Sunday, 10 June 2012

MUSTAHAB ROZON KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem



MUSTAHAB ROZON KA BAYAN:



1- KAUN SE ROZE MUSTAHAB HAIN??



neeche diye gaye dino me roza rakhna mustahab hai:


1- Arfe ke din: 9 dhul hijjah ko roza rakhna mustahab hai siwaaye mahram( jisne hajj ke liye ahraam baandha hai) ke wah roza na rakhe, isliye ki aap(sws) ka farmaan hai:

" 9 dhul hijjah ka roza, pichle aur aane waale 2 saal ke gunahon ka kaffara hai, aur 10 muharram ka roza pichle ek saal ke gunahon ka kaffara hai"


2- Aashoora ka roza: yani muharram ki 9wi aur 10wi din ka roza bhi mustahab hai, aap sws ka farmaan hai:

" 10 muharram ka roza pichle saal ke gunahon ka kaffara hota hai"

aur aap(sws) ne khud 10 muharram ka roza rakha aur us din ke roza rakhne ka huqm diya aur farmaya:

" inshaallah ham agle saal 9 muharram ka roza rakhenge"

(muslim,abu dawood)


3- shawwal ke 6 roze mustahab hain, isliye ki aap(sws) ka irshaad hai:-" jo Ramadhan ke roze rakhe aur uske baad 6 din shawwal ke to maano usne saara saal roza rakhe"


(muslim)


4- shabaan ke pahle 15 dino me roza rakhna mustahab hai, hz aisha(ra) farmati hai:-

" ramadhaul mubarak ke elawa maine aap(sws) ko poora mahina roze rakhte hue nahi dekha, aur shabaan ke dino se zyada aur kisi mahine me roze rakhte maine aap(sws) ko nahi dekha"

(bukhari,muslim)


5- dhul hijjah ke pahle ashre(10 days) me roze rakhna mustahab hai, isliye ki aap(sws) ka farman hai:-" dhul hijjah ke 10 dino se badhkar koi din nahi jinme nek amal allah taala ko zyada mahboob ho, logon ne kaha, ya rasoollullah(sws) jihaad fi sabilillah bhi? Farmaya, jihaad fi sabilillah bhi, ya yah ki ek insan apni jaan wa maal ke saath jihaad me chala jaaye aur phir(dono me se) kuch wapas na laaye"


(bukhari)


6- muharram ke mahine me roze bhi isi tarah se hai, rasoollullah(sws) se sawaal huwa ki ramdhanul mubarak ke Baad kaun sa roza bahtar hai? To aap(sws) ne farmaya:

" yah allah ka mahina hai jise tum muharram kahte ho"

(muslim)


7- har mahine ki sufaid(white) raton ke dino 13,14, aur 15 ka roza mustahab hai,

hz abu zar(ra) farmate hain:

" rasoollullah(sws) ne hamen huqm diya tha ki sufaid raatö me 3 dinon 13,14, aur 15 ke roze rakhen aur farmaya yah saal ke roze ki tarah hain"


(nisai, wa sahib ibne hibban)



8-9: peer(monday) aur jumeraat(thursday) ke din roza rakhna bhi saabit hai ki aap(sws) aam taur par in dinon me roze rakhte they , is baare me pucha gaya to farmaya:

" har peer aur jumeraat ke din amaal pesh kiye jaate hain, sab musalmaano ya imaan walon ko allah taala maaf kar deta hai, siwaay do baat karne chhodne waalo ke, unke baare me farmata hai ki unka maamla latka do"

(musnad ahmad,wa sanad sahih)


10- ek din roza rakhna aur ek din iftaar karna mustahab hai isliye ki aap(sws) ka qaul hai:-" Allah ko dawood(as) ka roza zyada pasand hai aur namazon me bhi dawood (as) ki namaz zyada pasand hai, wah aadhi raat sote aur ek tihaai(one-third) qiyaam karte aur phir chhata(sixth) hissa sote aur isi tarah ek din roza rakhte aur ek din iftaar karte"


11- ghair shadi-shuda(unmarried) ke liyd jo nikaah ki taaqat nahi rakhta uske liya roza rakhna bahtar hai, isliye ki aap(sws) ne farmaya hai:-" jo nikaah ki taaqat rakhta hai wah nikaah kar le yah nigaah ko neecha karta hai aur sharmgaah ko bachaata hai aur jo taaqat nahi rakhta wah roze rakhe yah uske liye (shahwat ki) tezi khatm karne waala hai"


(BUKHARI)

No comments:

Post a Comment