par daaliye



rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paidaish ki jagah,

taareekh e paidaish, paak naam, shajra nasab (family tree), maa ke paas tarbiyat, qabeela (tribe) bani saad me tarbiyat,

bachpan me pesh aane waale waqeye, maa ki wafaat, dada ki sarparasti, aur wafaat, chacha (uncle) ki sarparasti,

tijaarat, pahla nikah, aulaad, nubuwwat se pahle rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka akhlaaq, quraish ki ladaayi aur sulah,

ameen aur saadiq hona ka rutba, hajar e aswad ki tanseeb. Hira gufa (cave) me tanhaayi ka waqt, wahi ki shuruaat,

khoofiya(secret) daawat, khuli daawat, mukhaalifat, sardaaraane quraish se baat cheet, safar (journey) taif, meraj,

bait e aqba (1), bait e aqba (2), hijrat, quba me qayaam, madeen munawwara me tashreef laana, ahle kitab se sulah, ghazwa badr, ghazwa uhud, ghazwa ahzaab, sulah Hudaibiya, salaateen ke naam letters, makka ki fateh, tabuk ka safar, hajjatul wida, marjul maut, wafaat,


yani rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke tamaam pahluon ka poori tashreeh seerat ki kitaabon me maujood hai...


rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke baad aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taalimaat (education) par nazar daal lijiye..


Imaan, paaki, ibaadat (namaz, roza, zakaat, umrah, hajj, sadqa, khairat, tauba, astaghfaar ), len den, halaal wa haraam,

tijaarat, kheti baadi, mazdoori, khaana peena, sona jaagna, chalna firna, maa baap aur aulaad ke haq,

rishtedaaron aur doston ke saath sulook, shadi-shuda zindagi, yateemo, bewaaon, miskeeno aur mohtaajo ke saath sulook,

mehmaan nawaazi, padosiyon(neibours) ke haq, jaanwaron ke haq, nikah, talaaq, iddat, paidaish, rajaa'at, bimaari, sehayaabi, timaandaari, maut, Janaza, kafan -dafan,

meeraas, imaarat, adaalat, imaamat, sipah salaari, jung sulah, ghanimat ke maal, fatah, shikast, dosti, dushmani,


matlab yah ki insaani zindagi se talluk rakhne waale har cheez par aap rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem hadith ki kitaabon me maujood hai,

insaani zindagi ke kisi aise goshe ka naam lijiye jiske baare me rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem hadith ki kitabon me maujood na hon,


ghaur kijiye , peshaab pakhaana, janaabat, haiz, nifaas aur ghusl tak ke masai badi safaai ke saath maujood hain


rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki taaleem ke baad rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zaat ko lijiye..

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka huliya mubarak kaisa tha?

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki hatheli, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke talwe,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki aidi(heals),

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki pindli, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki baghal,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki aankh, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka muh mubaarak,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka qad, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke baal (hairs)

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka paseena, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka rang (color) kaisa tha ??


Yahan tak ki rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki daardhi(beard) mubarak me safed (white) baalon ki tadaad kitni thi,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka libaas, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka amaama(turban),

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki chaadar (blanket)..



rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke moze (socks), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke joote (shoes), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki anguthi (ring),

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki kanghi (comb), rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka surma,

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka takiya (pillow) kaisa tha ??


rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki baat cheet kaise thi, bolne ka andaz kaisa tha, rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ka muskuraana aur aansu bahana kaisa tha ??

rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) sote kaise they, jaagte kaise they, chalte kaise they, uthte kaise they aur baithte kaise they, khana kaise khaate, paani kaise peete, khaane me kya pasand tha, kya na'pasand tha??

Khushbu kaun si pasand thi, muhabbat ka tareeqa , naraazgi zaahir karne ka tareeqa kya tha, shadi Shuda zindgi guzaarne ki tareeqe kaise they ??

Aulaad ki tarbiyat kaise ki ?


Matlab yah ki rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zaat paak ke baare me kisi aise pahlu ki nishaan dehi nahi ki ja sakti jo seerat ki kitabon me mahfooz na ho.....



Bhaiyyon ! Uper likhe saare mazhabon ki taleem aur unke laane waalon ke haalaat par baar baar nazar daalen aur phir sochen aur samjhen ki..


1- KYA majoosiyat jaisa ghair mahfooz, ghair yaqeeni, aur mahaz 72 geeton par mabni mazhab,

islam jaise mahfooz, muqammal aur sacche mazhab ke liye kisi bhi darje me challenge banne ki qaabiliyat rakhta hai??

Kya rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki paak zindagi ke dalail, aur poori haalaat e zindagi ke muqaable me ' ZURTUST' ki zindagi ke bilkul ghair yaqeeni aur aadhi aadhure haalaat e zindagi me duniya waalon ke liye koi faayeda ho sakta hai ??


2- KYA hindu mat, jiske laane waale ka pata Nahi, jiski paak kitab shirk ki taaleem deti hain, aurat ko nafrat ke qaabil thahraati hain, apne elawa dusre mazhabon ke maanne waalon ko jalaane, kuchalne, qatl karne aur cheerne faadne ki taaleem deti hai, insaano ko jaat paat me baat'ti hai,

aisa mazhab, islam jaise aman pasand, insaaf pasand ke muhaafiz aur tauheed ka jhanda buland karne waale deen ke liye kabhi challenge nahi ban sakta ??


3- KYA budh mat, jiske laane waale ki 80 saala zindagi me se 70 saal ka waqt parde me chhupa hai, jiski taleem uske laane waale ki maut ke 200 saal baad uske shargirdon (students) ne taiyyar ki hain,

ek aise mazhab ke liye challenge banne ki haisiyat rakhta hai jiske nabi rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zindagi ka ek ek lamha poore yaqeen ke saath seerat ki kitaabon me mahfooz hai, aur jiski aasmaani kitab ka ek ek alfaz sadiyon se poore taur par mahfooz hain ??



4-KYA yahudiyat, jiski Muqaddas kitab " tauraat" ki sahi hone ki zamaanat khud yahudi researcher ki nazar me na qaabil hai, aur jiske daee (as) ki seerat ke ek pahlu, yani jhoot se takraane, ke elawa baaqi tamam pahlu duniya waalon ki nigaah se ojhal ho,

kya aisa mazhab, islam ke liye challenge ban sakta hai, jiski paak kitab "qur'an" pichhle 15 sadiyon se poore taur par mahfooz hai aur jiske daee rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki seerat har insaan ko paidaish se lekar maut tak poori rahnumaayi karaati hai ??


5- KYA isaayyat, jiski aasmaani kitab " injeel" khud isaayi researchers ke nazdeek uljhi hui, samjh se baaher, aur ghalat alfaazon se bhari padi hai jise padhne ke baad, padhne waala bhi uljhan aur pareshani ka shikaar ho jaata hai aur jiske daee (as) ki 30 saala zindagi me se 27 saal duniya waalon ki nazaron se chhupe hain,

kya wah mazhab apne andar ek aise deen ke liye challenge banne ka dam kham Rakhta hai jiski paak kitab " qur'an" ki sehat ko pichhle 15 sadiyon se koi challenge karne ki himmat nahi kar saka, jiske daee rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki zindagi ke sirf nubuwwat ke 23 saal hi nahi, balke nubuwwat se pahle ke 40 saal ka ek ek lamha khuli kitaab ki tarah poori duniya ke saamne hai..??


Saare sawaalon ka jawaab bilkul saaf aur do took hai "BILKUL NAHI "



Hamare is jawab ka saaf aur pakka suboot un mazhab ke naye muslim(converted to muslim) ke we aitraaf hain jo unhone islam qubool karne se pahle ba'qaayeda tamam mazhab ko jaanch parkh ke baad kiye hain,

ek misaal ye bhi hai...



1- kolkata me ek hindu raaja ke yahan paida hone ke baad islam me daakhil hone waali aurta " jaawed bano begum" ne mazhabon ki tahqeeq ke baare me apne feelings bayaan karte hue bataaya ki maine sabse pahle , budh mat ki tahqeeq kiya lekin itminaam haasil na huwa, phir isaaiyyat ki Tahqeeq ki toh usse bhi naqamyabi mili, aur main dobara hindu mat ki taraf chali gayi, lekin vedon ki taaleem ka insaan ki zindagi se door ka bhi waasta nahi, jab maine islam ko padha wa tahqeeq ki toh main bahut khush hui, meri ruh (soul) me itminaan ho gaya ki maine sacchaayi pa li hai,

sirf islam hi duniya me aisa mazhab hai jo hamari zindagi me hamari sachi rahnumaayi kar sakta hai, aur duniya ke tamam ruhaani rahnumaaon me se aaqa e naamdaar rasool akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) hi ek aise shakhs hai jo aazaadi, bhai chaara aur yaqshaniyat(equality) jaise sunehre usool lekar aaye hain, jin par chalkar insaan nijaat haasil kar sakte hain


(ham musalman kyon hue page 75, dr. Abdul gani farooq)



The end
 

IBAADAT KE LAYEQ SIRF EK ALLAH

Bismisllahirrahmanirraheem



IBAADAT KE LAYEQ SIRF EK ALLAH:



Aaj kal dekhne me aa raha hai ki bahut se qalmah go musalman allah ko chhodkar ghairon ki chaukhat par sajda karte hain aur ghairon se madad maangte hain,

ham chahte hain ki aapko is haqiqat se aashna karaaye


allah ka irshad hai


" aur ham ne har ummat me ek rasool bheja ke logon ! Allah ki ibaadat karo aur taghoot (ki ibadat) se bacho "

(surah nahel 36)

phir farmaya


" aur aapse pahle hamne jo bhi rasool bheja use hamne yahi wahiy karte rahe ke mere siwa koi mabood nahi, lihaza meri hi ibaadat karo "


(surah ambiya 25)

aur allah ne farmaya

" ye azeem kitab hai uski ayat ko muhkam banaya gaya hai, phir haqeem wa khabeer ki taraf se use mufassal bayaan kiya gaya hai (wah ye ke) tum allah ke siwa kisi ki ibaadat na karo, yaqinan main allah taala ki taraf se tumhen daraane aur khushkhabri dene wala hun"

(surah hud 1,2)


in aayaat me allah taala ne Saaf kar diya ke jinnat aur insaano ko mahaz isliye paida kiya gaya hai ke wah us wahdahu la shareeq ki ibaadat karen,

nez allah ke rasoolon ko usi ki ibadat ka huqm dene, aur ghair allah ki ibadat se rokne ke liye bheja,

ibadat ka matlab hai, allah taala ki tawheed ko baja laana aur uski hi ibaadat karna, etc,

allah taala ne bahut si aayat me inhi baaton ka huqm diya hai,


maslan allah taala ka ye farmaan hai

" unko huqm toh yahi huwa tha ke akhlaas amal ke saath yaqsa hokar allah ki ibaadat karen"

(surah bayyinah 5)

aur allah taala ne farmaya

" tere parwardigaar ne faisla kar diya hai ke tum sirf usi ki ibaadat karo"

(surah bani israel 23)

aur farmaya

" aap allah hi ki bandagi karen. Deen ko usi ke liye khaas karte hue, khabardaar ! Deen khaalis allah taala hi ka haq hai"

(surah zumar 2, 3)


is mazmoon ki bahut si ayat is baat par dalaalat karti hai ke, khaalis allah hi ki ibaadat karna Aur us ke siwa ambiya samet sab ki ibaadat ko chhodna zaroori hai, aur usme koi shak nahi ke dua (pukaar) ibadat ki aham qism balke tamaam aqsaam ki jaame hai,

lihaaza khaalis allah ko pukaarna wajib hai,

kisi aur ko sifaat illahi ke liye pukaarna SHIRK hai,

jaisa ke allah taala ka irshad hai

" allah hi ko pukaaro, apne deen ko uske liye khaalis karke, khwaah ye baat kafiron ko kitni hi naagwaar ho "

(surah momin/ghaffir 14)


ALLAH HAMEN SAMJHNE KI TAUFEEQ DE... Ameen
 

KYA AHLE HADITH CHHOTE SHIA HAIN ??? (DEOBANDI EXPOSED)


Bismillahirrahmanirraheem



KYA AHLE HADITH CHHOTE SHIA HAIN ???



MAULWI JAMAAL BULAND'SHAHRI USTAD DAARUL ULOOM DEOBAND KE RISAALA KA HAQEEQAT PASANDAANAH JAYEZA...



Maulwi jamal deobandi ne ibleesiyat wala kaam kiya hai aur tahreeron ko ulat pher karke ahle hadithon par laan taan kiya hai...


Maulwi jamal ne risaala ka jo unwaan qayem kiya hai, uske mutalab unhone 6 ya 7 masail zikr kiye hain, aur usse sabit kiya hai ke ahle hadith aur shia chhote bade bhai hain, shia bade bhai, ahle hadith chhote bhai


lekin hamen ye kahne me zara bhi afsos nahi ke maulwi jamal ne ahle hadith ke khilaaf ye risaala likhne se pahle un masail se mutallik kisi ahle hadith aalim ki kitab ke 6 ya 7 pages bhi nahi padhe, warna wah ye risaala hargiz na likhte aur yun safed jhoot apne qalam se likh kar apne naam e aamaal ko kaala(black) na karte...

Jo masail ahle hadith ki taraf jhoot mansoob kiye gaye hain aur unko Shia saabit karne ki koshish ki gayi hai, un 6, 7 masail me isse tawafiq paaya jaata hai to usse dugna(double) tawafiq isi andaaz ka kisi bhi baatil se baatil firqa se DEOBANDIYON ka saabit kiya ja sakta hai,

agar kitaabon me heir feir (changes) karke aur ibaaraton me tahreef karke kisi ko kuch bana hai to kuch bhi banaaya ja sakta hai

kitabon ko tahreef karne me DEOBANDIYYAH FIRQE ko zyada mahaarat haasil hai.... Ab ham zyada lambi wa fuzul baat na karke mazmoon par aate hain


MASLA IMAMAT:


pahla masla jis me shia firqe se ahle hadith ki mawafiqat dikhlaayi gayi aur wah yahi masla hai,


shiaon ke nazdeek aqeeda imamat ko bayaan karke maulwi jamal deobandi sahab likhte hain

"IMAM GHAIB KE BAARE ME GHAIR MUQALLIDEEN KA AQEEDA "


Imam ghaib aur baqiyah imaamon ke baare me ghair muqallideen ka aqeedah qareeb qareeb wahi hai to ahle SHIA ka hai,

chunanche ghair muqallideen ke ek mashoor aalim nawab Wahiduzzaman sahab apni kitab hidayatul mahdi me likhte hain

" agar sayyedena hz ali aur hz muawiya ke darmiyaan hamare zamaana me jung hoti to ham hz ali ke saath hote, uske baad hz hasan bin ali ke saath phir hz hussain bin ali ke saath hote unke baad ali bin hussain ke saath, unke baad imam baqar ke saath, unke baad imam jaafar saadiq ke saath, unke baad hz imam musa qazim ke sath, unke baad imam ali bin musa kaazim ke saath, unke baad imam muhammad taqi ke saath, unke baad imam muhammad naqi ke saath, phir unke baad hasan askari ke saath hote, aur agar ham baaqi rahe toh inshaallah apne imam ghaib muhammam bin abdullah (hasan askari) ke saath honge "

(hidayatul mahdi page 103)


JAWAB:


ye taweel ibaarat hamne isliye naqal kiya hai ke in DEOBANDI maulwion ki imaanat wa diyaanat aur paakeezgi ujaagar ho jaaye, aur aap ye jaan len ke JAMAAT AHLE HADITH ki dushmani me ye log zinda makkhi hi nahi, goo (excreta) bhi nigalne ko taiyyar hain....

Hidayatul mahdi, jis kitab ka ye tahreer naqal kiya gaya hai wah arabic me hai,

uski asal ibaarat aur tarjuma bhi dekhiye aur andaza lagaaye, ke DARUL ULOOM DEOBAND ki ilmi diyaanat jis ka dhindora peeta jaata hai, wah aakhir in hazraat se kyon rooth gayi hai, aur un deobandiyon ne jhoot wa makkar par kyon kamar baandhi hai, aur aap par ye baat roz roshan ki tarah saaf ho jaayegi ke ahle hadith par ilzam taraashi kisi baatil parast ko us waqt tak mayassar na hogi jab tak ke wah ahle hadith kitabon ki ibaaraton me tahreef na kare, makkar wa fareb na kare, jhoot aur makkar ko shamil na kar le....


Ab asal ibaarat mulaheza farmaaye:(see above arabic text)


tarjuma:-" ahle hadith un rawafiz(shia) ke tareeqe se apni buraayi ka izhaar karte hain, jo sahaba ko gaali dete aur unse bhugz rakhte hain, isi tarah ahle hadith khaarjiyon aur naasbiyon ke tareeqe se bhi apni burayi ka Izhaar karte hain, jo ahle bayt ke saath ladaayi karne waale hain, agar sayyedena ali aur muawiya ke darmiyaan aaj hamare zamana me jung hoti to ham hz ali ke saath honge, phir uske baad hz hasan bin ali ke saath phir hz hussain bin ali askari ke saath hote unke baad jafar bin muhammad sadiq ke saath phir ali bin muhammad al haadi taqi ke saath, unke baad hussain bin ali askari al naqi ke saath, aur agar ham us waqt tak zindah rahe toh inshaallah sayyed muhammam bin abdullah mahdi faatmi ke saath honge, ye 12 imam haqiqat me ameer hain, deeni ryaasat ke aur sayyedul mursaleen ki khilaafat in par munhahi hoti hai, pas yahi aasmaan e imaam wa yaqeen ke aftab hain, banu umayya aur abbasiya ke baadshah aimma e deen nahi they, balke unme ke aksar to zabardasti ghalba haasil karne waale they, unhone musalmano ke khoon bahaaye aur zameen ko zulm wa zor aur adwaan se aise hi bhar diya, jaisa ke zamaana nabwi Aur khulefa e rashideen me wah adal wa noor o imaan se bhar gayi thi, aiy allah ham ko in 12 imamon ke saath uthaana aur unki muhabbat par qayamat tak baqi rakhna"

(hidayatul mahdi page 102, 103)


bhaiyyon ! Ye ham wah poori ibaarat jis par ye saara jhoot ka mahal khada kiya gaya tha,

is poori ibaarat ko padh kar koi kah sakta hai ke NAWAB WAHIDUZZAMAN shia ke ham'nawa hain,


halaanke ibaarat ke shuru hi me raafziyon yani shiaon se apni buraayi ka izhaar kar chuke hain, aur elaan kar chuke hain ke

" jo log sahaba kiram se bhugz rakhe ya unko bura bhala kahe , ham usse buraayi ka izhaar karte hain,"

is tarah wah kharijion aur naasbiyon se bhi jo ahle bayt ko bura bhala kahte hain apni buraayi ka izhaar karte hain,

iske hote hue un par shiaon ki ham'nawai ka ilzam wahi laga sakta hai jo mazhabi tassub me andha hokar imaan wa imaanat ko nigal jaaye aur roz e qayamat ki pakad se zara bhi na Ghabraaye....



DEOBANDI MAULWI JAMAL BULAND'SHAHRI KA FAREB AUR HAATH KI SAFAAI:


uper likhi arbi ibaarat ke jis tukde ko tahreef ke liye chuna wah ye hai

is ibaarat me muhammad bin abdullah mahdi faatmi ka naam saaf zaahir hai, jo tamaam ahle sunnat ka aqeeda hai ke

"qareeb qayamat hz fatima bint rasoollullah(sws) ki aulaad me ek shakhs zaahir hoga, jiska naam rasool akram(sws) ke naam ke misl aur uske baap ka naam rasool akram (sws) ke baap ke naam se misl hoga , aur musalman unke saath mil kar mushrikeen wa kafireen se jihaad karenge, aur usi zamana me hz isa as aasmaan se naazil honge",

musalman unka intezar kar rahe hain unko tamam ahle sunnat imam mahdi aur imam muntazar kahte hai,

aur ye shakhsiyat shiaon ke imam ghaib se bilkul mukhtalif aur juda hain, shiaon ke imam ghaib aur sunniyon ke imam mahdi muntazar me ko yaksaniyat nahi hai,

shiaon ke imam ghaib paida ho chuke hain Aur ghaib ho gaye hain, aur unke aqeedah ke mutaabik kisi waqt niklenge,

lekin sunniyon ke imam mahdi muntazar abhi paida nahi hue, balke qareeb qayamat me unka zahoor hoga,


lekin ahle hadith se dushmani me jaan bhoojh kar imam mahdi muntazar ko imam ghaib bana kar shiaon ki ham'nawaai ka ilzaam laga diya gaya.......... INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON



wahiduzzaman sahab ki ibaarat me is baat ka bhi zikr tha ke

" imam mahdi, duniya ko adal wa insaaf se aise hi bhar denge, jaise zamana e risaalat aur khulefa e raashidun me wah adal wa insaaf aur noor o imaan ke saath bhare they"


chunke is ibaarat se is makkaar deobandi ka mahal khud hi mismaar ho jata, isliye beech se is jumlah ko kaat diya, taake logon ko dhoka dene me aasaani rahe,

jo shakhs khulefa e rashidoon ke zamana ko adal wa insaaf noor wa imaan ka zamaana aise hi maan raha hai jaise zamana risaalat ko,

uspar shiyyat ka ilzaam Lagaana un be'deenion hi ka kaam ho sakta hai, jinhone apne deen wa imaan ko duniya ke badle bech (sale) diya ho, aur tassub me apni aankhe phod li hon...


Is qadr dhaandli aur dhitaayi ke baad us makkar deobandi ka ye likhna ke

" kya mazkoorah kalaam me shia aqaid ke jaraaseem saaf malum nahi ho rahe hai, kya is qalaam me shiyyat ki rooh saaf nahi jhalak rahi hai, kya ahle sunnat wal jamaat ke kisi fard ka ye aqeeda ho sakta hai?? "

JAWAB:


Ye kahna saraasar be'sharmi aur dhitaayi hai.... INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON



DEOBANDI KA EK AUR FRAUD:



Zyada be'sharmi ki misaal aap aur dekhen,


maulwi jamaal likhte hain

" ghair muqallideen bhi shiaon ki tarah imam ghaib se faryad rasi karte hain "


iski daleel kya hai ye bhi suniye


chunanche ye bade aalim sahab (maulana muhammad sahab junagadi) imam ghaib ki shaan me apne ek qaseede me likhte hain jiska tarjuma ye hai:


" khushi aur chadhte Hue darya ka paani khusk ho gaya, islami farhat jaati rahi aur sukoon ke haar ke moti bikhar gaye wah din aur wah nizaam badal gaya, aiy allah IMAM GHAIB ka zahoor to ab hona hi chahiye ke qaafila islam ka na aaj koi rahnuma aur na uska koi ja jor "



JAWAB:



Bhaiyyon ! Ye ibarat jo ham ne uper naqal ki maulwi jamaal buland'shahri ki hai, jisme ye zaahir kiya gaya hai ke

" maulana muhammad sahab junagadi ne koi kaseeda imam ghaib ki shaan me likha tha"

uske kuch ash'haar ka tarjuma maulwi jamaal ne yahan de diya hai,


aapko ye jaankar tajjub hoga ke "tareeqa e muhammad" jo saari kitab urdu me hai.

Jiske musannaf na shaayar aur na kabhi unhone shaayri ki, unki taraf ek jhoot to ye mansoob kiya ke unhone koi kaseeda likha..

Dusra jhoot ye ke unhone ye qaseed imam ghaib ki shaan me likha,

teesra ye ke shaayar ne farsi ya arabic me ye kaseeda likha tha, jiska maana maulwi jamaal ne urdu me ada kar Diya hai,


DEOBAND ke in farebion ko zarrah baraabar bhi sharm nahi hai, jo jhoot par jhoot bole chale ja rahe hain, aur is be'sharmi par pata nahi maulana muhammad sahab junagadi (rh) ka naam lene me kyon sharm aa rahi hai, ke naam nahi lete aur kitab ka bhi naam nahi lete..

"Sirf ek bade aalim " kah kar guzar jaate hain,

ham bhi is hawaale tak na pahunch paate lekin ham ne ek dusre jhoot ki ek kitab me yahi aktabaas padh rakhe they, jisse is be'chaare jamaal ne ye bakwaas chhaap(copy paste) maara,


ab suniye is saari kahani ki haqiqat ye hai ke maulana muhammad junagadi sahab ne " tareeqa e muhammadi" me ye 3 ash'haar ek jagah likhi hain, jo kisi aur zabaan me nahi balke seedhi saadhi urdu me hain,

lekin is me tahreef karne ke liye bechaare dono jhooto wa makkaaro ne ash'haar na likh kar unka maana likha hai, aur din ke ujaale me aankhon me dhool(dust) jhonkne ki koshish ki hai..

Wah ash'haar Is tarah hain:


" islam ki khushi koi pamaal kar gaya

darya e intebaas chadha tha, utar gaya

shiraajah sukoon wa tamanna bikhar gaya,

wah din guzar gaye wah zamana badal gaya

ya ilaahi ho imam e waqt ka jaldi zahoor

qaafila islaam ka be'taaj wa be'sar ho gaya"


zara dekhiye in ash'haar me kahin imam ghaib ka tazkirah hai !!!

Kya ye kaseeda hai ?

Kya ye imam ghaib ki shaan me hai ?

Imam ghaib ka bhoot in makkaaron par is qadr sawaar hai ke wah " imam e waqt " ko imam ghaib thahra rahe hain,

ab uske baad maulwi jamaal ka ye likhi ke

" dekha aapne shiat ki kaisi rooh bol rahi hai "

JAWAB:


Kya ye saraasar be'sharmi aur dhaandhli nahi hai ???

LANATTULLAH MINAL KAAZIBEEN



ALLAH INHE HIDAAYAT DE.... AUR SEEDHE RAASTE PAR CHALAAAYE.....AMEEEN




TO BE CONTINUED 

NANGE SAR NAMAZ: (OFFER SALAAH WITHOUT CAPS)


Bismillahirrahmanirraheem




NANGE SAR NAMAZ: (OFFER SALAAH WITHOUT CAPS)



SUNNAT KI TAREEF




Hanafi hazraat ne nange sar namaz ada karne ki mumaniat par daleel dene ke bajaaye sabse pahle sunnat ki tareef par guftugu ki hai..


Maalum nahi is bahes ke masle se sunnat ki taareef ka kya talluk hai, baherhaal farmaate hain

" jo kaam nabi e paak (as) ne hamesha kiya ho wah sunnat huwa karti hai, jo kaam karke chhod diya ho ya kabhi kiya ho, baad me na kiya ho, wah sunnat nahi"


(tohfa ahle hadith page 9)


JAWAB:


1- Isme koi shaq nahi ke hanafiyyah ka yahi mauqaf hai, ke sunnat wahi hai, jis par hameshgi saabit ho, aur us hameshgi me bhi unka ye mauqaf hai ke wah faael ba'taur ibadat ho,


chunanche zafar ahmad thanvi farmate hain

" hameshgi bhi kisi fael ke sunnat hone ki daleel nahi, jab tak us fael ko ala sabeelul ibaadat na kiya gaya ho, agar koi fael ba'taur aadat hamesha huzoor (as) ne kiya Ho toh wah mustahab to hai lekin sunnat nahi, jaisa ke hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hamesha libaas pahna, hamesha daayen haath sd khaana khaaya aur wazu ko hamesha daayen taraf se shuru kiya, toh ye kaam mustahab to hain, lekin sunnat nahi hai"


(aala al sunnan jild 1 page 118 bab, astabab al tayaman fil wuzu, ye ibaarat sharah wiqaya jild 1 page 64 me maujood hai )


jisse saabit ho raha hai ke hanafiyon ke nazdeek jo kaam hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hamesha kiya wah bhi SUNNAT nahi,

balke unke nazdeek kisi faael ke masnoon hone ke liye pahle fuqaha ke dastakhat (signature) hone zaroori hai, wah jise sunnat qaraar den wa sunnat aur wah jis ko sunnat se khaarij qaraar den wah khaarij.....INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON


2- Ham poochte hain ke iski aap ke paas kya daleel hai ke hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ka daayen haath se khaana khaana, Daayen taraf se wuzu ki ibteda karna, ba'taur aadat tha, ba'taur ibadat na tha,

ye sab jhoote bahaane aur sunnat ko qubool na karne ke dhang hain !!!


3- ulema e deoband ke nazdeek namaz ki sunnatein 24 hain

(namaz masnoon page 310)

ulema e barelwiyyah ke nazdeek 26 hai

lihaaza ab hanafiyon ke nazdeek jo mauqaf durust hai, uske har ek adad par ek sahih marfu muttasil hadith saabit kare ke allah ke rasool hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne unhen hamesha aakhiri namaz tak kiya hai, KABHI BHI TARK NAHI KIYA,

aur in faael ko ba'taur ibaadat karte they na ke ba'taur aadat,


agar hanafiyah in 24 namaz ki sunnaton par aisi hadith saabit kar den toh ham maan jaayenge ke sunnat wahi hoti hai, jaisa ke hanafiyah ne uski tareef ki hai, ke

"jise hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) hamesha karte they"

magar mere bhaiyyon, yaad rakhiye poori duniya ke muarrakeen jama hokar sar (head) tod Koshish karne ke ba'wajood iska saboot nahi de sakte...


4- jo faael jis haalat wa kaifiyat me hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) se saabit hai, khwaah wah zindagi me ek baar kiya ya zyaadah baar, wah faael sunnat hai, ba'sharte wah mansookh na ho,

ham aisi sunnaton ki nisaandehi karte hai jo hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek hi baar kiya hai, magar poori ummat muslima ke nazdeek wah fael SUNNAT hai..

1- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hijrat ek baar hi ki.

2-hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne apne haathon se masjid ki taameer sirf ek baar ki hai,

3- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne tableegh ke liye door ka safar ek baar taif ka kiya hai

4- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne kaaba ke andar sirf ek baar hi namaz padhi hai

5- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar hi tableegh ke liye wafad bheja Hai, jiske nateeje me bere mauna ka waqeya pesh aaya tha

6- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar hi meraj ki raat ambiya ko imamat karaayi hai, toh kya jab hz isa (as) ka nuzool hoga aur imam mahdi unki imaamat karwaayenge (muslim jild 1 page 87) toh kya mahdi ka ye fael ghair masnoon hoga ??

7- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar khandaq khodi thi, toh kya ab jihaad me morche banaana ghair masnoon hai ??

8- ba'qaul maulana usmani, sooraj grahan (solar eclipes) ka waqeya shirf ek baar hi pesh aaya aur namaz kusuf e shams bhi ek baar ada ki gayi

(dars e tirmizi jild 2 page 351)

kya ab namaz e kusuf ghair masnoon hogi, sunnat nahi ??

9- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) apni waalidah ki qabr par sirf ek baar gaye hain, toh kya ab walidain ki qabr par jaana ghair mansnoon hai ??


10- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hajj sirf ek Baar hi kiya hai toh kya hajj ko isi tareeqe se ada karna ghair masnoon hai ??


Mere azeez bhaiyyon ! Agar hanafiyah ki baat tasleem kar liya jaaye toh nubuwwat se imaan uth jaayega,

har khud'gharz bidati allah ke rasool hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ke aqwaal wa faael ko ye kah kar radd kar dega ki

ye sirf ek-aadh baar ka waqeya hai, lihaaza sunnat aur qaabil amal nahi !!!!


Ab ham faaltu wa ghair zaroori baat na karte hue asal mauzu par aate hain



NANGE SAR NAMAZ ADA KARNE KA SUBOOT :



hz jaabir (ra) se marwi hai ke ek roz wah ek kapde ko jism par lapete namaz padh rahe the, jabke dusra kapda qareeb tha, jab namaz se faarig hue toh kisi ne kaha:-" aap ek hi kapde me namaz ada kar rahe hain, jabke dusra kapda aapke paas maujood hai"

unhone kaha:-" main chahta hun ke tumhare jaise jaahil wa ahmaq mujhe dekh len ke nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko maine Isi tarah namaz padhte dekha hai"

(bukhari hadith 370 )


hz umar bin salma (ra) bayan karte hain ke unhone hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko dekha, wah hz umme salma (ra) ke ghar ek kapde me namaz ada farma rahe they aur kapde ke dono kinaaron ko aapne kandhon par daal rakha tha

(bukhari)


Hanafi hazraat miskaat ki ek gadi hui hadith pesh karte hain jo is tarah hai

" nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne nange sar aadmi ke salaam ka jawab tak nahi dete they "

(miskaat)


JAWAB:


Miskaat me aisi koi hadith nahi hai, jo hanafiyyah zikr kar rahe hain


haan ! Mishkaat kitabul libas me tirmizi aur abu dawood ke hawaale se ek riwayat hai ke

" ek admi guzra aur uske ooper do surkh rang ke kapde they , usne nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko salaam kiya toh aapne (as) ne uske salaam ka jawab na diya"

(mishkaat jild 2 page 1247 hadith 4353)



Dekhiye bhaiyyon is hadith me salam ka jawab na dene ki wajah surkh libas pahanne ki wajah bataya gaya hai,

lekin ahle hanafiya ko jhoot ki itni kasrat se aadat padh chuki hai ke usne is riwayat me bhi taqleedi aari chala kar matan riwayat me radd o badal kar diya hai,

algharz ye nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf kazzab mansoob kiya gaya hai, allah taala inhe taufeeq de...


Miskaat ki hadith ko allama albani ne "tahqeeq miskaat jild 2 page 1247" me zaeff kaha hai, aur hafiz ibn hajar ne uski fath ul baari me thaneef ki hai ( kazaafi tanqeeh arwah jild 3 page 230)


aur is hadith ki zaeff hone ki wajah ye hai ke :-"sanad me abu yahya qataat raawi hai"

(abu dawood jild 2 page 207)


aur ye laenul hadith hai

(taqreeb page 432)


KYA NANGE SAR NAMAZ NAHI HOTI ??



fuqaha hanafiya ne nange sar namaz ko maqrooh bhi likha hai, magar uske sath sath ye bhi saraahat ki hai Ke agar koi shakhs aajizi se nange sar namaz ada karta hai toh uski namaz ho jaati hai,


allama zaili hanafi "sharah maniyah" me farmate hain ke

" agar aajizi aur khusu ki wajah se ho toh phir (ho jati hai) makrooh nahi"

(mustamli page 349, sharah wiqaya jild 1 page 95, masnoon namaz page 504)


yahi baat sahab durre mukhtar ne kahi hai aur uski sharah me ibne aabideen farmate hain

" yani ye baat khoob acchi hai"

(fatawa shami jild 1 page 641)


isi par kanzul daqaiq ke sharah allah ibne najeem hanafi ne aitemaad kiya hai


(bahrur raiq jild 2 page 25)



ULEMA E AHLE HADITH KI TAHQEEQ:



hamare hanafi bhai " fatawa ulema e ahle hadith jild 4 page 286-291" ki ibaarat ka hawaala dete hain...


Hamen aitraf hai ke maulana (rh) ki yahi tahqeeq thi ke :-" nange sar namaz ba'taur aadat ya faishion ada na karni chahiye"


magar unhone isi mufassal fatawa ki ibteda me hi aitraf kiya hai ke:-" sar chunke Bila'ittefaq aaza e satar me nahi, isliye agar kisi waqt nange sar namaz padhi jaaye to namaz bila ittefaq jaayez hogi"

(fatawa ulema e hadith jild 4 page 286)


kya hamare hanafi bhaiyyon ko unki is tahqeeq se intefaq hai ??

Agar nahi, yaqinan nahi kyonki hanafiyah isko MAKROOH kahte hain

jiski ijazat sirf mazboori ki wajah se di ja sakti hai,

jaisa ke khud hanafi aalim jhangwi apni kitab " tohfa ahle hadith" me likha hai ke


"aap ke sawal ki shaq awwal ka jawab dete hain ke namaz ho jaati hai ya nahi, arz ye hai ke agar koi aadmi ba'amr majboori nange sar namaz padhta hai, yani uske paas kapda na ho ya sar me koi taqleef ho to namaz ho jaayegi"

(page 14)


JAWAB:


Ab dekhiye maulana salafi marhoom (rh) toh jayez ka fatawa dete hain, kisi majboori ki qaid nahi lagaate .

Jab ke hanafiya majboori ki qaid lagaate hain,


halaanke majboori ki wajah se toh baith kar namaz bhi jayez hai, balke leit Kar padhne ki bhi ijaazat hai, bila'wuzu tayammum karke insaan namaz ada kar sakta hai,

al'gharz aam halaat aur majboori ke fatawa me zameen o aasmaan ka farq hai, lekin hamare maulana ismail salafi marhoom (rh) ka fatawa apni taeed me hanafiya pesh kar rahe hain,


afsos 15wi sadi me aise faazil bhi musannaf ban baithe hain jo muttlaq aur muqeed ke farq ko nahin jaante,



EK SAWAL AHLE TAQLEED SE :



Fuqaha ahnaf ne nange sar namaz ko makrooh likha hai, jaisa ke tafseel se bayan ho chuka hai,

usul fiqah me marqoom hai ke:- "MAQROOH wah cheez hoti hai jo daleel zani se saabit ho, yani hadith sahih, marfu, mutassil se uska saboot ho, magar kitabullah me uski mumaniyat na ho "


is usool ki roshni me hi nateeja akhaz ho jaata hai ke :-" nange sar namaz ada karne ki mumaniat par koi ayat qur'ani to maujood nahi, albatta hadith maujood hai"


ab sawaal ye hai ke wah hadith kis sahabi se marwi hai aur Hadith ki kis kitab me uska wajood hai ke nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne nange sar namaz ada karne se mana farmaya hai ??


Yaqeen jaaniye ke poori duniya ke deobandi ulema mil kar sar tod koshish karne ke ba'wajood hamen koi aisi sahih marfu mutassil hadith nahi dikha sakte ,

agar ye dikha den toh ham allah ko gawah bana kar kahte hain ke be'ghair kisi heel o hujjat se ham usko apna amal banaayenge aur nange sar namaz ada karne se mana karenge...... Inshaallah



AAKHIR KHAMOSHI KYON HAI ??


kitni seedhi si baat hai ke nange sar namaz ada karne ko hanafiya hazraat makrooh kahte hain aur majboori ki soorat ke elawa uske jawaz ke qael hi nahi,

jaisa ke tohfa ahle hadith ke musannaf jhangwi bhi is par koi sahih marfu hadith pesh nahi kar saka, toh sawaal paida hota hai ki aakhir aap hazraat wah hadith kyon pesh nahi karte,

iska saaf matlab ye howa ke aapke paas koi daleel Maujood hi nahi,


haan lekin tohfa ahle hadith ke musannaf jhangwi ne ye kaarnaama kar dikhaaya aur apni taraf se ek hadith bana kar nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf mansoob kar di... (read above)


hanafiya ka ye bad'tareen fael hi is baat ki daleel hai ke aap is par koi daleel nahi rakhte, warna aap ko hadith gadhne ki zaroorat pesh na aati...



MUSANNAF TOHFA E AHLE HADITH JHANGWI KI QURAAN KE MAANA ME TAHREEF :



Farmate hain ke :-" agar susti se sar nanga rakhta hai toh usme yahudion se mushabahat hai"

quraan me aata hai yahudion ke baare me ke:-" jab namaz ke liye khade hue susti ke saath khade hue"

(tohfa ahle hadith page 14)



JAWAB:



1- Baat ko aage le jaane se pahle aayen alfaz e quraan aur unka tarjuma mulaheza karen

maulana mahmood ul hasan deobandi is ayat ke baare me farmate hain

" albatta munafiq daghabazi karte hain, allah se aur wahi unho dagha Dega, aur jab khade hon namaz ko to khade hon haare jee se, logon ko dikhaane ko, aur yaad na karen allah ko magar thoda sa"

(surah nisa ayat 142, tarjuma mahmud ul hasan deobandi)


Bhaiyyon aap is tarjuma se hi ba'khoobi jaan gaye honge ke yahan par munafiqeen ka zikr ho raha hai, magar hamare jhangwi sahab qur'aani uloom se is qadr jaahil hain ke wah use yahud ki baare me baa'war kara rahe hain,

goya lafz munafiqeen ke lafz ko yahud se badalna, unka allah taala par aftara aur quraan ki maano ki tahreef hai ??


KYA NANGE SAR IBAADAT KARNA ISAAIYYON KA TAREEQA HAI ??



Jhangwi farmate hai :-" isaaiyon se mushabahat laazim aati hai, isaaiyon ko ibaadat karte hue aapne dekha hoga saare nange se ibaadat karte hain "


(tohfa ahle hadith page 13)



JAWAB:



1-hamari to isaaiyat ke saath koi yaari nahi, yaari waalon ko malum hoga ke wah ibaadat kis tarah karte hain,

hamare shaher me girja ghar hai Magar kabhi unki ibaadat dekhne ka intefaaq nahi huwa,

haan kabhi bade din (christmas) par wah ibaadat karte hain to aawaz se pata chalta hai ke wah toh moseeqi ke saath karte hain,

jaise baaz ba'qalam khud musalman raqs wa sarod ki mahfil ke saath ibaadat karte hain,

jo log barre sagheer me mauseeqi ke saath ibadat karte hain (qawwali wagerah), unka rishta hanafiyat ke saath hai, balke wah apne ko pakke hanafi kahte hain, aur aap hazraat ko hanafiyat ke khilaaf shaajish se taabeer karte hai,

al'gharz apni aankh ka shahteer to nazar nahi aa raha, magar ghair ki aankh me tinka aap ko dikhta hai,


2- hanafiya par laazim hai ke wah dalail wa baraheen se saabit kare ke nange sar ibaadat karna kuffar ka sha'aar hai,


3- is baat ki wazahat bhi kar dijiye ke jin fuqaha ne nange sar namaz ko jayez kaha hai wah kuffar ke zamar me aate hain ya nahi ??



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE...