Wednesday, 2 May 2012

MUSHRIKEEN-E-MAKKAH AUR MAUJOODAH MUSHRIKEEN ME FARQ





                                                       Bismillahirrahmanirraheem




MUSHRIKEEN-E-MAKKAH AUR MAUJOODAH MUSHRIKEEN ME FARQ:



Aap par ye haqiqat waazeh ho gayi ke maujoodah mushriqeen jise " aqeedat" ke naam se taabeer karte hain, dar'asal yahi wah shirk hai jiske baare me qur'aan ki aayat naazil hui aur isi aateqaad ke logon se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jihaad kiya tha..

Note: read previous articles


ye bhi dimaagh me bitha len ke makkah waalon ka shirk maujoodah zamaane ke shirk se do tarah se khafeef tha...


1- pahle mushrikeen sirf khus'haali wa faarigh ul baali ke zamaane me shirk karte aur malaika, awliya aur buton ko allah ke saath pukaarte they, magar gurbat wa usrat aur tangi wa musibat ke waqt wah sirf allah hi ko pukaarte they.... Jaisa ke allah taala ka irshaad hai


" aur jab samundar me tumhe koi musibat gher le toh allah ke siwa jinhe tum pukaarte ho wah sab bhool jaate hain, sirf allah hi rah jaata hai. Aur jab wah tumhe saahil tak pahuncha de toh tum muh pher lete ho, aur insaan bada na'shukr guzaar hai "

(surah bani israel 67)


aise hi farmaan e ilaahi hai


" kah dijiye ke ye tum hi zara bataao ke agar tum par allah ka koi azaab aa jaaye ya tum par qayaamat toot pade toh kya tum allah ke siwa kisi ko pukaaroge ? Agar tum sacche ho (toh bataao), Balke sirf usi ko pukaaroge, aur jis tangi ke liye pukaarte ho wah use khol dega, agar wah chaahe aur jise tum shareek banaate ho use bhool jaate ho "


(surah anaam 40,41)


isi tarah irshaad e rabbani hai


" sab insaan kisi museebat ka shikaar ho jaaye toh apne rab ki taraf ruju karke use pukaarta hai, jab wah apne anaam wa rahmat se museebat hata de toh wah pahle jiski khaatir bulaata tha bhool jaata hai aur allah ke shareek banaane lagta hai taake uski raah se gumraah kar de, kah den ke apne kufr ki badolat kuch deir Faayeda utha le, aakhir tu ahle jahannum mese hoga"

(surah zumar 8)


isi se milta julta farmaan e rabbani hai


" jab samundar ki mauj saaibaan ki tarah unhe dhaanp leti hai to allah ko bade mukhlis hokar pukaarte hain ke deen wa ibaadat sirf tere hi liye hain "

(surah luqman 32)


jisne quraan paak me allah ka bayaan kardah ye masla acchi tarah samjh liya ke mushrikeen jin se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jihaad farmaya, wah zamana e khus'haali me allah aur ghairullah ko pukaarte they, lekin museebat wa bad'haali me sirf " allah wahdahu la shareek " ko pukaarte aur apne peer wa murshid ko bhool jaate they,

is par hamare maujoodah daur ke mushrikeen aur mushrikeen e makkah ke shirk ka farq roz roshan ki tarah saaf ho jaayega......


2- pahle zamaana ke mushrik allah ke muqarrabeen, maslan ambiya, awliya, aur farishton ko pukaarte they ya phir darakhton aur pattharon ko pukaarte They jo allah ke mutee aur farmabardaar they, na ke sharkash wa gunaahgaar...


Aur maujoodah zamaane ke mushrikeen allah ke saath aise logon ko pukaarte hain jo awaam un naas se badhkar buraaiyyon me lath path hain,

aur jo log unhen pukaarte hain wahi khud unke zina, chori, tark e namaz wagerah ki hakaayaat bayaan karte hain.. Daur e haalaat wah mushrik jo kisi nek wa saaleh insaan ya gunaah na karne waali lakdi wa patthar ka aqeedatmand hai, us mushrik se badr'jaha bahtar aur kam mujrim hai jo aise logon ki aqeedatmand hai jinki siyaah kaariyon, fishq, wa fajoor aur fasaad wa bigaad ka wah khud aini shaahid wa gawaah hai...


ALLAH HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE KI TAWFEEQ DE......AMEEN

No comments:

Post a Comment