Tuesday, 12 June 2012

JAHANNUM ME SABSE PAHLE KAUN DAALA JAYEGA? (HADITH KI ROSHNI ME)


Bismillahir rahmanirraheem



imam tirmizi ne ek tabi hz shafi ashabi rh ka waqeya bayan farmaya hai ki wah madeena pahunche to dekha ki bahut se log ek buzurg ke aas paas jama hain, unhone poocha yah buzurg kaun hain? To logon ne bataya yah sahabi e rasool abu hurairah ra hain, iske baad we apna waqeya bayan karte hue farmate hain:-" wah logon ko hadees e nabi suna kar dars de rahe they, main ahista ahista qareeb hote hote aap(hz abu huraira) ke saamne ja baitha, jab wah dars se faarig hue aur log uthkar jaane lage to maine arz kiya: main aap (ra) ka ka waasta dekar arz karta hun ki aap mujhe aisi koi hadith sunaaye jo aapne janab rasoollullah sws se barahe raast suni aur samjhi ho aur aap ko acchi tarah yaad ho, hz abu hurairah ra ne farmaya: "haan main sunaunga, main aisi hi hadith sunaounga jo rasoollullah sws ne mujhe sunaayi, aur maine use samjha aur yaad kiya", phir achanak unki tabiyat kharaab ho Gayi, thodi der baad hosh theek huwa to farmaya:" main aapko zaroor wah hadith sunaoga jo rasoollullah sws ne mujhe is ghar me sunaayi thi, us waqt aap(sws) ke paas mere elawa koi nahi tha" itna kahte hi phir halat kharaab ho gayi, jab aaraam huwa to chehre se paseena pochne lage, phir farmaya: "haan, main aapko zaroor wah hadith sunaounga, jo aap sws ne mujhe sunaayi thi, jabki main is ghar me nabi sws ke hamraah tha, mere siwa aap sws ke saath aur koi nahi tha", iske baad abu hurairah ra ki haalat phir kharaab ho gayi aur aap(ra) chehre ke bal jhuk gaye, maine bahut der tak aap(ra) ko sahara diye rakha, tab aap (ra) ki haalat sambhli to farmaya: mujhe janab rasoollullah(sws) ne yah hadith sunayi ki:- " jab qiyamat ka din hoga allah taala bandon ke darmiyaan faisla karne ke liye zameen par tashreef farma honge, har jamaat ghutne ke bat jhuki hui hogi, sabse pahle allah taala jin logon ko bulaayenge, Unme se ek shakhs wah hoga jisne qur'an paak yaad kiya hoga, aur ek wah shakhs hoga jo allah ki raah me jung karta raha hoga, aur ek bahul maaldaar shakhs hoga, allah taala qur'an ke aalim se farmayenge: kya maine wah kitab nahi sikhaayi thi jo maine rasool par naazil ki thi? Wah kahega, ji haan ya rabb!, allah taala farmayega: phir tune apne ilm par kaise amal kiya? Wah kahega, main raat din usme mashgool rahta tha, allah taala farmayenge: toone jhoot kaha, aur farishte usse kahenge toone jhoot kaha, allah taala farmayenge: teri niyat to yahi thi ki kaha jaaye falan shakhs (bada) qaari aur aalim hai, wah (duniya me) kaha ja chuka, isi tarah maaldaar shaks ko haazir kiya jaayega, allah taala usse farmayenge: kya maine tujhe maaldaari nahi bakshi thi yahan tak ki maine tujhe kisi ka mohtaaj na rahne diya ? Wah kahega: ji haan, ya rab. Allah taala farmayenge: phir tune mere diye hue maal ka kya kiya? Wah kahega, main rishtedaaron par ahsaan karta tha aur (sab zaroorat mando par) sadqa karta tha, allah taala farmayenge: tu jhoota hai, farishte bhi kahenge: tu jhoota hai, allah taala farmayenge: tu yah chahta tha ki log yah kahen: falan shakhs bahut daani hai wah(duniya me) kaha ja chuka, isi tarah allah ki raah me qatl hone waale ko haazir kiya jaayega, allah taala usse farmayenge: tujhe kis liye qatl kiya gaya? Wah kahega: mujhe teri raah me jihaad ka huqm mila, to main jung karta raha yahan tak ki main qatal kar diya gaya, allah taala use farmayenge: tu jhoota hai, farishte bhi use kahenge: tu jhoota hai, allah taala farmayenge: balki teri khwahish sirf yah thi ki kaha jaaye: falan bahut bahadur hai, wah kaha ja chuka",

iske baad janab rasoollullah sws ne mere ghutne par haath maar kar farmaya:- " abu hurairah! Ye teen log hain, jo qiyamat ke din tamam makhlooq me sabse pahle jahannam me Jhoke jaayenge"


( sunan tirmizi, kitaab sift qiyamat baab 49, wa sunan ibne maaja, kitaab zuhud, baab zikr tauba h 4251, allama albani ne hadith ko hasan kaha hai)


Agar nasihat karne waale ki niyat sahi ho to use sawaab milega, aur allah ke huqm se baat me asar paida hoga aur sunne waale uski baat maanenge.....

No comments:

Post a Comment