Sunday, 10 June 2012

ROZA TODNE WAALE AUR ROZEDAAR KE LIYE JAAYEZ AUR QAABILE MAAFI KAAM



ROZE KO TODNE WAALI CHEEZEIN:


1- koi cheez maide me pahunch jaaye, naak k zariye ya aankh or kaan me qatre daalne se ya sharmgaah k raaste se jaisa ki hukna ho sakta hai,


2- wuzu me kulli ya gharaara karte hue paani andar chala jaaye,


3- 1 cheez ko baar baar dekhne ya sochne ya bosa dene ya ikatthe sone ki wajah se mani nikalne se


4- jaan bhoojhkar kaiy karna, isliye ki aap(sws) ka irshad hai:

" jo jaankar kaiy karta hai wa qaza kare"


albatta bila akhtiyaar kaiy aane se roza nahi toot ta,


5- roze ki haalat me khana ,peena ,or sex karna


6-yah samjhkar khana, peena ki suraj gurub ho gaya hai magar din ka waqt tha


7- yah samjh kar khana peena ki abhi raat hai magar subah ho chuki thi


8- bhul kar khaane peene k baad ye samjhkar kha pi lena ki ab roza toot gaya hai


9- muh k zariye khane or peene k elawa koi cheez peit me chali jaaye, jaisa ki Moti ya dhaga nigal lena, isliye ki ibne abbas ra kahte hain: "roza koi cheez andar le jaane ka naam hai baahar karne ka nahi"

(ibn abi shaiba)



is farman me ibn abbas ra ka maqsad ye hai ki peit me koi cheez chali jaaye to roza toot jaata hai, lekin kisi cheez k baahar hone se nahi, jaisa ki khoon ya qaiy etc.


10- bila taaweel roze ki niyat khatm karne se, chahe koi cheez na khaaye na peeye roza toot jaata hai, haan agar iftaar ki niyat kisi taweel ki buniyad par hai to roza nahi tootega,


11- islam se irtidaad(islam se nikal jaana) or phir dobara islam me aane se, isliye ki allah taala ka irshad hai:

" agar tune shirk kiya to tere kaam barbaad ho jaayenge aur tu nuksaan waalon mese ho jaayega"


ooper diye gaye kamon se roza toot jaata hai or 1 din ki qaza laazim hoti hai magar unme kaffara nahi hai,



ROZE KI QAZA AUR USKA KAFFARA KYONKAR WAJIB HOTA HAI??


1- jabr ke bina jaan bhoojhkar Sex karna, isliye ki hz abu hurairah(ra) ne farmaya: kis cheez ne tujhe halaq kar diya? Kaha ramzanul mubarak me maine apni aurat se sex kar liya hai, farmaya ek ghulam maujood hai jise aazaad kar sako, us shakhs ne kaha nahi!, farmaya 2 mahine lagataar roze rakh sakte ho? Kaha nahi ,farmaya: 60 miskeeno ko khaana khila sakte ho? Arz kiya nahi, aur phir baith gaya, aap(sws) ke paas khajooron ki ek zambeel laayi gayi to aap(sws) ne farmaya, yah le jaao aur ise khairaat kar do, wah shakhs kahne laga kisko khairaat kar dun us ilaake me mere ghar walon se zyada koi mohtaaj nahi hai,

aap(sws) muskuraaye aur farmaya:-" ise le jaao aur apne ghar walon ko khilaao"


(bukhari wa muslim)


2- bila ujar khana ya peena, abu hanifa rh aur maalik rh ke nazdeek kaffara ki wajah hai, unki daleel yah hai ki ek shakhs ne ramzan me iftaar kiya to aap(sws) ne use kaffara ka huqm diya,

(maalik)


isi tarah ab hurairah Ra ki riwayat hai ki ek shakhs aap(sws) ke paas aaya aur kaha maine jaan bhoojhkar roza iftaar kiya hai, aap (sws) ne use ghulam aazad karne ya do mahine lagataar roze rakhne ya 60 miskeeno ko khaana khilane ka huqm diya


(bukhari,muslim)



2- KAUN SI CHEEZEIN ROZEDAAR KE LIYE MUBAAH HAIN??


1-rozedaar din me jab chaahe miswaak kar sakta hai, albatta imam ahmad rh zawaal ke baad miswak karne ko durust nahi samjhte.


2- garmi ki shiddat me thanda paani istemaal karna, chaahe jism par daale ya usme dubki lagaaye koi haraj nahi.


3- raat ke waqt subah saadiq se pahle khana, peena, ya wati karna


4- kisi jayez zarurat ke liye safar karna, chahe uske natije me roza iftaar karna pade,


5- halaal dawayen(medicine) istemal karna jabki maide tak na pahunche,


6- chhota bacha jo khana chaba nahi sakta aur use uski zarurat hai agar koi rozedaar khana chabakar uske muh me daale to mubaah hai magar shart Yah hai ki chabaane waale rozedaar ke maide me koi cheez na chali jaaye,


7- khusbu lagana ya khusbudaar dhuwa(smoke) lena bhi mubaah hai isliye ki shariat se is baare me koi manaahi nahi hai,


3- ROZEDAAR KO KYA KUCH MAAF HAI??


1- thook(saliva) chahe zyada ho nigal lena isse muraad rozedaar ka apna thook hai kisi aur ka nahi


2- kaiy ya khane ki ulti basharte ki zabaan ki nok tak aakar wapas maide me na chali jaaye


3- bila akhtiyar makkhi(houseflies) etc ka andar chale jaana


4- gard o gubaar aur kaarkhaane ya lakdiyon ka dhuwa(smoke) ka andar chale jaana


5- jumbi haalat me subah ho jaana chahe saara din na naha sake aur jumbi rah jaaye


6- roze ki halat me night flow (wet dream) ho jana isliye ki hadith me hai:-" 3 marfual qalam hain: majnu theek hone tak, sone wala bedaar hone tak, aur nabaaligh baligh hone tak

(ahmad, abu dawood)


7- ghalti se ya bhool kar kha pee lena, magar imam Malik rh farz roze me qaza karne k qayel hain or nafil roze me farmate hain kaza nhi,

aap(sws) ka farman hai:-" jo rozadar bhul kar kha le ya pi le wah apna roza poora kare, use allah taala ne khilaya wa pilaya hai"

(bukhari,muslim)


or farmaya-" ramzanul mubarak me jo shakhs bhool kar iftar kare us par qaza hai na kaffara"

(darul qutni)

No comments:

Post a Comment