Friday, 16 November 2012

" IMAM " AUR " ALAIHISSALAAM"

" IMAM " AUR " ALAIHISSALAAM"



Bismillahirrahmanir raheem



ahle sunnat(sunni) ke zyadatar log hz hussain radiallahuanho ko bina soche samjhe " imam hussain alaihissalam" bolti hai,

jabki sayyidena hz hussain (ra) ke saath " imam" ke alfaaz bolna aur is tarah "radiallaho anho" ki jagah "alaihissalam" kahan bhi shiyyat (rafziyyat) hai, ham tamam sahaba kiraam ra ke saath izzat wa samman ke liye " hazrat" lafz istemal karte hain, hazrat abu bakar ra, hazrat umar ra, hazrat usman ra, hazrat ali ra, etc...

Ham kabhi "imam abu bakar, imam umar nahi bolte,

isi tarah ham sahaba kiraam (ra) ke paak naamon ke baad "radiallaho anho" likhte aur bolte hain, aur kabhi "abu bakr alaihissalam, umar alaihis salam " nahi bolte,


lekin hz hussain ra ke saath "radiallaho anho" ke bajaaye "alaihissalam bolte hain,


kabhi iske baare me samjha ki aisa kyon hai??

Asal me ye shiyyat(rafziyyat) ka aqeedah ka nateeja hai jo be soche samjhe hamare andar Daakhil ho gaya hai, isliye yaad rakhiye ki yah shiaon ka ek buniyadi masla " imamat " ka bhi hai aur imam unke nazdeek ambiya ki tarah allah ki taraf se masoom(galtiyon se paak, free from errors) hota hai,


hz hussain ra bhi unke baarah(twelve) imamon me se ek imam hain, isliye unke liye "imam" ke lafz istemaal karte hain aur isi tarah unke liye "alaihissalam" likhte wa bolte hain,


hamare nazdeek we sahabi e rasool hain, "imam masoom" na ham shiaon ki imamat masooma ko maante hain,

isliye hamen unhe dusre sahaba kiraam ki tarah " hazrat hussain ra " likhna aur bolna chahiye, "imam hussain as" nahi,

kyonki yah shiaon ke jaane pahchaane aquaid aur chalaaki( cleverness) ke ishaare hain....


Allah hamen samjhne ki taufeeq de

MUHARRAM-UL-HARAAM AUR SHAHADAT E HZ HUSSAIN (RA) SE KYA TALLUQ IS MAHINE KA?

Bismillahirrahmanirraheem




MUHARRAM-UL-HARAAM-- ISLAAMI HIJRI KI SHURUAAT



Maah e muharram islami hijri ka pahla mahina hai jiski buniyaad to nabi akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ki hijrat ke waqeye par hai,

lekin is islam san hijri ki shuruaat 17 hijri me hz umar farrokh ra ke daur me huwa,

bayaan kiya jaata hai ki hz abu musa ashari ra yemen ke governor they uske paas hz umar ra ke farmaan aate they jinpar tareekh na hoti thi 17 hijri me hz abu moosa ke dhyaan dilaane par hz umar ra ne sahaba ko apne yahan jama kiya aur unke saamne yah masla rakha, aapsi mashware ke baad ye taiy paaya gaya ki apne san tareekh ki buniyaad hijrat ke waqeye ko banaya jaaye aur iski shuruaat muharram ke mahine me kiya jaaye kyonki 31 nubuwwat ke dhul-hijjah ke bilkul aakhir me madina munawwara ki taraf hijrat hui aur uske baad jo chaand huwa wo muharram ka tha

(fath ul baari, baab ut tareekh)



Musalmano ka yah islami san bhi apne maayene ki aitbaar se badi ahmiyat rakhta hai,

duniya ke mazhabon me is waqt jitne saal mashoor hain we aam taur par ya toh kisi mashoor insaan ke paidaish(birth day) ki yaad dilaate hain ya kisi qaumi khushi ki yaad se jude hain ki jis se nasl e insaani ko koi faayeda nahi,

jaise maseehi saal ki buniyaad hz isa as ki paidaish hai, yahudi saal phelestine par hz sulaiman as ki takht nasheeni ke waqeye se juda hai, vikrami saal raja vikramaditya ki paidaish ki yaadgaar hai, roomi saal mahaan raja sikandar ke paidaish se talluq rakhta hai,

lekin islami saal hijri nubuwwat daur ki aise waqeye se juda hai jis me yah ilm(education) chhupa hai ki agar musalmaan sach(truth) ke elaan ke nateeje me har taraf se pareshaani me ghir jaayen, basti ke tamaam log uske dushman ho jaayen, qareebi rishtedaar aur dost bhi usko khatm karne ka iraada kar len, uske dost bhi isi tarah Taqleef ka shikaar kar diye jaayen, shehar ke tamaam bade log use qatl karne ki yojna(plan) bana len, uska zindagi tang kar di jaaye to us waqt musalmaan kya kare??

Uska hal(solution) islam ne yah nahi bataya ki kufar wa jhoot ke saath samjhauta kar liya jaaye, deen ke parchaar(tableegh) me samjhauta kar liya jaaye aur apne aqaid wa nazaryaat me lachak paida karke unme ghul mil jaayen taake dushmano ka zor toot jaaye,

BALKI iska hal islam ne yah nikaala hai ki aisi basti aur shaher par baat poori karke wahan se hijrat ki jaaye

usi hijrat e nabwi ke waqeye par hijri saal ki buniyaad rakhi gayi hai jo na, shaan o shaukat ki kisi waqeye ki, balki yah hijrat ki mahaan waqeya mazloomi aur be-kasi ki ek aisi yaadgaar hai ki jo himmat na haarna aur allah ke raazi hone ki ek badi bhaari misaal apne andar rakhti hai,

yah hijrat ka waqeya batlaati hai ki ek mazloom wa be-kas insaan kis tarah apne mission me Qaamyaab ho sakta hai aur musibat se nikal kar kis tarah kaamyaabi wa shaadmaani ka shaandaar taaj apne sar par rakhta hai aur ghumnaami se nikal kar uncha darja wa mashooriyat aur izzat wa mahaanta(greatness) ke unche rutbe par pahunch sakta hai,

iske elawa yah mahina hurmat waala hai aur is mahine me nafil roze allah ko bahut pasand hain jaisa ki hadith nabwi me maujood hai.


Yah bhi dhyaan rahe ki is mahine ki hurmat ka sayyedena hz hussain ra ki shahadat se koi talluq nahi hai,

kuch log samjhte hain ki yah mahina isliye hurmat waala hai ki isme hz hussain ra ki shahadat hui thi yah sochna bhi bilkul ghalat hai,

yah shahadat ka waqeya to nabi akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ki wafaat se 50 saal baad pesh aaya aur muqammal deen to nabi akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ki zindagi me hi poora ho gaya. Jaisa ki surah maida ayat no 3 me maujood hai


isliye Mahurram ul haraam ki hurmat ko shahadat e hussain ra se jodna is qur'aani ayat ke saraasar khilaaf hai phir khud isi maheene me isse badhkar ek aur shahadat ka waqeya pesh aaya tha yani hz umar bin khattab ra ki sahahadat ka waqeya,

agar baad me hone waali in shahadaton ki shar'an koi haisiyat hoti to hz umar ra ki shahadat is aitbaar se thi ki ahle islam iska bharosa karte,

hz usman ra ki shahadat aisi thi ki uski yaadgaar manaayi jaati aur phir in shahadaton ke bina par agar islam me maatam wa sog ki ijaazat hoti to beshak hi tareekh e islaam ki ye dono shahadatein aisi thi ki musalman unpar jitna bhi sog wa malaal zaahir karte aur matam wa rona dhona karte, kam hota,

lekin ek to islaam me is matam wa rona dhona ki ijazat nahi, dusri ye saare waaqeye deen muqammal hone ke baad pesh aayi hain isliye unki yaad me rona wa maatmi majlisi karna deen me ijaafa hai jiske ham kisi haal me paband nahi.

ASHRA-E-MUHARRAM AUR SAHABA KIRAM (RA) KA RUTBA:

Bismillahirrahmanirraheem




ASHRA-E-MUHARRAM AUR SAHABA KIRAM (RA) KA RUTBA:



Ashra-e-muharram me aam dastoor wa riwaaj hai ki raafzi aqaid ki buniyaad par karbala ke waqeye ko khoobsoorat rang(color) aur romantic andaaz me bayan kiya jaata hai.

Shia ulema to is baare me jo kuch karte hain wa sooraj ki tarah roshan hai,

lekin bahut se ahle sunnat ke ulama aur peshwa bhi apne chamatkaari bayan se mahfilon me maujood logon se in waqeyon ko bayan karte hain jo shiat ki ijaad aur unki aqaid ka saboot hai, is shahadat ke waqeye ka ek pahlu sahaba kiram ra par gaali ghaloch hai jiske bina shiaon ki "MAHFIL MATAM HUSSAIN RA" Poori nahi hoti

Ahle sunnat is hadd wa kameengi tak to nahi utarne lekin kuch log kuch sahaba kiram par laan taan kar lene me koi harj nahi samajhte,

jaise ek mulla ne yahan tak kah diya ki sangat ki kami hone ki wajah se unke dilon ki safaai (naozubillah) nahi hui thi,

jabki sach Yah hai ki tamaam unche wa kam tar sahaba ke darjo wo fazilaton me farq hone ke bawajood sahabi hone ke samaan(equal) respect wa darja islam ka matloob hai

kisi sahabi ke baare me zabaan laan taan ke liye kholna aur bura lafz istemal karna halaaqat wa tabaahi ke khatre ko dawat dena hai

sahabi ke maayene(definition) har us shakhs par fit aati hai jisne imaan ki haalat me nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ko dekha ho aur qur'an wa hadith me sahaba kiram ke jo khoobiyan aur darje bayan kiye gaye hain unka matlab bhi har sahabi par hoga


haafiz ibne hajar (rh) ne al asaba me sahabi ki jis maayene ko sab se zyada sahih aur poora qaraar diya hai wah yah hai


" sabse zyada sahih maayene sahabi ki jis par main ba khabar huwa wah yah hai ki:-" wah shakhs jisne imaan ki haalat me huzoor nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) se mulakaat ki aur islam hi par uski maut hui" to usme har wah Shakhs daakhil hai jisne nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) se mulaaqaat ki (yah baat chhodkar ki) use aap ki sangat ka rutba zyada haasil raha ya kam, aapse riwayaat ki ya na ki, aap ke saath gazwe me shareek huwa ya nahi aur jisne aapko sirf ek nazar hi se dekha ho aur aap ki majaalis, sangat ke sharf ka mauqa use na mila ho aur jo kisi khaas wajah ke bina par aapko dekhne ka sharf haasil na kar saka ho jaise andhapan"

(al asaba fi tameez al sahabah 1/158)


isliye ahle sunnat ka charon khalifon hz abu bakr ra. Hz umar ra. Aur hz usman wa hz ali ra. Aur baaqi unjaise sahaba ke rutbe wa sammaan(respect) ko dhyan na rakhna lekin kuch unche darje ke sahaba e rasool ki respect ka dhyan rakhna ya kam se kam respect ka haqdaar na samjhna jin ke paak naam shajre mushajarat ke silsile me aate hain jaise hz muawiya ra, hz amr bin aas ra, hz mughira bin shoaba ra hain, poori tarah ghalat aur shiat Ka ek hissa hai,

ahle sunnat ko is nuqte par sochna wa samjhna chahiye ki charon khalifon ki izzat wa samman to kisi hadh tak samjhdaar pasand shia bhi karne ko majboor hai aur unka zikr we kharaab andaaz me karne se bacha hi karte hain, albatta hz muawiya ra , hz amr bin aas ra etc ko we bhi maaf nahi karte,

agar sahaba kiram ra ko maanne waale bhi yahi tareeqa apna len, to phir sahaba se muhabbat aur dushmani rakhne waalon me farq hi kya rah jaata hai ? Aur un sahaba ko ijjat(respect) se kam khyaal karke unke izzat wa darjon ko ghaayal karna kya sahabiyat ke qile me naqab lagaana nahi hai ?

Kya is tarah nafr sahabiyat ki pakeezgi ghaayal nahi hoti ? Aur sahabiyat ki greatness taar taar nahi hoti ?

Baher haal ham yah kah rahe they ki qur'an wa hadith me sahaba kiram ra ke jo khoobiyan wa darje bayan hain we tamaam sahaba ke liye hai isme bilkul bhi apwaad(exception) ki koi gunjaish nahi hai aur In nusoos ki wajah se ham is baat ke paband hain ki tamaam sahaba ko nafs e sahabiyat ke sammaan me barabar izzat wa darjon ka haqdaar samjhen,

is silsile me yah hadith har waqt hamare saamne rahni chahiye


hz abu saeed khudri ra bayaan karte hai ki nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ne farmaya:- "mere sahaba par laan taan na karo (yani unhe bura aur buraayi ka nishaana na banaao) unhe allah ne itna buland darja (ata farmaya hai) ki tum mese koi shakhs agar uhud pahaad(mountain) jitna sona(gold) bhi allah ki raah me kharch kar de to wah kisi sahabi ke kharch kiye ek mud (approx ek ser) balki aadhe mud ke baraabar nahi ho sakta"


(sahih muslim fazail e sahaba 2040-2041)


allah hamen badakhlaaqi se bachaaye.....AMEEN

TAAJIYA PARAST BARELWI,SHIA AUR HANAFI MAZHAB

Bismillahirrahmanirraheem



MUHARRAM KI BIDATEIN AUR RASMON KI KHARABIYAN



Deen me apni taraf se ijaafa hi ko BID'AT kaha jata hai, phir ye cheezein sirf bidat hi nahi hai balki isse bhi badhkar ya shirk wa moorti pooja ke khaane me aa jaati hain, kyonki


1-tajiye me hz hussain ra ki ruh ko maujood aur unhe ilm e gaib ka jaanne wala samjha jata hai, tab hi to taajiyon ko ijjat ke qaabil samjhte aur unse madad maangte hain, jabki kisi buzurgon ki ruh ko haazir wa maujood janna aur ilm e ghaib ka janne wala samjhna shirk wa kufr hai,

hanfi mazhab ki motbar kitab fatawa bajajiyah me likha hai:-" jo shakhs ya yaqeen rakhe ki buzurgon ki ruhen har jagah haazir hain aur wah ilm rakhti hain,wah kaffir hai"


2- taajiya parast taajiyon ke saamne sar nihodte hain jo sazde hi ke khaane me aata hai aur kai log to khullam khulla sajde karte hain, aur gairullah ko sazda karna, chaahe ibaadat ka ho ya ehteraam ka Khula shirk hai,

fiqah hanafi me bhi gairullah ke sajda ko kufr se tabeer kiya hai

shamsul aimma sarkhasi kahte hain:-" gairullah ke ehtram(respect) ke liye sazda karna kufr hai"

aur allama kahastani hanafi farmate hain:-" gairullah ko sazda karnewala puri tarah kafir hai chaahe ibadat ka ho ya ehteraam ka"

(raddul mukhtar)


3-taajiya parast matam karna wa seena peeta karte hain aur matam wa sog me shirkiya kalima ada karte hain, ek to nauha karna bajaaye khud gair islami kaam hai jis se rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ne mana farmaya hai,

sahih hadith me hai rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ne farmaya:-" wah shakhs ham mese nahi jis ne gaal peete girebaan chaak kiye aur jihaalat ke zamane ka sa rona dhona kiya"

(sahih bukhari, al janaiz 1297)

yah sooratein jo is hadith me bayan ki gayi hai, rona wa matam ke khaane me aati hai, jo haraam hai, isliye ki sog zaahir Karne ke elawa haraam sog ki jo bhi banawati sooraten hongi wah sab haraam sog me shaamil hongi, fir in matam wa sog me zameen wa aasmaan ke kulaawe milaana aur banda wa mabood ke beech farq ko mita dena to wahi jahiliyat ka shirk hai jiske mitaane ke liye hi to islam aaya tha

4- taajiya parast taaziyon se apni muraaden aur haajat talab karte hain jo khula shirk hain, jab hz hussain ra maidan e karbala me mazlumaana taur par shaheed ho gaye aur apne ghar walon ko zaalimon ke panje se na bacha sake to ab marne ke baad wah kisi ke kya kaam aa sakte hain?

5- taajiya parast hz hussain ra ki banawati qabr banaate hain aur iski ziyarat ko sawaab samjhte hain jabki hadith me aata hai

" jisne aisi khaali qabr ki ziyarat ki jis me koi mayyit nahi to maano usne but(idol) ki pooja(ibadat) ki"


(risaalah tanbiyah al zaaleen, maulana aulaad hasan waalid nawab siddiq hasan khan rh )


ALLAH HAMEN TAJIYA PARASTI SE BACHAAYE.... AMEEN

MUHARRAM UL HARAAM--EK MUQADDAS MAHINA

Bismillahirrahmanirraheem



MUHARRAMUL HARAM – EK MUQADDAS MAHINA AAJ SHIRK AUR BIDDAT KA GEHWARA…


Muharramul Haram ek aisa muqaddas mahina jisme Zaman-e-Ja hiliyat mein bhi tamam tarah ki buraiya band kar di jati thi yahan tak ki ladaiya bhi multawi kar di jati thi lekin aaj Dushmanan- e-Islam ne apni takhreeb kari aur ghaleez harkato ko Ummat-e- Mu slima ke andar ghol diya aur ise ek Shirk aur Biddat ka mahina bana diya. Jidhar nikal jao nohe aur marsiye padhe ja rahe hain,



har dusre ghar me sog manaya ja rha hai, har taraf haye hussain, haye hussain ki aaho baqa hai, koi ghar mein Bibi Fatima ki kahani padhwa raha hai, koi bibi zenab ki kahani padhwa raha hai, ek taraf makkari aur dhong ke ansu hain aur dusri taraf mithayi ki dukane saji hui hain, ek taraf seeno aur peetho ko mara ja raha hai aur kata ja raha hai to dusri taraf fakeer, paiky, alam aur taziye banaye ja rahe hain, har taraf ajeeb haal hai, har shakal par 12 baje huye hain.

Wo jo karte hain unhe karne do musalmano, ye to un khabeeso aur ghaleezo par AZAAB hai ALLAH ka jo Qayamat tak jari rahega, ye aise he apna seena peet te rahenge kyun ki isi seene mein Amma Ayesha R.A ka bughz bhara hai, Hazrat Abu Bakr RA. bughz bhara hai, Hz Umar Farooq R.A. ka bughz bhara hai, Hz Usman-e-Ghani R.A. ka bughz bhara hai, aur tamam SAHABA R.A.A. ka bughz bhara hua hai aur saro ko isliye kat te hain ki isi dimagh mein Hazrat Hussain ko shaheed karne aur Ahle Bait ko badnam karne sazishe bhari hui hain.




FAKEER : Ye fakeer banne ka system he nahi samjh aya aajtak, ye fakeer kyun banaye jate hain bache, agar ek fakeer ka bacha aa jaye to badi hikarat se dekhte hain lekin in 10 dino me to bade bade ameer aur haisyat,shohrat aur paise wale apne abcho ko fakeer banate hain.

Ye fakeeri ka to pasha HARAM hai islam mein phir ye kaise aya is muqaddas mahine mein?


PAIKY: Kuch musalman kamar mein rassiyan bandhe aur ghantiyan latkaye bas daudte rahte hain nange pair, koi idhar bhaga ja raha hai, koi udhar bhaga ja raha hai, kuch group banakar yahan daudte hain kuch wahan daudte hain, aakal to modern ho gaye to bikes par 3 - 3 aur 4 - 4 baithe kartab dikhate hue nikalte hain, subah se lekar sham tak sirf daudna aur sirf daudna he hai, na namaz ki fikr hoti hai aur na sunnato ki, farziyat ka kahin naam nahi, sunnato ke janaze nikle hue aur bs bhag rahe hain, ALLAH jane ye DEEN ke liye bhag rahe hain ya DEEN se bhag rahe hain.



Ye bhi kahin se sabit nahi hai Nabi A.S. se to mumkin he nahi hai aur SAHABA R.A.A. ne kabhi kiya nahi, na tabayi se na tabe tabayi se, na kisi Auliya ALLAH se, phir ye kaha se aya?


TAZIYADARI AUR ALAM: Iski shuruat Taimoor Lang ke zamane mein hui aur Noor Jahan ke zamane mein parwan chadhi choonki Taimoor langda tha isliye wo Iran ja nahi skata tha in zalalat ke liye to usne yahi ye sab kuch banwa shuru kar diya, yahi itihas humein Noor Jahan ke bare mein bhi milta hai ki wo Iran ki rahne wali thi aur yahan par Jahagir se shadi hui to Iran na ja sakne ki wajah se usne kuch iraniyo ko yahi bula liya aur ye zalalat wale kam yahi shuru kar diye aur aaj ka musalman ise sawab ka darja deta ASTAGHFIRULLAH

ye sarapa biddat aur shirk mein mulawwis hone wale kam hain.

Barelvi fikre maktab ke kuch log isme kuch zyada he mulawwis hain lekin shayd unhe ye nahi pata hai ki unke he firke ki ibtida karne wale Imam Ahmad Raza Sb. Ne apni kitab Fataw-e- Rizwiya mein fatwa diya hai “Taziya dekhne wala, banane wala aur use bechne wala kufr ka murtakib hai” . Barelwi hazraat in ghaleez aur badtareen biddat se bahar niklalna chahiye.


Muharramul Haram ki 10 tareekh ko bht sog wala din, kala din ya manhoos din mante hain ihaza unhe ye pata nahi ki is din Hz Adam A.S. ki tauba qubool hui, Isi din ye paida kiye gaye, aur jannat mein dakhil kiya gaya, isi Arsh, Kursi, Aasman, Zameen, Shams, Qamar, Sitare aur jannat banayi gayi,

isi din Hz Ibrahim A.S. paida hue aur aag se nijat mili, isi din Hz Moosa A.S. ki ummat ko firaon se nijat mili aur firaon apni qaum ke sath ghark hua,

isi din Hz Isa A.S. paida kiye gaye aur inhe asman ki taraf uthaya gaya, isi din Hz Nooh A.S. ki kashti joodi pahad par thehri, isi din Hz Suleman A.S. ko mulk azeem ata kiya gaya, isi din Hazrat Ynus A.S. ko machli ke pet se nikala gaya, isi din Hazrat Yaqoob A.S. ki beenayi di gayi,

Hz Yusuf A.S. ko kuwe se nikala gaya, Hz Aiyyub A.S. ki takleefo ko rafa kiya gaya,

Itna sab kuch hone ke bad bhi agar koi ise manhoos ya sog wala ya kharab din kahe to woe k momin nahi ho sakta zarur aur isme koi shak na hoga ki wo shakhs Dushman-e- Islam hoga.

Niche kuch Hadees-e-Paak SAWW bhi de raha hun mulahiza farmaye

Nabi SAWW ki hadees hai jiska mafhoom hai ki

“Jo apne gireban ko chak kare, munh peete, aur zaman-e-jahiliyat wali batein kare wo hum me se nahi"

(Sahih Al-Bukhari)

SHIA RASMON KI TAREEKH AUR SHURUAAT

Bismillahirrahmanirraheem




SHIA RASMON KI TAREEKH WA SHURUAAT



BANI UMAYYA PAR LAANAT KI SHURUAAT:



"351 hijri me moiduddawla( ahmad bin buwaihi dailmi) ne jama masjid baghdad ke darwaje par nauzubillah yah ibaarat likhwa di:- "muawiya bin abu sufiyan, ghasiween fadak, "imam" hasan ra ko roza nabwi sws me dafan karne se rokne waalon, hz abu dhar ko nikaalnd walon, abbas ko shuara se nikaalne walon par laanat ho"

(tareekh ibne aseer, part 8 pg 179)



EID E GHADEER KA GADHNA:


Moiduddawla ne 18 dhul-hijjah 351 hijri ko baghdad me eid manaane ka huqm diya aur us eid ka naam "eid kham ghadeer" rakha, khoob dhol bajaaye gaye aur khusiyan manaayi gayin, usi tareekh yani 18 dhul hijah 35 hijri ko hz usman ghani ra shaheed huwe they,

isliye us din shiaon ke liye "kham ghadeer" ki eid manaane ka din muqarrar kiya gaya,

ahmad bin buwaihi dailmi yani moiduddawla ki is ejaad ko jo 351 hijri me hui, Shiaon ne yahan tak riwaaj diya ki aaj kal ke shia ka yah aqeeda hai ki eid ghadeer ka darja eid ul azha se zyada buland hai



MATAM AUR TAAJIYADAARI KI EJAAD(INVENTION)



352 hijri ke shuru hone par ibne buwaihi ne huqm diya ki 10 muharram ko hz "imam" hussain ra ki shahadat ka gham me tamaam dukaane band kardi jaayen, khareed faroakht band rahe, shaher wa dehat ke log maatmi libaas pahne aur khulkar royen, aurtein apne baal khole hue, chehron ko kaala kiye hue, kapdon ko fhaadte hue sadkon aur bazaaron me marsia padhti, muh nochti aur chhaatiyan peet'ti hui, niklen,

shiaon ne is huqm ko khushi khushi tasleem kiya magar ahle sunnat hairaan wa khamosh rahe kyonki shiaon ki hukumat thi. Agle saal 353 hijri me phir usi huqm ko duhraaya gaya aur sunniyon ko bhi isi ki taameel ka huqm diya gaya, ahle sunnat is zillat ko bardaasht na kar sake isliye shia aur sunniyon me jhagda huwa aur bahut badi maarkaat Hui, uske baad shiaon ne har saal is rasm ko karna shuru kar diya aur aaj tak is ka riwaaj hindustan me ham dekh rahe hain, ajeeb baat yah hai ki hindustan me zyadatar sunni log bhi taajiya banaate hain"

("tareekh e islam" akbar khan najeebabadi part 2 page 566. Karachi)


SHIA'AT KA FITNA


"bani buwaihi mazhaban shia tha, kuch dino tak wah khamosh rahe phir un ka bugz zaahir hone laga, daulat e abbasia ke bahut se afsar(officer) aur hukmaran shia they lekin unme se kisi ne khulkar shiat ka parchaar karne ki himmat na thi, moiduddawla ne khalifa ki taqat khatm karne ke saath hi baghdad me shiat ki tableegh shuru kardi aur 351 hijri me jaama aazam ke darwaje par ya tabarra likhwaya

"muawiya bin abu sufiyan, ghasiween fadak, "imam" hasan ra ko roza nabwi sws me dafan karne se rokne waalon, hz abu dhar ko nikaalnd walon, abbas ko shuara se nikaalne walon par laanat ho"

(tareekh ibne aseer, 8/17)


Khalifa me is bidat ko rokne ki taqat na thi, kisi sunni ne raat ko yah ibaarat mita di, moiduddawla ne phir likhwaane ka iraada kiya lekin uske sipah salaar mahlawi ne mashwara diya ki sirf muawiya ke naam ko likha jaaye aur unke naam ke baad "wal zaalimeen la muhammad" yani " aal e muhammad par zulm karne waalon " ka lafz badha diya jaaye, moiduddawla ne yah mashwara qubool kar liya, shayad tabarra ki is kapti shakhl ki shuruat isi se hoti hai

moiduddawla ne isi par bas nahi kiya balki baghdad me shiaon ki tamaam rasmen jaari kar di, eid ghadeer ke din aam eid aur jashn musarrat manaane ka huqm diya, muharram ke liye huqm jaari kiya ki aashura ke din tamaam dukaane aur kaarobaar band rakhe jaayen, saare musalman khaas qism ki topiyan(caps) pahan kar sog wa matam karen, aurtein seena peet'te hue shaher me maatami juloos nikaalen, sunniyon par yah ahkaam bahut bhari guzre lekin shiaon ki kuwwat aur Aur huqumat ke saamne bebas they isliye in ahkaam ko khatm to na karaa sake lekin iska nateeja yah nikla ki muharram 353 hijri me shia aur sunniyon me shakht fasaad huwa, aur baghdaad me bada bawaal mach gaya"


(ibne aseer part 8 page 184, taareekh islam, shah moinuddin ahmad nadwi, azam garh part 4 page 12,13)



ALLAM HAMEN SHIA FITNE SE BACHAAYE..... AMEEN

MUHARRAM KE RASMEN-- HAAFIZ IBNE KATHIR RH KI NAZAR ME

Bismillahirrahmanirraheem



MUHARRAM KE RASMEN-- HAAFIZ IBNE KATHIR RH KI NAZAR ME



Hafiz ibne kathir rh 453 hijri ke waqeyon me maatmi julooson ke silsile me likhte hain:


" ye (maatmi majlisen etc) rasmen, islam me unki koi zarurat nahi, agar yah haqiqat me acchi cheez hoti pahle zamaane wale aur is ummat ke shuruaati aur behtar log isko zaroor karte, we is ke sabse zyada kaabil they (baat yah hai ki) ahle sunnat(sunnat e nabwi) ki pairwi karte hain, apni taraf se bid'aten nahi karte"

(al badaya wan nihaya 11/271)


matlab yah hai ki hind wa paak me raafziyon ke sangat me taajiyashaaji ki jo bidat mashoor hai yah shirk tak pahuncha deti hai kyonki taajiye me hz hussain ra ki qabr ki shakl banaayi jaati hai aur phir usko sazda kiya jaata hai aur wah sab kuch kiya jaata hai jo moorti pujaari apni moortiyon ke saath karte hain aur is maayna me yah poore taur par moorti pooja hai

HZ MUAWIYA (RA) KI YAZEED (RH) KO HZ HUSSAIN (RA) KE BAARE ME NASIHAT:

Bismillahirrahmanirraheem




HZ MUAWIYA (RA) KI YAZEED (RH) KO HZ HUSSAIN (RA) KE BAARE ME NASIHAT:



Hz muawiya ra ki wafaat ke baad yazid ki bait ka jo masla saamne aaya jisme hz hussain ra samet sirf 4 logon ne ikhtelaaf kiya, unme se hz hussain ra se madeene me bait lene ka mutaalba kiya gaya, lekin hz hussain ra ne is maamle ko taal diya aur fir wahan se makka tashrif le gaye, makke me bhi unse koi rok tok nahi ki gayi, maano dono shahron me unki izzat wa maan ko dhyan me rakha gaya, unpar na kisi qism ki shakhti ki gayi na unse koi pooch taach hi hui, narmi wa adab wa samman ka yah maamla yazeed ki ijazat ya razamandi ke bina mumkin nahi tha,

malum hota hai ki yazid ne is wasiyat ko apne saamne rakha jo hz muawiya ra ne hz hussain ra ki baabat khaas taur se yah wasiyat ki thi jo yah hai


" Hz ali ra ke bete, rasoollulah ki beti fatima ke jigar goshe, hussain ka dhyaan rakhna, wah logon me Sabse zyada mahboob hain, isliye unke saath husn e sulook aur narmi ka maamla karna, isse tere liye unka maamla sahi rahega aur agar unse kisi cheez ka wajood me aa huwa to mujhe ummeed hai ki allah taala tujhe unse un logon ke wajah se kaafi ho jaayega jinhone uske baap ko qatl kiya aur uske bhai ko be yaar wa madadgaar chhod diya "

(al badaya 8/461)

is naram policy hi ka nateeja tha ki hz hussain ra ke koofa jaane ke iraade me koi lachak nahi hui aur unke himaaytiyon ke samjhane ke bawajood unhone apne iraade me tabdeeli ki zarurat mahsoos nahi ki.......


KARBALA KI POORI SACCHI KAHANI INSHAALLAH JALD POORI LIKHI JAAYEGI...


ALLAH HAM SABKO SAMJHNE KE TAUFEEQ DE.....AMEEN

TAZIADARI OR MATAM ISLAM ME HAI YA NAHI ???

Bismillahirrahmanirraheem




TAZIADARI OR MATAM ISLAM ME HAI YA NAHI ???



Hz Husain (r.a) ki shahadat ki munasibat se, musalmaano ki ek jamaat 10 muharram ke din tazia banati hai, or matam karti hai,kya ye islamic ehkam ke mutabiq hai to karna jayez hai, or agar usse hut kar hai, to aisa karna, band karna chahiye,


1, rasool allah (s.a.w) ke chacha, HAZRAATH HAMZA (R.A) ki shahadat ka waqiya intehayi dard naak hai, jinhe ghazb-e-oh ad me hind ne apne ghulam se shaheed karwaya tha, or khud usney, hamza (r.a) ka seena cheer kar kaleja ( liver) chabaya, or unka kaan (ear) kaat kar gale ka haar banaya tha, rasool allah (s.a.w) ko us sadmey se kafi taklif huwi, chunanche, fatah-makk ah ke mauqe par, phir jab hind islam kabool karne ke liye aap ke samne aayi, to aap ne apna muh pher liya, or aap ki aakhon me aansu aagaye…... ..

Is manzar ko apne samne rakhte hai, or phri seerat ko dekhte hai, kya aap (s.a.w) ya sahaba ne hazrath hamza ya kisi or ki shahadat ki munasibat se, TAZIA BANAYA HAI ???



2, khulifa salasa 3rd khulifa, nabi (s.a.w) ke damad OSMAN BIN AFAAN (R.A) ko sipahiyoun ne kitne dard naak andaaz me shaheed kiya, sahaba ne us gham ki taziadari ki ???

hargiz nai


3, jis waqt hazrath husain (r.a) ko shaheed kiya gaya, us waqt bohat sare jalil ul qadar sahaba, ahel-e-bait, chand aswajh mohtarat, or hazrath husain ke ahel-o-aya ba hayaat the,

kya kisi ne bhi , matam kiya ya tazia banaya ?????

jab ke wo humse zada deen ko samajne wale the......


4, taziyan banakar phir use pani k nazar karne mey, bohat sa maal zaya hota hai, jisse islam or musalmaano ka koi faida nahi hota, ye fuzul kharchi or shaitani faal hai, or allah farmate hai,

"beshak fuzul karchi karne wale shaitan k bhai hai"

( sura 17 :27)


5, phir taziya ke saat mardon or auraton ki be-pardagi or be hayai aam hoti hai, jo kabeera gunah hai, or islam ne be-pardagii ko sakti se mana farmaya hai,




6, or taziya k ander hazrath husain (r.a) ki farzi kabar bani hoti hai, uske uppar chader, phool, wagera sajaye jate hai, jab k ye kaam shirk mey sey hai, or allah k rasool (s.a.w) ne apni kabar ko mela banane se mana farmaya hai,

"Aye allah tu meri kabar ko ibadat ghar na banana k log uspar mannate mange mithai chadaye phool chadaye, jaisa k booton k samne karte hai'

( ABU DAWOOD)

gaur karen jab isse rasool mana farma rahe hai to ye dusron k liye kaise jayez hoga ??????


7, , imam husain ki shahadat or phir gham karte huwe, baaz log seene par chote marte hai, ye bhi islam me haram hai,

kyunki islam jism wa jaan ki hifazat karne ko kehta hai,

allah farmate hai : "aor apne aap ko qatal na karo allah tumpar rahem karne wala hai"

( sura 4:29)

or farmaya : "aor apne aap par zulum na karo"

(sura 2:195)


8- isse ye sabit hota hai k ye sab amal islamic talimaat ke khilaf jaate hai, ye sab karna quran wa hadees ya kisi sahaba se sabit nahi hai, ye biddat hai,



9, Or rasool allah (s.a.w) farmate hai, jisne humare deen ke ander koi aisi chiz ijaat ki, jo deen mey se nahi hai, to wo mardood hai,

( bukhari)

or ek riwayat me hai, jisne koi aisa amal kiya, jispar humare ehkam nahi, to wo mardood hai,

( muslim)


ALLAH HUM SAB KO DEEN-E-HAQ SAMAJ KAR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.... . AMEEN YA RABBUL ALAMEEEN.. ..

9 and 10 Muharram ka Roza

 

9 and 10 Muharram ka Roza





























Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Madiney Main Tashreef laye to Yahud ko dekha ki Aashurey Ke Din ka Roza Rakhte hain, Logo ne un se pucha ki Kyon Roza rakte hain to unhoney kaha ki ye wo din hai Jab Allah taala ne Musa Alaihi Salam aur Banee Israeel ko firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye aaj hum Rozedar hain, iski Taazaim ke Liye ,To Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya hum tum se jyada dost hain aur Kareeb hain Musa Alaihi Salam ke,Phir Huqm Diya Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne is (10 muharram) Roze ka.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2656* )



Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafaat ho gai.
(isliye hum musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2666* )



Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747* )


 

INSIDE JOB !! (SHIA+ BARELWI EXPOSED)

Bismillahirrahmanirraheem



INSIDE JOB!!(SHIA+BARELWI EXPOSED)


mera ik sawaal hai?

jub 18000 kufiyo ne baí't diya Muslim ibn Aqeel ko jo Hussain R.A. ke messenger the...

toh jub 17 gudh sawaar(cavalry) aaye 18000 shiyo ne munh kyun pher liya !!.


letter mein toh yazeed Rehmatulullah alaihe ke khilaf jung karne ke wade kiye....


18000 hazar 17 se darr gaye????

kon hai mujrim???

shiya hai hi ghddar n coward....

Hazrat Ali R.A ko Hazrat Ayesha R.A se ladhwaya....

kiya Hazrat Ayesha R.A ke khilaf jung per Hazrat Ali R.A ko hum kasoorwar tehrate hai?

bhaio... bas tum log chappo chalana jante ho...

sachai ko kabhi nahin apna na chahte....

Hazrat Uthman R.A ko Shaheed kiya...
kisne ????

kufiyo ne ...

Hazrat Ali ko shaheed kiya kisne Kufiyo ne ,

Hazrat Hassan ko shaheed kiya kisne Kufiyo ne ???

Hazrat Hussain ko?? b kufiyo ne hi kiya ... ..


Shiya ghaddar hai ....

musalmaan nai kehsakte shiya ko



NOTE:- KARBALA KA WAQEYA BAYAN HO CHUKA HAI PAHLE USKO PADH LEN TO BAHTAR HOGA.... JAZAKALLAH
 
 
 
 
 
WAQEYA-E-KARBALA KI ASAL HAQIQAT ( TAREEKH KE AINE ME)
 
 
 
 
 
 
 
 
Bismillahirrahmanirraheem




HZ HUSSAIN (RA) KA MADEENA CHHOD DENA: (PART 1)



Hz muawiya ra ki wafaat ke baad jab yazid rh khilafat ke takht par baithey, to yazid ki taraf se madina ke governor hz waleed bin utba rh ne hz hussain ra ko bulaakar yazid ki bait karne ko kaha to hz hussain ra ne farmaya:

"mujh jaisa shakhs posheeda bait nahi karta aur mere khyaal me tumhaare nazdeek meri khufiya(secret) bait kaafi na hogi jab tak ki ham use logon ke saamne elaania taur par na karen (waleed ne kaha) theek hai, hz hussain ra ne aage farmaya: jab tum sab logon se bait loge to hamen bhi logon ke saath bulaa lena, ek saath hi sab kaam ko jaayega"

(at tabri 4/351, al badaya wan nihaaya 8/150)

waleed ne kaha:-" allah ka naam lekar jaiyye ! Aur logon ke saath hamaare paas aa jaiyyega"


dusre din saara din guzar jaane ke baad raat ko waleed ne hz hussain ra ko bulwaane ke liye aadmi bheje to hz hussain ra ne Unse kaha:-" subah ho lene do ! Phir dekha jaayega, tum bhi dekhna ham bhi jayeza lenge"


we waapas chaale gaye aur unhone zidd nahi kiya, lekin hz hussain ra usi raat ko madeene se makka chale gaye aur apne beton, bhaiyyon , bhatijon aur tamaam ghar walon ko bhi saath le liya, sirf unke bhai muhammad bin hanfiya rh ne na sirf saath jaane se inkaar kar diya balki khud hz hussain ra ko bhi is tarah ka qadam uthaane se rokne ki koshish ki, aur chhote hote hue bhi unhone is mauqe par apne bade bhai hz hussain ra ko nasihat ki


" bhai jaan! Aap mujhe logon me sabse zyada mahboob aur sabse zyada pasand hain, logon me aap se zyada koi haqdaar nahi hai jiske liye main bhalaiyyan jama karke rakhun (yani aapko apni bhalaiyon ,nasihaton ka sabse zyada haqdaar samjhta hun) aap apne saathiyon ko jahan tak mumkin ho yazid se aur shahron se door rakhen, phir apne qaasid logon ki taraf bhejen aur unhe apni khilaafat Ki daawat den, agar we aapki bait kar len to is par allah ka shukr karen aur agar log aapke siwa kisi aur par sahmat ho jaayen to isse allah aapke deen me koi kami nahi karega na aapki aqal me aur isse aapki murawwat khatm hogi, na aapki gurbat se mujhe khatra hai ki agar aapne kisi shaher me qayam kiya aur logon ka aapke paas aana jaana huwa to log aapas me bikhar jaayenge, kuch aapke saath aur kuch aapke khilaaf ho jaayenge, aur we aapas me ladenge to aap hi sab se pahle nishaana na ban jaayen"

hz hussain ra ne iske jawaab me yahi kaha:-" bhai! Main to apne (makka) jaane ke iraade par qaayen hun"

is par muhammad bin hanfiya rh ne kaha:-" phir aap makka hi me qayaam farmaayen, agar waha mahaul sahi ho to theek, warna aap waadion aur pahaadon ki chotiyon ko apna maskan banaayen aur ek shaher se dusre shaher jaakar jayeza lete rahen aur dekhen ki logon ka maamla kiya rukh akhtiyaar karta hai, uski Roshni me aap koi raaye qaayam farmaayen, yah raaye sahi bhi hogi aur us par amal, sabr,chaahta hai"

hz hussain ra ne farmaya:-" mere bhai ! Tumhari nasihat dardmand hai aur mujhe ummeed hai ki tumhari yah baat allah ki taraf se hai"

lekin iske ba wajood hz hussain ra ne apna iraada khatm nahi kiya aur makka muazzama tashrif le aaye


(at tabri 4/253, al badaya 8/150)



HZ HUSSAIN RA KA MAKKA ME THAHARNA AUR LOGON KI BHALAAI KE MASHWARE (PART 2)



kaha jaata hai ki hz hussain ra aur hz abdullah bin zubair ra dono jab yazid ki bait se bachne ke liye makka ja rahe they to ibne umar aur ibne abbas ra makka se waapas aa rahe they, ye dono hazrat hussain ra aur hz ibne zubair ra ko raaste me mile aur unhone unse unke madeena se makka aapne ki wajah poochi, to hz hussain ra aur ibne zubair ra ne batlaaya ki hz muawiya ra ki wafaat ho gayi hai aur yazid ki bait li jaa rahi hai, to hz ibne umar ra aur Aur ibne abbas ra ne un dono ko khitaab karke kaha:

"allah se daro ! Aur musalmano ki jamaat me foot mat daalo"

(at tabri 4/254)


hafiz ibne kathir ne dono ke bayaan ko thode tafseel se bayaan kiya hai, wah bhi dekh lijiye, makke ke qayaam ke dauraan hz ibne abbar ra hz hussain ra ke paas aaye aur kaha:

" bhatije! Main sabr karne ki koshish karta hun lekin sabr nahi hota, mujhe tumhaare is rawaiyye se halaaqat ka andesha hai, iraaqi be wafa loga hai, unki wajah se dhokha mat khaao! Tum is waqt yahin thahro, yahan tak ki iraaqi apne dushman ko wahan se nikaal den, phir beshak tum waha chale jaana, warna tum yemen chale jaao, wahan qile aur ghaatiyan (yani panaah gaahen) hain aur wahan tumhaare baap ke himaayti bhi hai, tum logon se kat kar raho, unko likhdo aur apne elchi(doot) unke yahan bhej do, is tarah mujhe ummeed hai ki tum jo chaahte ho wah tumhe haasil ho jaaye"

hz hussain (ra) ne kaha:-" Ibne amm! Allah ki qasam! Main jaanta hun ki tum mere himaayti aur meharbaan ho, lekin maine (koofa) jaane ka pakka iraada kar liya hai"


hz ibne abbas ne kaha:-" agar tumhara jaana zaroori hai to apni aulaad aur apni aurton ko mat le jaao! Isliye ki allah ki qasam! Mujhe khatra hai ki tum isi tarah qatl na kar diye jaao jaise hz usmaan ra qatl kiye gaye aur unki aurtein aur unke bacche unko dekhte hi rah gaye"


hz abdullah bin umar ra ki baabat aata hai ki unke qayaam makka ke dauraan unhe hz hussain ra ke iraaq jaane ki khabar mili, to we 3 raaton ka safar taiy karke unse mile aur unse poocha ki aap ka kya iraada hai? Hz hussain ra ne farmaya:-" main iraq ja raha hun aur unke haathon me khat(letters) they, unki taraf ishaara karke unse kaha, dekho! Ye unke khat aur unki taraf se bait ka ahad wa paimaana hai,

hz umar ne kaha:-" aap unke paas na jaayen, hz hussain ra ne yah baat maanne se inkaar kar Diya, to hz ibne umar ne kaha, main aapko ek hadith sunaata hun:-" jibril (as) nabi(sws) ke paas aaye aur unhone aapko akhtiyaar diya ki aap duniya aur aakhirat mese jise chaahen pasand kar len, nabi(sws) ne duniya ke mukaable me aakhirat ko pasand farmaya"


"aur aap bhi rasoollullah sws ke lakht e jigar hain, allah ki qasam! Tum mese koi bhi duniya haasil karne me kabhi safal(kaamyaab) nahi hoga aur allah ne tum logon se duniya ko isse bahtar cheez ke liye fera hai,"

yah sab baatein sun kar bhi hz hussain ra ne wapas hone se inkaar kar diya, to hz ibne umar ra ne hz hussain ra ko apne seene se chimta liya aur rone lage aur farmane lage:-" qatl kiye jaane waale(future me) , main tumhe allah ke supurd karta hun"


(al badaya 8/161)


hz abu saeed khudri ra ko jab yah baat malum hui ki hz hussain ra ke paas koofa walon ke khat aa rahe hain, to we hz hussain ra se mile aur unse kaha

" aiy abu abdullah! Main tumhara himayti aur tumhari baabat andeshe ka shikaar hun, mujhe yah baat pahunchi hai ki tumhare himaayti koofiyon ki taraf se tumhe khat (letter) aa rahe hain jin me we tumhe yazid ke muqaable me khade hone ki daawat de rahe hain (lekin meri nasihat yah hai ki) tum wahan mat jaana, isliye ki maine tumhare baap ko koofe me yah farmate suna hai:

" allah ki qasam ! Main un (kufiyon) se ukta gaya hun aur main un se nafrat karta hun aur we mujhse ukta gaye hain aur mujhse nafrat karte hain aur unse kabhi wafa ki ummeed nahi"

(al badaya 8/163)


inke elawa aur bhi logon ne hz hussain ra ko koofa walon par aitbaar na karke koofa jaane se aur yazid ke khilaaf koi qadam uthaane se roka aur is qadam ki khatarnaakiyon se aagaah kiya jaise, hz abu waqid laisi ra, hz jabir bin abdullah ra, hz saeed bin musayyab, abu salama bin abdurrahman, hz miswar bin makhrama, hz umar binte abdurrahman, hz bakar bin Abdurrahman ra, hz abdullah bin muti ra,aur hz abdullah bin zafar etc, yahan tak ki governor makka hz amr bin saeed ne bhi unhe koofa jaane se roka aur makke hi me rahne par zor dene ke elawa unki hifazat ki zamanat di aur unse husn e sulook ka waayeda kiya, balki khud yazid ne bhi ek khat hz ibne abbas ra ke naam likha aur unhe kaha ki wah hz hussain ra ko apne taiy shuda program se roken, isse musalmano me foot paida hogi"

(al badaya 8/164-168, at tabri 4/286-288)


balki hz abdullah bin zubair ra tak bhi un logon me shaamil hain jinhone hz hussain ra ko iraq jaane se roka aur unhe iraq walon ki be wafaayi yaad dilaayi

(al badaya 8/163)


rokne aur samjhaane ki ek koshish hz hussain ra ke ek aur qareebi azeez hussain ke chacha zaad aur bahnoi hz abdullah bin zafar ne ek khat likh kar apne do beton ke haath hz hussain ko bheja, usme unhone tahrir kiya

" main allah ka waasta de kar aapko kahta hun ki Aap(raaste hi se ) laut aayen aur mere khat ko dhyan se padhen, mujhe aapke baabat yah andesha hai ki aapne jis taraf rukh kiya hai isme aapki bhi halakat hai aur aapke ghar walon ki bhi, aaj agar aap halaak ho gaye to islam ki roshni bujh jaayegi, isliye ki aap hidayat paye logon ka jhanda aur imaan walon ki ummeedon ki ummeed hain, isliye aap(koofa) jaane me jaldbaazi se kaam na len, main bhi (kuch aur baat cheet ke liye) apne khat ke peeche peeche aapke paas aa raha hun" wassalam


yah khat bhejkar wah khud governor makka hz amr bin saeed ra ke paas gaye aur unse kaha:

" aap hussain ra ke naam ek khat likh den jisme aapki taraf se hifazat ki zamanat, husn e sulook, aur rishton ki tamanna aur apne khat me unke liye kasam poora karne ka yaqeen dilaaya ho, aur unse waapas aane ka mutaalba karen, shayad isse we laut aayen"

governor makka amr bin saeed ne abdullah bin zafar se kaha:

" aap jo chaahe,Likh kar mere paas le aayen main us par mohar laga dunga"


is tarah hz abdullah bin zafar ne hz amr bin saeed ki taraf se apni marzi ke mutabik ek tahrir taiyyar ki aur phir amr bin saeed ke paas laaye, unhone uspar apni muhar laga di, hz abdullah bin zafar ne unse yah guzarish bhi ki ki aap mere saath apni amaan bhi bhejen,

is tarah unhone apna bhai yahya saath bhej diya, ye dono gaye aur raaste me hz hussain ra se mile aur unhe governor ka khat padh kar sunaaya, lekin hz hussain ra ne wapas aane se inkaar kar diya aur kaha:

" maine aap(sws) ko khwaab me dekha hai, unhone mujhe ek kaam karne ka huqm diya hai, jise main har haal me karunga"

hz abdullah bin zafar aur yahya bin saeed ra ne kaha, wah sapna kya hai? Hz hussain (ra) ne kaha:

" main use kisi ke saamne bayan nahi karunga yahan tak ki main apne paalanhaar se ja milun"

(al badaya wan nihaaya 8/169, at tabri 4/291-292)



HZ HUSSAIN RA KA KOOFA KO JAANA--(PART 3)



Hz hussain ra jab madeene se makka tashrif le gaye to wahan kuch mahine qayaam raha, is dauraan koofa walon ki taraf se aapke paas khat aate rahe jin me unki taraf se aapke haath par bait e khilafat karne aur yazid ke governor ko koofe se nikaal bahar karne ka iraada zahir kiya jaata tha,

koofa walon ke in khaton ne bhi bhale logon ke mashware aur raaye ko nazar andaz karne me aala kirdaar ada kiya aur hz hussain ra ne unko bharose ke qaabil samjha

aur hz hussain ra ne apne chacha zaat bhai hz muslim bin aqeel rh ko koofa bheja taake we malum karen ki wahan ke log yaqeeni taur par wahi kuch chaahte hain jise unhone khaton me kaha hai,

hz muslim bin akeel rh makke se pahle madeena aate hain, aur wahan se we do aadmiyon ko raasta bataane waale ke taur par saath lete hain

raaste me ek aadmi to pyaas ki shakhti aur raaste ki mushkilaat sahan na kar paane se Marr jaata hai, isse hz muslim bin akeel ke iraade me kuch ghabrahat paida hoti hai aur hz hussain ra se guzarish karte hain ki unhe koofa jaane par majboor na karen,

lekin hz hussain ra unki guzarish ko na maankar unhe apna safar jaari rakhne ki taqeed karte hain, baherhaal muslim bin akeel koofa pahunch jaate hain aur wahan ke logon se raabta karke apne mission ko shuru karte hain


udhar yazid ki taraf se muqarrar koofa ke governor hz noman bin bashir ra ko in kaarwahiyon ki khabar hoti hai to wah logon ko khabardaar karte hai ki we is tarah ke kaamon se door rahen aur ameer ul momineen ke huqm maanne ke daayere se nikalne ki koshish na karen.

Lekin unke(hz muslim) khilaaf kanooni kaarwaahi karne se apne ko roke rakha, jisse yazid ke himaaytiyon me shak paida paida huwa ki governor ki is naram policy se baghawat me ijaafa hoga aur ise rokna mumkin nahi hoga

is tarah kuch logon ne iski khabar yazid Ko di ki agar wah is ilaaqe ko badastoor apne control me rakhna chahta hai to iska hal(solution) soche

yazid ne mashware ke baad koofe ka charge bhi obaidullah bin ziyaad ko de diya jo basra ke pahle ki governor tha aur use yahan ke siyasi maamle se shakhti ke saath nipatne ki taqeed ki, ab ibne ziyaad ek saath basra aur koofa dono shahron ka governor ban gaya tha.


Muslim bin aqeel jab koofa aaye to hazaaron logon ne unke haath par hz hussain ra ke liye bait ki aur hz hussain ra ki wahan aamat ke liye apni raaye zaahir ki.

Muslim bin aqeel ne isse yah samjh liya ki yahan fiza hz hussain ra ke liye taiyyar hai aur zameen hamwaar hai ,unhone hz hussain ra ko khat likh diya ki we ye khat milte hi fouran koofe ki liye rawaana ho jaayen, yahan ke log unke mushtaq aur muntazir hain,

hz hussain ra yah khat padh ke makka se koofe k safar par rawana ho jate hain, raaste me kuch aur log bhi safar me shareeq Ho jaate hai, lekin sahaba wa tabieen mese koi aapke saath jaane ko taiyyar na huwa, balki unme se jis jis ko bhi aap ke iraade aur safar ka pata chala, to usne aapko roka aur is iraade aur safar ka bada khatarnaak aur foot daalne waala amal qaraar diya


udhar koofe me jab muslim bin aqeel ki kaarwaahi(action) obaidullah bin ziyad ke kaano me aayi to usne shakht qadam uthaye aur logon ko daraaya dhamkaaya, jiske natije me muslim bin aqeel ke paas jama hone wale log bikhar gaye aur hz hussain ra ka saath dene se mukar gaye aur aakhir kaar muslim bin akeel bhi qatl kar diye gaye, qatl se pahle muslim bin akeel ko yah darr paida huwa ki mera to koofe se zinda bach kar jaana mushkil malum hota hai lekhn hz hussain ra aur unke saathiyon ka kya banega jinhe mera khat mil gaya hoga aur we koofe ke liye rawaana ho gaye honge, unhone ek aadmi ke zimme yah baat ki ki wah kisi tarah hz hussain ra tak mera yah Paighaam pahuncha de ki wah bilkul bhi koofa na aayen, koofa waale jhoote nikle, unhone mujhe bhi dhoka diya, yahan ke haalaat bilkul juda hain jo maine isse pahle likhe they aur khat pahunchne tak shayad main qatl kar diya jaun

jis aadmi ke zimme yah baat thi, usne kisi aur aadmi ke zariye muslim bin akeel ka yah paigaam hz hussain tak pahuncha diya,

raaste me milne waale kuch logon ne bhi aapko wapas ho jaane ka mashwara diya aur ek aur riwayat me hai ki qadsiya se 3 miles pahle aapko hurr bin yazid taimi naam ka aadmi mila (yaad rahe qadsiya se koofa 50 miles door hai) usne aapke safar ke baabat poocha ki aap kahan ja rahe hain? Aapke bataane ke baad usne kaha:-" aap wahan na jaayen balki laut jaayen, main wahin(koofa) se aa raha hun mujhe aapke liye wahan kisi bhalaai ki ummeed nahi"

yah sunkar aur dekh jaan kar hz hussain ra ne to waapsi ka iraada kar liya, lekin aapke kaafile me shareek muslim Bin aqeel ke bhai bole :-" allah ki kasam, ham wapas nahi jaayenge", balki apne bhai ka badla lenge ya khud qatl ho jaayenge,

hz hussain ra ne farmaya:-" phir tumhare baad meri zindagi bhi be majah hai", aur safar jaari rakha

lekin aapne un logon ko, jo raaste me aapke safar ka iraada(aim) malum karke aapke saath ho liye they, jaane ki ijaazat de di,

is tarah sab log kaafile se alag ho gaye aur aap ke saath sirf wahi log rah gaye jo safar ke shuru me yani makka hi se aapke saath aaye they........



KARBALA ME SULAAH KI KOSHISH AUR US ME NAKAAMI:



Riwayat me hai ki jab waapsi ke bajaaye, aage hi jaane ka faisla kar liya gaya , to thode hi faasle par ibne ziyaad ki taraf bheja gaya lashkar wahan aa gaya jisme sab ke sab wahi koofi they jinhone muslim bin akeel ke haanth hz hussain ra ki bait ki thi,

lashkar dekhkar hz hussain ra ne apna rukh karbala(shaam,syria) ki taraf kar liya,

ibne ziyad ke us Lashkar ke saalaar hz amr bin saad bin abi waqqas ra they jo ek sahabi ke bete aur hz hussain ra ke thode pahchaan ke they, we is maamle ko sulah ke andaz me samjhaana chahte they,

lekin kismat ke faisle kuch aur they isliye unki sulah ki koshishen nakaam rahi aur hamare khyaal me iski badi wajah do baatein bani

1- ibne ziyad ka haakimaana rawaiyya

2- hz hussain ra ka ibne ziyad ke muqaable me apne maan ko zyada importance dena


agar in mese kisi ek ki taraf se bhi narmi ka muzaahera kiya jaata , to shayad yah waqeya pesh hi na hota,

lekin allah ki sunnat yahi thi, jiski hikmat wahi bahtar jaanta hai, isliye dono hi apni apni baat par ade rahe jis ka aakhirkaar wahi nateeja nikla jiska andesha safar ke shuru me hi hz hussain ra ke himaaytiyon ne kiya tha.


Baher haal hamari raaye ke mutaabik aakhir me is waqeye ke hone ki yahi do wajahen hain, jiski soorat yah bani ki hz hussain ra ne amr bin Saad ke saamne 3 baatein pesh ki aur farmaya ki inme se koi ek baat apna len

1- mujhe chhod do, main jahan se aaya hun wahin chala jaata hun.

2- ya mujhe yazid ke paas jaane do, taake main apna haath uske haath me de dun, yani uski bait kar lun, phir wah khud mere baare me faisla kar lega

3- ya mujhe kisi hadh(islamic border) par jaane ki ijaajat de do


(al badaya 8/171, at tabri 4/293)


ek aur riwayat me hai ki hz hussain ra ne allah aur islam ka waasta dekar kaha:-" unhe ameer ul momineen(yazid) ke paas le chalen, wah uske haath me apna haath rakh denge (yani bait kar lenge)

(al badaya 8/172, at tabri 4/295)


yani isi riwayat kh ru se unhone sirf ek hi maang pesh ki aur wah thi, bait ke liye yazid ke paas le jaane ki, uske elawa isme unhone yazid ke liye " ameer ul momineen" ke alfaz bhi istemal kiya, jiska saaf matlab yah tha ki wah apne pichhle faisle se, (wah jo bhi tha), palat gaye hain,

Aur yazid ko ameer ul momineen tasleem aur unki bait kar lene ke liye wah taiyyar hain.


Hz hussain ra ki aakhiri waqt me apne faisle se palatne me allah taala ki un par khaas rahmat thi jiski wajah se waqt ke khilaaf aur musalmano ke sahmat dhaare se kat kar ek judagaana raasta akhtiyar karne ka jo ilzaam unpar lag sakta tha, us se we bach gaye.


Is palatne aur maang ke baad unse jawab talab karne aur unke saath shakht rawaiyya apnaane ki koi wajah nahi thi, isliye hz umar bin saad ne (unki baat ko tasleem karke) yah maang ibne ziyaad ko likh kar bhej di taaki wah unki manjoori de den,

lekin usne shakht rawaiyya akhtiyar kiya aur kaha ki yah pahle meri bait karen, tab main unhe yazid ke paas jaane ki ijaazat dunga,

hz hussain ra ki tabiyat ne is baat ko pasand nahi kiya aur farmaya:-" aisa kabhi nahi ho sakta"


is nateeje me wah jung shuru ho gayi jisme hz hussain ra apne bachon aur ansar Samet mazlumana taur par qatl kar diye gaye aur yun ye sab log mazlumiyat ki maut se dochaar ko kar SHAHADAT ke buland darje par pahunch gaye


karbala ki yah waqeya ki yah wah zaroori aur puri jaankaari hai jo tareekh ki saari kitabon me maujood hai, ham ne gair zaruri aur gair batil hawalon se bachte hue ki waqeye ki asal haqiqat bayan kar di hai.......



ALLAH HAM SABKO SAHI BAAT KAHNE AUR US PAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN

MAAH E MUHARRAM ME MASNOON KAAM:

MAAH E MUHARRAM ME MASNOON KAAM:



Bismillahirrahmanirraheem




MAAH E MUHARRAM ME MASNOON KAAM:


muharram me masnoon amal sirf roze(fast) hain

hadith me ramzaan ke elawa nafli rozon me muharram ke rozon ko sabse bahtar qaraar diya gaya hai


"ramzaan ke baad, sabse bahtar roze, allah ke mahine, muharram ke hai"

(sahih muslim al siyaam baab fazl som al muharram 1163)



10 MUHARRAM KE ROZE KE FAZILAT:


"10 Muharram ke roze ki hadith me yah fazilat aayi hai ki yah ek saal pahle ka kaffara hai"

(sahih muslim 1162)


is din nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) bhi khaas roza rakhte they (targheeb) phir nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ke ilm me yah baad aayi ki yahoodi bhi is baat ki khushi me ki 10 muharram ke din hz musa as ko fir'aun se nijaat mili thi, roza rakhte hai to nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ne farmaya ki ashura(10 muharram) ka roza to zaroor rakho lekin yahudion ka khilafat bhi karo ki Ki uske baad ya usse pahle ek roza aur saath mila liya karo, 9,10 muharram ya 10,11 muharram ka roza rakha karo


(musnad ahmad 2104, majmua al zawaid 3/434)


ek aur hadith me hai ki jab nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ne ashoore ka roza rakha aur musalmano ko bhi us din ka roza rakhne ka huqm diya to sahaba ne aap ko batlaaya ki yah din to aisa hai jisa ahteraam yahud wa nasaara bhi karte hain to is par nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ne farmaya

" agar main agle saal zinda raha to 9wi muharram ka roza (bhi) rakhunga"

lekin agla muharram aane se pahle hi aap allah ko pyaare gaye

nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h)


EK ZAROORI KHULAASA:


Kuch ulema kahte hain " main 9wi muharram ka roza rakhunga" ka matlab hai ki sirf muharram ki 9 tareekh ka roza rakhunga yani 10 muharram ka roza nahi, balki uski jagah 9 muharram ka roza rakhunga,

isliye we kahte hai ki ab Sirf 9 muharram ka ek roza rakhna masnoon amal hai, 10 muharram ka roza rakhna bhi sahih nahi aur 10 muharram ke saath 9 muharram ka roza milaakar rakhna bhi sunnat nahi,balki ab sunnat sirf 9 muharram ka ek roza hai !

LEKIN YAH RAAYE SAHI NAHI

nabi akram sallalaho alaihi wasallam(p.b.u.h) KE farman ka matlab hai ki main 10 muharram ke saath 9 muharram ka roza bhi rakhunga, isliye hamne translation me " bhi" ka ijaafa kiya hai, kyonki 10 muharram ka roza to aap ne hz musa as ke nijaat paane ki khushi me rakha tha, is hisab se 10 muharram ke roze ki manaahi to pakki hai, lekin yahudion ki khilafat(againsed) ke liye aapne uske saath 9 muharram ka roza rakhne ki tamanna zaahir ki jis par amal karne ka mauqa aapko nahi mila, kuch dusri riwayat me bhi is baat ki taeed hoti hai, isiliye saahib e mir'aat maulaana obaidullah rahmani mubarakpuri, imam ibne qayyim aur hafiz ibne hajar rh ne isi matlab ko zyada Sahih aur raajeh qaraar diya hai

(mir'aatul mafateeh 3/270)