Bismillahirrahmanirraheem
QAYAMAT KI ALAAMATEIN:
Yaqinan aakhirat aur uske sawaab wa azaab par imaan laana imaan ka ek aham ruqn hai, deen e islam ki buniyaad hai, allah taala ne qayaamat se pahle kuch aisi nishaaniyan muqarrar ki hain jo qayamat ke qareeb hone par dalaalat karti hai, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qayamat ko badi khatarnaak cheez samjhte they aur jab bhi nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qayamat ka tazkirah karte toh aapka chehra surkh ho jaata, awaaz buland ho jaati...
Sahaba kiram (ra) aapas me qayamat ke baare me bahut zyada gustugu karte they,
hz huzaifa (ra) kahte hain ke nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) hamare paas aaye, aur ham log aapsi guftugu me masroof they, aapne sawaal kiya:-" kis cheez ke baare me guftugu kar rahe ho ? Hamne kaha:- qayamat ke baare me ! Qur'an wa hadith me qayamat ke baare me Be'shumaar dalail aur alaamatein bayaan ki gayi hain aur unme se beshtar waqu pazeer ho chuki hain,"
sahaba kiram (ra) qayamat ke mutaallik hadith suna karte they toh be'inteha usse khauff khaate they,
qayamat ki bahut si nishaaniyan zaahir ho chuki hain, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki qayamat ke baare me pesangoiyan saabit ho chuki hain, jinse ahle imaan ke imaan me izaafa hi hota hai, aisi haalat me momino ke liye waajib hai ke deen e islam ko mazbooti se thaam len, safar aakhirat ke liye taiyyar ho jaayen,
kyonki nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab qayamat ki badi nishaaniyan zaahir hongi to ek dusre ke peeche is tarah zaahir hongi jaise ki motiyon ka haar tootne par motiyan ek dusre ke peeche tezi se nikal jaati hain, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- jo nishaani bhi (qayamat ki) zaahir hogi toh Dusri uski tatbeeh karegi"
(rawah muslim)
" qayamat ki nishaaniyan ek haar ke motiyon ki tarah hain agar use todh diya jaaye toh ek dusre ke peeche nikal padengi "
(musnad ahmad)
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke ba'asat qayamat ki nishaaniyon mese ek nishaani hai,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" meri ba'asat aur qayamat dono jama ho gayi hain aur qareeb hai ke qayamat mujh par sabqat kar jaaye "
nez nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat bhi bahut badi nishaani hai,
qayamat ki alaamat me ye baat bhi hai ke qayamat ke qareeb ek bahut bada fitna zaahir hoga, jo haq ko baatil se madgan karne ke saath saath imaan ko mutazalzal kar dega...
Hz ibn masood (ra) kahte hain ke:-" tum logon par ek aisa zamaana aane waala hai ke koi shakhs maut ko paa le toh use bhi bechne ke koshish karega"
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qayamat se pahle ek fitna uthega, aadmi haalat e imaan me subah karega toh haalat e kufr me shaam karega, imaan ki haalat me shaam karega toh kufr ki haalat me subah karega"
(rawah ahmad)
is ummat ke aakhiri logon par badi badi aafatein aayengi...
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ummat ke pichhle logon ke liye aafat hi aafiyat thi aur ummat ke aakhir me aane waalon ko aisi musibatein pahunchengi ke wah unhen na'pasand karenge aur aisa fitna zaahir hoga jo logon ko aapas me lada de ga, momin pukaar uthenge , wah fitna yahi hai ! Wah fitna yahi !, jo shakhs jahannum se bachna aur jannat me daakhil hona chaahe toh use aisi haalat me maut aaye ke wah allah aur yaum e aakhirat par imaan rakhta ho "....
Zalzalon ki kasrat, mashrhq me ek, maghrib me ek, aur zazeerah ul arab me ek khasoof ka waqe hona, chaupaayon ka Insaano se guftugu karna, logon ka ek dusre par zulm karna, ye sab qayamat ki nishaaniyan hain,
chaupaaya zaahir hoga aur logon se guftugu karega ke log allah ki nishaaniyon par imaan na laate they, zamaana sukadh jaayega, ek saal ek maah ki tarah, ek mahina ek hafte ki tarah, ek hafta ek din ki tarah, ek din ek ghante ki tarah ho jaayega, aurton ki qasrat aur mardon ki qillat hogi, hatta ke 50 aurton ka zimmedaar sirf ek mard hoga,
yajuj wa majuj (gog and mogog) ka zahoor hoga, sahihain me hz zainab binte jahash (ra) nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karti hain ke :-" ek martaba nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) unke paas ghabraaye hue aaye, aur farmaya:- allah ke siwa koi mabood nahi, arab ke liye tabaahi hai us buraayi se jo qareeb aa chuki hai, aaj ke din yajooj majooj ke liye ek halqe ke baqadar raasta khol diya gaya hai, ye kah kar nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne angoothe aur shahadat ki ungali ko milaakar baandh kar ishaara kiya "
qayamat jab aayegi toh ilm ki kami aur jahaalat ka ghalba ho jaayega, log islam ke faraiz ke baare me bhi la'ilm honge,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" islam ko is tarah sikhaaya jaayega jis tarah kapde ko naapna sikhaaya jaata hai, hatta ke kisi ko yeh tak maloom na hoga ke ROZA kya hai ? NAMAZ kya hai ? QURBANI kya hai ? Aur HAJJ kya hai ?, ek raat me kitaabullah ko utha liya jaayega aur qur'an ki ek ayat bhi baaqi na rahegi, (zameen par) budhon ki ek jamaat baqi rah jaayegi, jo ye kahte honge ke hamne, apne aaba wa ajdaad ko LA ILAAHA ILLALLAH Kahte hue suna hai, so ham bhi yahi kah rahe hain "
(is hadith ko hakim ne riwayat kiya hai aur muslim ki shart par sahih qaraar diya hai )
haraam cheezon ko aasaan aur manhayaat cheezon ko Sahal samjh liya jaayega, sharaab pi jaayegi, zina aam hoga, dilon me hars daal di jaayegi ?, Harz ki qasrat hogi,
poocha gaya harz kya hai ? nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qatal(murder) ! Hatta ke qaatil ko ye na maalum hoga ke usne kis liye qatal kiya ? Aur maqtool (marne waale) ye na jaan paayega ke kis liye use qatal kiya gaya ?"
(is hadith ko imam muslim ne riwayat kiya hai )
log duniya ki taraf poori tarah maail ho jaayenge, lambi lambi imaaratein banaayenge, allah ke deen se munh modh lenge, ummat me shirk paida ho jaayega, ummat ke kuch qabeele mushrikon se mil jaayenge,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" qayamat us waqt tak qayem na hogi jab tak ke meri ummat ke kuch qabeele mushrikon se na mil jaayen aur meri ummat ke kuch qabeele but(idol) parasti me mubtela na ho jaayen "
(rawaah tirmizi)
jab ummat deen se Nikal jaayegi, millat ko zaay kar degi, shariat ko na'pasand karne lagegi toh gumraah ho jaayegi, isi tarah jab ummat wahi (revelation, qur'an) ke elawa dusri cheezon me hidaayat talaash karne lagegi,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" qayamat us waqt tak qayam na hogi jabtak ke meri ummat pichhli ummaton ki thodi thodi cheezon me pairwi na karne lag jaaye"
(rawaah bukhaari)
"dhoka, jhoot aam ho jaayega, 30 ke qareeb dajjal zaahir honge, (hairat ki baat ye hai ke ) har shakhs samjhe ga ke wah saccha nabi hai, insaano se nek ausaaf utha liye jaayenge, amaanat lautaane waali sifat insaano se khatm kardi jaayegi , kaha jaayega ke:- falan shakhs bada amaanat daar hai aur kya hi accha hai, aqalmand aur kaamyaab insaan hai, halaanke uske dil me raayi ke daane ke baraabar bhi imaan na hoga"
(rawaah bukhaari)
amaanat k zaail karne me ye baat bhi shaamil hai ke na'ahal (ghair amaanat daar) ko kisi cheez ka zimmedaar banaaya jaayega,.....
Hz adam (as) se lekar qayamat ke qayem hone tak dajjal jaisa azeem ul khalqat shakhs koi na hoga, har nabi ne apni ummat ko dajjal ke fitne se daraaya hai, aur nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) har namaz me usse panaah maangte they, aur zyada tar sahaba kiram (ra) se uska tazkirah kiya karte they,
hz nawaas bin sam'aan (rh) kahte hain ke:-" hamen ye ghumaan hone laga ke wah qareeb hi khajoor ke darkhton ke jhund me hoga, jab ham wahan gaye aur use talaash karne lage toh nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- kya baat hai ? Hamne kaha:- ya rasoollullah ! Aapne subah dajjal ka zikr kiya tha, kabhi aap awaaz buland karte aur aahishta karte, ham samjhne lage ke khajooron ke jhund me hai, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- dajjal ke elawa dusri cheezon ka Mujhe tum par khauff hai, agar wah zaahir ho jaaye aur main tum me maujood rahun toh main tumhari dhaal ban jaunga, agar uska khurooj huwa aur main tumhaare darmiyaan na rahun toh har shakhs apna difa kare ! Allah taala har musalman ki hifaazat farmaye "
(rawaah muslim )
jab ilm khatam ho jaayega toh mashriq ki jaanib dajjal niklega, jisse log darr kar bhaag khade honge, aur pahaadon me jama ho jaayenge, wah saari zameen ka chakkar lagaate hue har shaher me daakhil hoga, magar makka aur madeene me daakhil na ho sakega, allah taala ne in dono shahron me dajjal ke daakhil hone ko haraam qaraar diya hai, jab bhi wah inme daakhil hona chahega toh ek farishta nangi talwaar lekar uska istaqbaal karega aur use madeene me daakhil hone se rok dega, madeene me 3 zabar'dast zalzale ke jhatke mahsoos honge, jinse har munaafiq aur kaafir baahir nikal jaayega, madeene se nikalne waali aksar aurtein hongi, hatta ke Ek shakhs apni maa, beti, biwi, aur fufi ke paas aakar unhen is khauff se rassi se baandh dega ke wah dajjal ke paas na chali jaayen,
dajjal ka fitna bahut bada fitna hoga, uske saath do bahti hui nahren hongi, ek me safed paani to dusri me bhadakti hui aag nazar aayegi,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" agar koi shakhs use pa le toh us naher ke paas aaye jisme aag nazar aa rahi hai, usme se sar dubo kar uthaaye, usme se paani piye, kyonke wah thanda paani hoga"
(rawaah muslim)
jis nahar me logon ko paani nazar aa raha hoga usme bhadakti hui jalaane waali aag hogi, allah taala dajjal ke zariye, use khuraaq aadat cheezein ata karke apne bandon ko aazmaayega, allah taala jis tarah tamaam cheezon par qaadir hai us taraf ki qudrat use ata ki jaayegi, misaal ke taur par dajjal ka murdon ko zinda karna, khajaano ka uske haathon me hona, uske paas jannat aur jahannum ka Hona, aur uske paas do nahron ka hona, dajjal aasmaan ko baarish barsaane ka huqm dega, toh wah baarish barsaayega, zameen ko podhe ugaane ka huqm dega toh wah ugaaye gi, unki baat na maanne waale par ye musibatein aayengi yani qahat(drought), anaaj ki qillat, chaupaayon ka marna, amwaal ka zaayel hona, wagerah,
aur ye tamaam cheezein allah ki kudrat aur uski marzi se zaahir hongi, uske baad allah taala use aajiz kar dega toh wah na kisi ke qatal par qaadir hoga aur na mardon ko zinda kar sakega...
Allah taala apne bandon ka dajjal ke zariye imtehaan lega, bahut se raah e raast par rahenge, aur bahut se log gumraah ho jaayenge, uske baare me shak karne waale bhi kufr me mubtela ho jaayenge, ahle imaan ke imaan me izaafa hoga, dajjal zameen me kul 40 din qayaam karega, uska ek din ek saal ki tarah, ek din ek mahine ki tarah, ek din ek hafte ki tarah hoga, aur baqiya ayyam aam dino ki tarah honge. Dajjal ki raftaar itni tez hogi jis tarah baadal barasne ke baad laut'ta hai...
Raha ye sawaal ki wah kaisa hoga?
Toh aayen main aapko bataata hun, dajjal naujawaan, bade jism waala, roshan kapde, chaude put'thon waala, ghane baalo aur kaana hoga, uske aulaad na hogi,
hz tamimdarimi (ra) uske baare me kahte hain ke:-" wah bahut bada insaan hoga, mazboot puthon waala hoga, uski dono aankhon ke beech kaafir likha hoga,"
imam safaarini kahte hain ke:-" ham aalim ke liye zaroori hai ke dajjal ke mutaalliq jitni bhi hadith hain unhen aurton, mardon, aur bacchon ke darmiyaan yani aam logon ke darmiyaan phailaayen, khususan hamare is daur me jabke buraaiyan aur fitne aam ho chuke hain, dajjal se bachaane waali bahut si cheezein hain jin me sar fehrist islam ko mazbooti se thaamna aur imaan se labrez hona hai, nez allah taala aur uski sifaat hasana ko qur'an wa sunnat ki roshni me jaanna hai, dajjal Insaan hoga, wah khaayega bhi aur piyega bhi aur allah taala inse paak hai, dajjal ka naam hoga, aur hamara rabb kaana nahi hai, allah taala ko koi maut se qabal na dekh sakega, magar dajjal ko momin aur kaafir donon ke dono dekh sakte hain "
dajjal se bahut zyada panaah maangte raha karo, jo use paa le surah kahaf ki shuruaati aayat padh le,
muslim ke alfaz hain:-" jo shakhs surah kahaf ki ibtedaai ki 10 aayat yaad kar lega"
aur ek riwayat me hai ke:-" aakhiri 10 ayat yaad karega toh wah dajjal se mahfooz rahega"
jab aap dajjal ke baare me sune toh usse door ho jaayen, uske paas na jaayen, ek shakhs dajjal ke paas jaayega us haal me ke wah momin hoga, magar dajjal ke shuqooq ki wajah se wah uski pairwi karne lag jaayega...
Jab dajjal aakhiri zamaane me niklega to uske fitne badh jaayenge, uske maanne walon ki tadaad be'shumaar ho jayegi, thode se musalmaan hi uske shar se mahfooz rahenge, us Waqt hz isa bin maryam (as) mashriqi damishq ke safed minaare se neeche utrenge, momin bande unko gher lenge, dajjal (ko maarne ka) qasad karke wah aur saare momin nikal padenge, us waqt dajjal bait ul muqaddas ke maqaam par hoga, hz isa (as) dajjal ko "baab ladh" ke paas paa lenge, dajjal jab unhe dekhega toh shakht ghabra jaayega,
ba'adah dajjal ke baad hz isa (as) ke mut'tabaen me shakt jung hogi, dajjal hazimiyat uthaayega aur maqtool hoga...
Hz isa (as) ka zamaana bada pur aman aur pur sukoon ka hoga, zameen se kaha jaayega ke:-" ug aa ! Aur apni barkat lauta!"
Us daur me ek jamaat sirf ek anaar se shiqm seer ho jaayegi...... Dhoodh me barqat hi barqat hogi, hatta ke ek oontni ka dhoodh ek bade qabeele ko, gaaye ka dhoodh mutaassid qabeele ko, aur bakri ka dhoodh ek chhote se qabeele ke liye kaafi hoga, zameen me aman hi aman hoga,
sheir (lion) oonton ke saath, cheete gaayon ke saath aur Bhediye bakriyon ke saath charenge, chhote chhote bacche saanpon ke saath khelenge, aur wah unhe kuch nuksaan na pahunchaayenge,uske baad hz isa (as) zameen me 7 din muqeem honge,
phir allah taala sham (syria) ki taraf se ek thandi hawa bhejega jo har shakhs ki rooh qabz kar legi jiske dil me zarrah baraabar bhi imaan hoga,
qayamat is haalat me qayem hogi ke zameen par allah allah kahne waala koi na hoga, sooraj maghrib se tulu hoga, use dekhne waale saare log imaan laayenge, magar us waqt ka imaan unko nafa na dega,
qayamat ki sab se aakhiri qayamat ka elaan karne waali alaamat ek intehaai khatarnaak aag hai, jo yemen se zaahir hogi, lognn ko maidan e hashr ki taraf haankegi, log jahan bhi maujood rahenge, use apne paas paayenge......
Momin bhaiyyon ! Allah ka waada bar'haq hai, qayamat yaqinan aanewaali hai, jo apne aapse ghaafil ho gaya aur apne auqaat zaayel kiye toh wah shadeed hasr o afsos Karega, ummeedein taweel hain, imaaratein fana hone waali hain, jiski ummeedein lambi hongi wah amal karna bhool jaayega aur maut se ghaafil ho jaayega, nek bakht aur khush'kismat wahi hai jo aane waali duniya ke liye zaad e raah aur tosha taiyyar karle,
kisi hakeem ka qaul hai:-" mujhe tajjub hai us shakhs par jo maal ke nuqsaan par gham karta hai, umar ki kami par gham nahi karta"
khoob ji lagaakar ibaadat karen ! Gunaahon par aanshun bahaayen, aur bure kaam se bachne ki dua karte rahen, nek aur accha insaan wahi hai jo apni ummeedein aakhirat ki taraf modh de, fana hone wali duniya se munh pher le,
jab muhammad bin sireen (ra) ke inteqaal ka waqt qareeb huwa toh wah rone lage, sabab poocha gaya toh kaha:-" main apne faarigh auqaat zaayel karne aur aise aise amaal na karne ki wajah se ro raha hun jo jannat ka mustahiq banaate hain"
BY:Abdul mohsin bin abdul qasim
(Imam wa khateeb masjid nabwi)
ALLAH HAMEN QUR'AAN WA SUNNAT PAR AMAL PAIRA HONE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN