Sunday, 10 June 2012

ROZON KI TAREEF AUR FARZIYAT KI TAREEKH



Bismillahirrahmanirraheem




ROZE KI TAAREEF AUR FARZIYAT KI TAAREEKH:



1- ROZE KI TAREEF:


" Siyam" arbic lugat me isko ruk jaane ko kahte hain, shar'an uska matlab yah hai ki ibadat ke iraade se khaane, peene aur aurton se sex aur deegar kamon se subah saadiq se sooraj ke guroob hone tak bache rahna.



2: FARZIYAT KI TAREEKH:


Allah taala ne pahli ummaton ki tarah ummat e muhammadia par bhi is huqm me roza farz qaraar diya hai:-" aiy iman walon! Tum par roza farz hai jis tarah tumse logon par farz tha taaki tum darne waale ban jaao"

(qur'an)


yah aayat e mubarka 2 ramzanul mubarak 2 hijri me naazil hui



ROZE KI FAZILAT AUR FAAYEDE:



1- USKI FAZILAT:


Ahadith mubarak roze ki fazilat aur ahmiyat saabit karti hai:


rasoollullah(sws) ne farmaya:

" roza jahannum se dhaal hai jis tarah tumhari ladaai bachaane waali dhaal hoti hai"


(musnad ahmad)


aur farmaya:

" jo shakhs allah ke raaste Me ek din ka roza rakhta hai allah uska chehra us din ke badle jahannum se 70 saal door kar dega"


(bukhari,muslim)


aur farmaya


" iftaar ke waqt rozedaar ki duwa radd nahi ki jaati"

(ibne majah)


aur farmaya


" jannat me ek darwaja hai jise ' riyaan' kaha jaata hai, qiyamat ke din usse roze waale daakhil honge, unke elawa unme se koi andar nahi ja sakega, pukaara jaayega rozedaar kahan hai? We khade ho jaayenge, unke elawa koi aur us(darwaje) se daakhil nahi hoga, jab ye daakhil ho jaayenge to darwaaja band kar diya jaayega aur koi bhi daakhil na hoga"


2- ROZE KE TIBBI FAAYEDE:


Roze ke tibbi fayede hain, roze ke faayede me ' sabr ki hiqmat' hoti hai, apne aap par control karna sikhaata hai aur usme madad karta hai aur nafs wa ruh me taqwa ka ansh ijaad karta hai aur usko badhaata hai, aur yahi taqwa ki wajah allah taala ne qur'an paak me irshaad kiya hai

" tum par roza farz hai jis tarah Tumse pahle logon par farz tha taaki tum muttaqi ban jaao"

(qur'an)

roze ke faayede me yah hai ki ummat me parhezgaari aur unity ki aadat paida hoti hai, insaaf aur eksaaniyat ki muhabbat badti hai aur imaandaaron me neki ka sulooq aur dusron par ahsaan karne ki aadat paida hoti hai isi tarah roza samaaj ko buraiyon aur kharaabion se bachata hai, aur roze ke tibbi faayede me se yah hai ki usse aantein(intestine ) theek hoti hain aur maidd ka sudhar hota jata hai aur jism ki gandagi aur bekaar cheezon se paak wa saaf karta hai aur isi tarah motape ki charbi ke bhojh me kami ki wajah banta hai......


Aap(sws) ki hadith me hai:- " roza rakho aur sehat yaab raho"

No comments:

Post a Comment