Thursday, 5 July 2012

NAMAZ-E-TARAWEEH AUR PALAN HAQQANI(HANAFI)


Bismillahirrahmanirraheem



TARAWEEH KI 11 RAKAT WAALI RIWAYAT



Palan haqqani apni kitab ke pg 37 par 11 rakat waali bukhari wa muslim ki sahih riwayat ko naqal karke eidi choti tak ka zor lagaaye hue hain ke isse taraweeh na saabit ho, aur tarah tarah se shaitaniyat, yahudiat aur iblisiyat ke daao khele hain lekin haq chattaan ki tarah mazboot rahta hai aur baatil reit ki tarah bikhar jaata hai,

haqqani ke alfaaz me hadith is tarah hai:-

" hz abu salma bin abdurrahman se riwayat hai ke unhone hz aisha ra se poocha ke rasoollullah(sws) ki namaz ramzan mein kis tarah hoti thi, unhone kaha ke aap ramzan aur gair ramazan me 11 rakat se zyada namaz na padhte they, 4 rakat pardhte they magar inki kaifiyat na pooch, phir 4 rakat namaz padhte they aur tu inki khoobi aur inki daraazi ki kaifiyat na pooch, phir 3 rakat(witr) padhte they, maine arz kiya ya rasoollullah kya aap witr padhne se pahle so rahte Hain, aapne farmaya ke aiy aisha ra meri aankhen so jaati hain aur mera dil nahi sota"

(sahih bukhari wa muslim, abu dawood)


is hadith ko tod marod karne aur bekaar karne ki palan haqqani ne badi koshish ki hai, lekin isme wah kaamyaab na ho sake, inko logon ko bewakoof banakar kitaab bechkar paisa kamaana hai, na hadith samjhna hai aur na samjhaana hai


hadith bahut saaf hai, sawaal karne waale ne saaf saaf poocha hai ke- yah batao huzoor (sws) ramzan ki namaz kaisi padhte they,

usne tahajjud ka naam nahi liya na kisi dusri namaz ka naam liya,.... Sirf ramazan ki makhsoos namaz ka haal daryaft kiya,

tahajjud aur deegar namazen to hamesha hi padhte they, jo aam taur par malum thi,

sawaal kiya ja raha hai ramzan ki makhsoos namaz ka, ramazan ki makhsoos namaz siwaaye tarawih ke aur kaunsi ho sakti hai???

Jab sawaal ramzan ki makhsoos namaz ke baare me ho raha hai to jawab bhi hz aisha ra saaf Saaf ramzan ki makhsoos namaz hi ka den rahi hain, aur bata rahin hain ke ramzan ki makhsoos namaz yani tarawih aur gair ramazan ki tahajjud aap 11 rakat se zyada nahi padhte they,

albatta inki kaifiyat khusu wa khuzu ka kya poochna, yani ramazan wa gair ramazan me aap ki raat ki namaz itni hi hoti thi, isse zyada nahi hoti thi,

kitni saaf hadith hai, lekin is ummat ke yahudion ko hadith ke dushmon ko iblees ke chelon ko yah hadith samjh me nahi aati inki aqalen andhi ho gayi hain, dilon par muhar lag chuki hai, aankhon par pardah pad gaya hai,

yah wah log hain jo namaz nahi padhte balke utha baithak lagaate hain, kahan hz muhammad sallallaho alaihi wasallam(pbuh) ki namaz me khusu wa khuzu aur kahan hanafi yahudiyon ki utha baithak, yah hz muhammad sallallaho alaihi wasallam(pbuh) ki jaisi namaz nahi padhte balke hanafiya jaisi namaz padhte hain, inke liye hanafiya ke abba nabi bankar aaye they , unhone unko uthak baithak waali namaz sikhaayi hai,


palan haqqani sahih bukhari ka naam bahut lete hain, koi saccha musalman bukhari ko utha kar dekhe ke bukhari me tarawih ke baab me tarawih ki kitni rakatein bayaan ki gayi hain,

aap mutaalba karenge to paayenge ke quran ke baad islam ki is sabse sahi kitab me yahi uper waali hadith tarawih ki rakat batane ke liye laayi gayi hai,

aur bukhari ne saabit kar diya ke tarawih ki tadaad hz muhammad sallallaho alaihi wasallam(pbuh) se mai witr 11 rakat saabit hai,

lekin ispar imaan wahi laayenga jo momin hoga, yahudi is hadith par kaise imaan la sakte hai, inki kismat me imaan hi nahi



SEESHE KE GHAR ME BAITHKAR DUSRON PAR PATTHAR PHENKNA AQALMANDI NAHI PALAN HAQQANI SAHAB

No comments:

Post a Comment